Hello friends aaj hum log janege ki Blogger Me Custom Permalink URL Kaise Change Kare. Magar aap shabi ke man me ye question jarur aa raha hoga ki. Kaya hum blog me published post ka custom permalink (url) change kar shakte hai ya nahi. To is ka jabbab hai yes, aaj hum log isi tropic ke upper bate karege.
Seo ke lihaz se aap ke post ka custom permalink matlab url seo friendly hona bahut hi jaruri hai, kyu ki aap google me kuch bhi search karte hai to aap ke post ka kewal 3 chiz hi search result me show hota hai aur wo hai Post Title, Post ka kuch keyword or custom permalink. Is liye aap jab bhi koe post likho to us post ke custom permalink (url) ko seo friendly banawo taki aap ke post ka search engine me aane ka chances badh jaye.
Blogger post publish karne se pahle aap post ke URL ko custom kar shakte hai. Blogger Me Custom Permalink Kaise Use Karte Hai mai aap ko bta chuka hu. Magar post publish kar dene ke baad post ke custom permalink (url) ko badlna thora muskil ho jata hai. Kyu ki post publish hone ke baad custom permalink ka option disable ho jata hai aur aap easily us post ke url ko edit nahi kar shakte hai. But ek tarika hai jis se aap apne blog me published post ke custom permalink (url) ko bhi change kar shakte hai. To phir chaliye ab hum log us trick ko step by step jaan lete hai.
Blogger Me Published Post Ka Custom Permalink Kaise Change Kare?
Blogger Blog Me Custom Permalink URL Change karne ka tarika bahut hi saral hai. lekin Blogger Blog Me Custom Permalink Kaise Use Kare? ka sahi tarika aapko pata hona chahiye. Custom Permalink URL badlne ke liye aap niche bataye gaye process ka palan kare.
Step 1: Sabse pahle aap apne blogger.com me login ho kar Dashboard >> Posts pe jaye.
Ab aap ko jis bhi post ke custom permalink (url) ko change karna hai us post ke upper mouse le jaye aur edit ke upper click kare.
Step 2: Ab aap yaha left hand side me diye huwe Revert to Draft ke upper click kare.
Step 3: Jab aap Revert to Draft ke upper click karege to aap ke post setting ka option change ho jayega aur aap aasani se post ke custom permalink (url) ko change kar payege.
1. Post setting ke upper click kare.
2. Ab aap Permalink ke upper click kare.
3. Permalink ke upper click karne ke baad app Custom Permalink ko select kare.
4. Yaha aap apne blog post ki URL ko edit kare.
5. URL edit karne ke baad aap Done ke upper click kar de.
6. Finally jab aap ka sara setting ho jaye to aap Publish ke button ke upper click kar de.
To dekha aap ne upper diye huwe step ko follow kar ke aap bahut hi aasani se apne blog ke publish post ke URL ko edit kar shakte ho. Ek baad hamesa yaad rahe ki post ke URL ko edit karne ke baad publish jarur kar de warna aapki post draft me ja kar save ho jayegi.
Asha karta hu ki aap ko “custom permalink url change kaise kare” ka yah post pasand aayi hogi. Agar aap ka Blogger Me Custom Permalink URL Kaise Change Kare? se related ya phir blogger se juda koe saawal hai to aap hume comment kar kepuch shakte hai. Hume aapki madad kar ke bahut khushi hogi.
chetan says
bhai mere post me aapne btaya aisa kich nhi aa raha h
Nahi to automatic aa rha hai aur na hi custom aa rha hai uski link change nhi ho rhi h koi aur dusra tarika ho to btao
Mangal Gupta says
App post ko acche se padhe. Aur jis post ka url change karna chahte hai. Us post ko sab se pahle Edit>> Revert to Draft kijiye. Tab ja kar automatic aur custom permalink ka option aayega.
Afreen says
Badiya jankari di hai aap ne thank you so much ise share karne ke liye
Mohammad Rizwan says
Bahut behtar likha hai aapka article padhkar kuch sikhne ko mila . jiske liye aapka bahut dhanyawad