Hello friends aaj hum log janege ki BlogSpot Vs WordPress Kaun Hai Best Platform Aur Kyu? Jab blogging start karne ki baat aati hai. Tab humare dimag me ye sawaal jarur aata hai. Ki blogging ke liye sab se accha platform kaun hai aur kyu? Kyu ki Blogger vs WordPress vs Tumbler hi aaj ke date me sab se jayada popular platform hai. But yaha hum log kewal do platform ke upper baat karege. Jo hai BlogSpot Vs WordPress. Aur janne ki kosis karge ki kaun sa platform sab se best hai.
Agar aap meri baat kare. To mai bhi apna blogging life Blogger(Blogspot) se hi start kiya tha. Aur baad me WordPress.org par shift ho gaya. But ish ka matlab ye bilkul bhi nahi huwa ki. Blogspot accha nahi hai. Aaj bhi bahut sare popular blogs blogspot platform pe hai. Ish post me hum log BlogSpot vs WordPress ka ek quick comparision karege. Aur janne ki kosis karege ki kis conditions ke under kaun sa platform use karna best hai.
BlogSpot Platform Kyu Best Hai?
Blogger ya BlogSpot platform bahut hi best platform hai. Kyu ki jab aap ek new blog start karte hai. Tab aap ko blogging ke bare me jayada kuch pata nahi hota hai. Bus aap kewal apne thoughts share karna chahte hai. Mere kahne ka matlab hai ki blogging shikhne ke liye BlogSpot sab se best platform. Sab se important baad ki yah bulkul free hai aur ish se manage karna bahut hi aasan hai.
Blogger platform WordPress platform se best hai. Agar aap apne passion ke liye blogging karte hai. Aur aap Blogger platform dwara diye gaye limited features se khush hai.
WordPress Platform Kyu Best Hai?
WordPress app ko apne blog ke upper full control deta hai. App technically roop se apne blog me kuch bhi kar shakte hai. Us ke saath saath app ko SEO par pura control milta hai. Aap apni kudh ki file host kar shakte hai. App koe bhi plugin add kar shakte hai. Apne blog ko bahut jayada search engine friendly bana shakte hai. Mere kahne ka matlab hai ki WordPress wo sab kuch karne ki aajadi dega jo aap chahte hai.
Agar aap yah soch kar blog bana rahe hai ki. App apne blog se paisa kamana chahte hai ya phir aap us blog se popular hona chahte hai. To aap ko self hosted WordPress blog prefer karna chahiye. Kyu ki ish case me WordPress platform sab se best hai.
Comparison Between Self-Hosted WordPress.org And Blogger?
Blogger vs WordPress ko aur acche se samajhne ke liye. Hum log kuch points ka Comparison kar ke aur acche se janne ki kosis karte hai.
Ownership
Blogger ko Pyra Labs company ne 1999 me developed kiya tha. Jise Google ne 2003 me buy kar liya. Ish liye blogger ab google ki property hai. App ish ki server ko access nahi kar shakte. Agar aap ke pass google me account hai to aap free me blog bana shakte hai. But aap ka sara data google ke hi server me rahega. Mere kahne ka matlab hai ki google aap ka data kabhi bhi delete kar shakta hai. Aur aap ish ke liye koe claim bhi nahi kar shakte hai.
Self-Hosted WordPress me aap apne file ko kudh host kar ke manage kar shakte hai. App ko bus apne server par WordPress install karna hoga. Aur apne blog ko maintain rakhna hoga. App kudh ish ke malik hai. Aur aap jab chahe use suru ya band kar shakte hai. App ka data aap ke hi pass rahega. Ish liye aap jab chahe ek hosting se durse hosting me transfer bhi kar shakte hai.
Control
Blogger ek limited tools ke saath fine tuned service hai. BlogSpot pe aap apne blog ko bahut hi aasani se manage kar shakte hai. But aap chah kar bhi kuch extra add nahi kar shakte hai. App ko bus ushi limited option se hi apna kaam chalana hoga.
Jab ki wordpress ek open source software hai. Ish liye aap koe bhi features bahut hi aasani se add kar shakte hai. wordpress.org me bahut sare yese plugins hai. Ji ki madad se aap bina coading kiye apne blog me bahut kuch changes kar shakte hai.
Design
Apne blog ka look change karne ke liye. Blogger hume by default templates provide karta hai. Aap bus un templates ke colors aur layout ko modify kar shakte hai. But aap apne hisab se look change nahi kar shakte hai.
WordPress me aap ko bahut sare free aur premium templates available hai. Jo aap ke site ko professional look dete hai. App apne hisab se apne blog ka design kar shakte hai.
Portability
Apni blogger site ko kisi dusre platform par move karna thora complicated task hai. Waise to blogger aap ke content ko export karne ki subidha to jarur provide karta hai. But move hone se aap ke search engine rankings, subscribers aur followers par bura effect parta hai. Jis ke karan aap ke visitors kam ho jate hai. Aur aap ko bahut bara loss uthana parta hai.
Agar aap wordpress use kar rahe hai. To aap apne site ko kahi bhi aasani se move ya transfer karwa shakte hai.
Security
Jaisa ki aap jante hai Blogger platform Google ki hi ek service hai. Ish liye agar aap blogspot me blog banate hai. To aap ko apne blog ki security ko lekar jayada tension lene ki koe jarurat nahi hai. Kyu ki Google ki strong security aap ke blog ko milega. Koe bhi hacker aasani se aap ke blog ko hack nahi kar shakta hai. Us ke saath agar aap ke blog par jayada traffic bhi aata hai. To bhi aap ko tension lene ki koe jarurat nahi hai. Kyu ki Google ishe bhi bahut hi aasani se manage kar lega. Mere kahne ka matlab hai ki aap ke blog par jayada visitos aane se bhi aap ka blog slow nahi hoga.
WordPress bhi bahut secure hai. But self hosted solution hone ke karan. Aap ko ish ki security aur backups ka dhyan rakhna hoga.
Updates
Blogger platform par update bahut kam aate hai. Kyu ki kisi new feature ko add karne me blogger platform bahut hi piche hai. Koe bhi update pura google ke upper hi depend hai. Aur jab tak google nahi chahega tab tak koe bhi update nahi aayega.
WordPress Blogger platform par saal me bahut bar update aate hai. Kyu ki wordpress ek open source software hai. Ish liye yah kisi company ya developer ke upper depend nahi hota hai. Aap chahe to use apne company ke hisab se modify kar shakte hai.
Support
Blogger me limited support available hai. Un ke pass ek basic documentation aur user’s forum hai. Mere kahne ka matlab hai ki aap ke pass support ke liye bahut hi kam choice hai.
WordPress me ek active community support system hai. Yaha aap ko online documentation, community forums, aur IRC chatrooms mil jayege. Jaha aap experienced WordPress users and developers se help le shakte hai.
Final Thoughts :
Finally mere hisab se dono plateform apne apne jagah par best hai. Agar aap ek simple blog chahte hai to Blogger platform chune. But agar aap ek professional ya business blog bana kar paisa kamana chahte hai to aap wordpress platform chune.
Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga ki. “BlogSpot Vs WordPress Kaun Hai Best Platform Aur Kyu”. Aur ab aap ko apne liye blogging platform ko choose karne me koe problem nahi aayegi.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: