Hellow dosto aaj hum log janege ki WordPress Ya Blogger Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Kaise Submit Kare. Hum apne blog ki traffic increase karne ke liye kya kya nahi karte hai. Apni website ka traffic increase karne ka ek aur trika hai. Ki hum apne blog ko Yandex Webmaster Tools me submit kare. Agar app apni website ko pure world me famous karna chahte to yandex me blog ko submit karna baut hi jaruri hai. Abhi tak hum log Google Webmaster Tool aur Bing Webmaster Tool me apne blog ko kaise submit kare hum jaan chuka hai. Google aur Bing ki hi tarah Yandex Webmaster Tools bhi free hai. Newbies blogger ko Yandex ke bare me sayad hi jayda malum ho. To phir chaliye ab hum jaan le te hai ki. Blog ko Yandex Webmaster Tools me kaise submit kare.
Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Kyu Submit Kare ?
Yandex bhi Google aur Bing ki hi tarah free hai. Ye bhi hume Free web submission provied karta hai. Yandex Russia ka search engine hai. Ish se 2011 me launch kiya gaya tha. Agar aap apne blog pe organic traffic ke saath saath. Apne blog ka ranking bhi increase karna chahte hai. To aap ko apne blog ko Yandex Webmaster Tools me submit karna bahut hi jaruri hai. Ye aap ko worldwide traffic provied karta hai.
Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Kaise Submit Kare ?
Agar aap apne blog ya website pe jayda traffic pane ke liye. Apne blog ko Yandex Webmaster Tools me submit karna chahte hai. To humare bataye huwe niche diye gaye kuch simple steps ko follow kare.
Step 1 : Sabse pahle aap yandex.com me ja kar login ho jaye. Login hone ke liye yaha registered hona jaruri hai. Agar aap ne abhi tak yaha apna account nahi banaya hai. To sab se pahle yandex.com pe yaha click karke Register kar le.
Step 2 : Yandex Webmaster Tools pe jane ke liye aap webmaster.yandex.com pe click kare.
1. Apne blog ko yandex me submit karne ke liye + Sign ki button ke upper click kare.
2. Yaha aap apne blog ka URL dale.
3. Ab aap Add ki button ke upper click kar de.
Step 3 : Ab aap ke samne ek new window open ho jayegi. Ish window me aap ko apne blog ya website ko verify karne ke liye kaha ja raha hai. Ish page me jo Meta Tag code hai use copy kar le. Apne blog ya website ko verify karne ke liye.
Ish Meta Tag code ko apne wordpress ya blogger dono hi blog me kaise add kar ke verify kare. Hum log step by steps janege.
Blogger Me Yandex Webmaster Meta Tag Code Ko Kaise Add Kare?
Sabse pahle app blogger.com me login ho kar apne dashboard pe jaye. Dashboard pe jane ke baad niche diye huwe kuch simple steps ko follow kare.
Steps 1 : Apne blogger blog me Dashboard >> Theme >> Edit HTML pe click kare.
Steps 2 : Apne Keyboard ke Ctrl+F daba kar <Head> tag code ko search kijiye.
Step 3 : Ab aap ne jo Yandex webmaster ka Meta Tag code copy kiya hai. Us code ko <Head> tag ke niche paste karna hai. Niche diye huwe image ko dekhe samajhne me aasani hogi.
1. Yandex webmaster Meta Tag code ko <Head> tag ke niche paste kare.
2. Save Theme ke upper click kar de taki aap ka template save ho jaye.
Yandex webmaster Meta Tag code aap ke blog me add ho chukka hai. Ab aap Yandex Webmaster Tool ke verification wale page me ja kar Check ki button pe click kar de. Taki aap ka blogger blog verify ho jaye.
WordPress Me Yandex Webmaster Meta Tag Code Ko Kaise Add Kare?
WordPress me bhi Meta Tag code ko add karna bahut hi aasan hai. Yaha bhi aap ko <Head> tag ke niche meta tag code ko paste kar dena hai. Magar aap wordpress me SEO Yoast Plugin use karte hai. To niche bataye huwe kuch simple steps ko follow kijiye.
Steps 1 : App apne wordpress admin panel me login ho jaye.
Steps 2 : Login hone ke baad aap Yoast SEO >>Dashboard >> Webmaster tools pe jaye.
1. Webmaster tools ke upper click kare.
2. Yaha Yandex webmaster Meta Tag code ko paste kar de.
3. Finally aap Save Changes ki button ke upper click kar de.
4. Yandex Webmaster Tool ke verification wale page me Check ki button pe click kar de.
Finally Check ki button ke upper click karte hi. Aap ka wordpress ya blogger blog Yandex Webmaster Tools me submit ho jayega. App chahe to my site option pe click kar ke check kar shakte ho.
Ab aap ko apne Blog ka Sitemap Yandex Webmaster me submit karna hoga. Yandex me blog ka sitemap ad karna baut hi aasan hai. To phir chaliye ab hum jaan lete hai.
Apne Blog Ka Sitemap Yandex Webmaster Me Kaise Submit Kare ?
Yandex webmaster me apne blog ka sitemap add karne ke liye. Sabse pahle aap ko Indexing >> Sitemap files pe click karna hoga.
1. Indexing ke upper click kare.
2. Indexing ke upper click karne ke baad Sitemap files ke upper click kare.
3. Yaha apne blog ka Sitemap (URL) dale.
4. Ab app Add ki button ke upper click kar de.
Finally ab aap ke blog ka sitemap bhi yandex webmaster tools me add ho chuka hai. Agar aap ko apne blog ko yandex webmaster tools me submit karne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Asha karta hu dosto aap ko ye post pasand aayi hogi. Post pasand aayi hai to ise jarur share kare. App ke share karne se hamara bhi thora bhala ho jayega.
Share Your Comments & Feedback: