Adsense Ads Par Ho Rahe Invalid Click Ko AICP Plugin Dwara Kaise Roke. Aaj ki yah post un logo ke liye useful hai. Jo invalid click activity se paresan hai. Adsense user ki sab se bari problem yah hai ki. Unki site par lage adsense ads par fake click ya invalid click ki. Wajah se account suspend ho jata hai. Aur hum kuch bhi nahi kar shakte hai. Kyu ki Google ne hume adsense ads par hone wali fraud click ko rokne ke liye koe solution nahi diya hai. Yah kaam wo sirf webmaster aur blog ower ke upper chor diya hai. But ab aap ko tension lene ki koe jarurat nahi hai. Kyi ki aaj mai aap ko batane ja raha hu. Adsense Ads Par Ho Rahe Invalid Click Ko AICP Plugin Dwara Kaise Roke. Taki invalid Click ke karan aap ka adsense disable na ho shake.
Aap ko apni site par ho rahe invalid click activity ka. Sahi time par monitor karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki her jagah kuch acche to kuch bad log hote hai. Aur online ki duniya me ye bad log dusre ko paresan karne ke liye. Jaan bujh kar aap ke adsense ads par click bombing karte hai. Taki aap ka adsense account suspend ho jaye hai. But ye log ek baar bhi yah nahi sochte hai. Ki kitni mehnat se koe bhi blogger kaam karta hai.
Hume sab ke bare me accha sochna chahiye. Tab hi god bhi aap ka accha karega. Kyu ki bure kaam ka natija humesa bura hi hota hai. Ye to aap sabhi ko pata hi hai. Khair aage bahdte hai. Agar aap yah soch rahe hai ki “invalid clicks kya hote hai”. To mai aap ko ish ke bare me pahle bata deta hu.
Jab koe visitors aap ke blog par aata hai. Aur wo aap ke blog par lage adsense ads ke upper. Jaan buch kar baar baar jaldi jaldi click karta hai. To ish tarah ke click ko invalid, fake ya fraud click kahte hai. Aur ish tarah ke invalid click adsense policy ke virudh hai. Matlab kisi site par agar ish tarah ke click baar baar kiye jate hai. To google team us adsense account ko block kar deti hai.
Invalid Click Ke Karan Adsense Account Suspend Kyu Ho Jata Hai?
App ki site par ho rahe invalid click activity ka. Google team ko bahut hi aasani se pata chal jata hai. Kyi ki wo sites ki tracking ke liye. User IP aur mac address ka use karte hai. Ish liye jab bhi koe computer ya mobile device se. Ek hi IP address ke dwara baar baar click karta hai. To google team ko yah samajhne me der nahi lagta ki yah ek fake ya invalid click hai.
App dekhte hoge ki jab aap ke site par invalid click hota hai. To Adsense CTR bahut jayada badh jata hai. Kabhi kabhi invalid click ke karan aap ka account kuch month ke liye suspend hota hai. But maximum case me aap ka adsense account humesa ke liye suspend kar diya jata hai.
Ek acchi baat yah hai ki jab aap ka account humesa ke liye suspend ho jata hai. To kuch month baad aap phir se adsense reapply kar shakte hai. Aur dubara apne account ko approve karwa shakte hai. But yah totally google ke upper depend karta hai. Ki wo aap ke reason ko soon kar approval dege ya nahi.
AICP Plugin Dwara Adsense Account Ko Suspend Hone Se Kiase Roke?
Indian blogger ke liye sab se bari problem yah hai ki. Un ka koe dosh na hote huwe bhi un ke ads par visitors fraud click ke karan. Un ka adsense account suspend ho jata hai. But ab tension ki koe baat nahi hai. Kyu ki agar aap wordpress user hai. To ek plugin ke dwara aap apne adsense account ko disable hone se bacha shakte hai. Aur us plugin ka pura naam adsense invalid clicks protector hai.
Yah plugin aap ke ads ko invalid ya fake click se bachata hai. But ish ki setting ko acche se karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki jab koe visitors aap ke site par click bombing karta hai. To AICP plugin setting ke anusaar uske IP address ko block kar diya jata hai. Taki uske browser par aap ka ads show hona band ho jaye.
Ish plugin me aap yah bhi set kar shakte hai. Ki koe bhi visitors aap ke ads ke upper kinti baar click kar shakta hai matlab 1 ya 2 baar. Aur agar koe us se jayada click karta hai. To us ke browser me aap ke ads show hona band ho jayega.
Ish me hum log cookies ke liye bhi setting kar shakte hai. Hume ish me yah set karna hota hai. Ki kitne hours ke liye us click bomber ko adsense ads ke liye block karna hai. Jaise hi wo set kiya huwa time complete ho jata hai. Waise hi us IP user ko ads show hona start ho jata hai. Really yah plugin adsense user ke liye bahut hi helpful hai. To chaliye ab hum log AICP Plugin ko apne wordpress blog me install kar ke. Ish ke setting ke bare me jaan lete hai.
But agar aap wordpress par new hai. Aur aap ko plugin ke bare me jayada kuch pata nahi hai. To sab se pahle aap yah post padhe. Plugin kya hai aur wordpress blog me plugin kaise install aur activate kare.
Invalid Click Activity Ko Rokne Ke Liye AICP Plugin Setting Kaise Kare?
Agar aap invalid ya fake click se presan hai. To aap bhi fake click ko stop karne ke liye apne wordpresss blog me AICP plugin ka setting jarur kar le. Taki aap ka adsense account suspend hone se bach jaye. To phir chaliye hum log AICP Plugin Setting ko step by step jaan lete hai.
Step 1 : Sab se pahle aap apne wordpress me login ho kar dashboard par jaye.
Step 2 : Ab aap apne wordpress blog me AICP Plugin ko install kar ke Activate kar lijiye. App chahe to AICP Plugin yaha click kar ke bhi Download kar shate hai.
Step 3 : Plugin activate karne ke baad. App Adsense Invalid Click Protector >> General Setting ke upper click kare.
1. Click on Adsense Invalid Click Protector
2. Set the Ad Click Limit : Ish se aap 2 ya 3 rakh shakte hai.
3. Click Counter Cooke Expiration Time (default: 3 hours) : Ish se aap by default 3 hours hi rahne de.
4. Set the Visitor Ban Duration (default: 7 days) : Ish ko bhi aap by default 7 hi rahne de.
5. Do you want to use the IP-API Pro key : Yaha aap No ke upper click kare.
6. Do you want to block showing ads for some specific countries : Yaha aap se yah pucha ja raha hai ki. App apne ads ko kisi specific country ke traffic ke liye hide karna chahte hai. To yes par click kare warna no hi rahne de.
7. Banned Country List – Put ISO ALPHA-2 Country Codes : Agar aap kisi country ke traffic par ads block karne ke liye Yes par click karte hai. To aap ko us specific country ka ISO ALPHA-2 Country Codes yaha dalna hai.
8. This Website : Agar aap ko us country ka ISO ALPHA-2 Country Codes pata nahi hai. To aap this website ke upper click kare. Kisi bhi specific country ka ISO ALPHA-2 Country Codes jaan shakte hai.
9. Save Changes : Sari setting ko acche se check kar lene ke baad. App save changes ki button ke upper click kar de.
Finally ab aap ki AICP pluging ki setting complete ho chuki hai. But abhi ek kaam karna baki hai. Jise karna bahut hi jaruri hai. Kyu ki tabhi ja kar aap ki site par adsense ads ko fake click se bachaya jaa shakta hai. Ish pluging ko puri tarah se kaam karne ke liye. App ko sabhi ads unit ke adsense code me AICP pluging ka ek code add karna hai.
Apne wordpress blog me jaha jaha bhi adsense ads code use karte hai. Us adsense code ke saath niche diye daye code ko add kare.
<div class=”aicp”> <!– Adsense code goes here –> </div>
Agar aap ko samajh nahi aaya ki code kaise add karna hai. To niche diye gaye Live Example ko dekh shakte hai.
<div class="aicp"> <!-- Responsive Ads --> <ins class="adsbygoogle" style="display:block" data-ad-client="ca-pub-xxxxxxxxxxxxx" data-ad-slot="xxxxxxxxx" data-ad-format="link"></ins> <script> (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); </script> </div>
Finally ab aap ka AICP plugin ki setting complete ho chukka hai. Aur ab aap ish setting dwara fake click se. Apne adsense account ko suspend hone se bacha shakte hai.
Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga ki. “Adsense Ads Par Ho Rahe Invalid Click Ko AICP Plugin Dwara Kaise Roke”. Aur ish post ko padhne ke baad. App bhi apne wordpress blog me sahi tarike se AICP plugin settings bhi kar liya hoga. Agar abhi bhi AICP plugin ki settings se related koe sawaal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Dosto aap ko mera yah post kaisa laga. Agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur apne dosto se bhi kahe. Taki wo bhi apna adsense account safe rakh shake. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare newsletter ko subscribe karna na bhule. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Sanjay says
Bro If Block kis Kam me aata hai AICP me
Mangal Gupta says
Aap ke kahne ka matlab samajh me nahi aaya. Thora acche se bataye.