Dosto aaj hum log janege ki Blogger image ko seo friendly kaise banaye? Kya aap jante hai ki jab bhi search engine aap ke kisi bhi post ko index karta hai. To wo sabse pahle aap ke post writing ko nahi balki Aap ke images, tags aur backlinks ko focus karta hai. Isliye Image ko SEO friendly banana kitna jaruri hai aap samajh sakte hai.
Images kisi bhi blog ya website ke liye bahut hi jajuri hota hai. Agar aap ke post me images hoge. To aap ka post dekhne me accha lagega aur accha lagne ke karn. Aap ke post pe click hone ke chance bahut jayada badh jata hai.
Ab sawaal ye aata hai ki hum log jo image use karte hai. Wo image seo friendly hai ya nahi. Seo friendly images ka matlab hota hai ki. Jab koe humare images ko search kare to wo google ke search engine me aaye. Google kabhi bhi blank images ko samajh nahi pata hai ki wo image kis ke bare me hai. Esliye aap jab bhi koe image apni post me dale To us image ka naam dede. Yahi kuch choti choti bate hai jiski madad se hum apne image ko seo friendly bana shakte hai. Chaliye to phir hum log jaan lete hai ki ‘Blogger Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye’.
Agar aap ne abhi tak apne blog ya website ko google search engine me submit nahi kiya hai to aap yaha click karke jaan lijiye ki aap apne blog ya website ko Google Search Engine Me Kaise Submit Kare.
Blogger Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye ?
Blogger Image Ko SEO Friendly banana bahut jaruri hai. Agar aap ka image SEO Friendly hoga. To aap ka image google search me show hoga aur aape website par images se bhi traffic aayega. Image Ko SEO Friendly banane ke liye aap nimn baato ka dhyan rahe.
1. Rename Your Image:
Aap ka sabse pahla kaam hai jab bhi aap koe image upload kare to use rename jarur kar de. Kyu ki agar apne post ke hisab se apne image ka naam nahi dege. To search engine ko samajh me nahi aayega ki ye image kis tropic pe hai. Aur uske karan aap ka post search engine me late me show hoga. Is liye aap jab bhi koe image upload karte hai to us image ko rename jarur kar de.2. Image Me Alt Tags & File Name Add Kare:
Post me image upload karna jitna jajuri hai. Utna hi jaruri hai us image ko optimize karna. Bina optimize kiya huwa image kisi kaam ka nahi hota hai. Alt Tag aur File Name de kar aap apne image ko optimize kar shakte hai.
Step 1 : Image ko optimize karne ke liye. Aap ko post me upload kiye huwe image ke upper click karna hoga.
Step 2 : Click karne ke baad aap ko property ke upper click karna hoga.
Step 3 : Image Properties me aap ko ye batana hai. Ki ye image kis ki hai aur kis ke bare me hai.
1. Title Text : Title Text me us image ka naam likhe taki jab koe visitors jab aap ke image ke upper mouse ka cursor le jaye to us image ka naam show ho.
2. Alt Text : Alt Text me aap image ke bare me likhe matlab ye image kis chiz ka hai taki search engine laldi se jaldi jaan shake ki ye image kis chiz ka hai.
3. Add Caption In your Image:
Apne image me caption use kar shakte hai per ye intna bhi jaruri nahi hai kyu ki ise seo per koe fark nahi padta hai. Caption use karne se aap ko ye fayada hoga ki. Agar koe visitor aap ke post ko padhega to use samajhne me aasani hogi. Ki ye image kis tropic pe hai. Agar aap ko image ke bare me kuch batana hai. To aap paragraph me likhne se accha hai ki aap caption me likhe.
4. Image Format:
App ka image kis format me hai. Ish se seo per koe farak nahi padta hai. Agar aap ke image ka size bahut jayda hai to farak padta hai. Kyu ki image ka size jinta jayda hoga wo image load hone me utna hi jayda time lega. Is liye aap image ka format koe bhi rakhe per yaad rahe ki us image ka size kam ho.
5. Image File Size:
File ke size ke karan seo ke upper koe fark nahi padta hai. Image ka size aap ko apne hisab se lena hoga. Kyu ki post me jis jagah pe jis size ki jaurat hai. Us jagah pe usi hasab se aap ka size lena chahiye. Magar ek baad yaad rahe ki aap itna bhi bada size na le le. Ki image ko load hone me hi time lage.
App Ye Padhe – Only For You
- Blog Me Category Widget Kaise Add Kare
- Apne Blog Me Contact Form Page Kaise Add Kare
- Blogger Blog Me Recent Comment Widget Kaise Add Kare
- Social Follow Button Widget Apne Blog Me Kaise Add Kare
- Blogger Me Label Ka Use Kaise Kare Post Categories Ke Liye
Asha karta hu dosto Blogger image ko seo friendly kaise banaye? SEO friendly image kaise banaye? ka trika jarur pasand aaya hoga. Ab aap ke liye bhi blogger image ko seo friendly banana aasan ho gaya hoga. Agar is post se related abhi bhi koe sawaal hai. Ya phir mujhse kisi bhi tarah ki koe galti hue hai. To aap apna vichar hume comment box me jarur de.
Dilip Mothariya says
Bahut Hi Achi Post Hai
naresh thakor says
Bhot hi accha Jankari share kiya hai aapne nice post
sunil kumar says
Bahut badiya jankari hai.