Helps In Hindi

  • Blogging
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Mobile Tips
  • Sarkari Yojna
  • Amazing Facts
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to footer

100% Confirm Tatkal Ticket Book Kare – In Just 30 Seconds

Posted By: Mangal Gupta Last Updated: Feb 20, 2019

Hello dosto aaj hum log janege ki IRCTC se. 100% Confirm Tatkal Ticket Kaise Book Kare In Just 30 Seconds. Tatkal Ticket ka matlab huwa ki agar aap ke pass reservation nahi hai. To aap Tatkal Booking ka labh uthakar apne liye ticket book kar shakte hai. But aap ko pata hai Tatkal Ticket Book karna kitna muskil kaam hai. Kyi ki 2 min ke ander hi sari ki sari ticket book ho jati hai. Ish liye hum apne liye 100% Confirm Tatkal Ticket Kaise Book Kare janege. Biswas kijiye agar aap ki typing speed aur internet connection accha hai. To aap 30 Seconds 100% irctc tatkal ticket booking kar shakte hai.

100 Percent Confirm Tatkal Ticket Book Kare In Just 30 Seconds

Tatkal Ticket Booking karne ke liye IRCTC hi ek matra adhikarik website hai. Aur ish website par sab se jayada users Tatkal Ticket Book karne ke liye. 10 se 12 baje ke beech online rahte hai. Jis ke karan 10 baje ke baad IRCTC site par load bahut jayada ho jata hai. Aur hum apna Tatkal Ticket Book nahi kar pate hai. Ish liye mai yaha aap ko kuch yese tips batane ja raha hu. Jise aap 100% Confirm Tatkal Ticket book kar payege. Kyu ki ish tips dwara Confirm Tatkal Ticket nikalna ho gaya hai aasan.

IRCTC Tatkal Ticket Booking Rules And Timing In Hindi

Tatkal E Ticket AC ka booking time 10:00 AM hai. Aur Sleeper ka booking time 11:00 AM hai.

IRCTC Online Tatkal E Ticket 1 day pahle banti hai.

Tatkal E Ticket Charges :

Tatkal E Ticket Charges

Online Tatkal Ticket Buy Karne Ke Liye Kya Chahiye?

  • Computer Ya Laptop
  • 3G Ya 4G Internet Connection
  • Net Banking Ya Debit Card
  • PC Me Google Chrome Browser Install Hona Chahiye

Also Read : Jane Kya App Ka Aadhar Bank Account Se Link Hai

How To Book 100% Confirm Tatkal Ticket In Just 30 Second 2017

100% Confirm Tatkal Ticket book karna bahut hi aasan hai. 30 Second me Confirm Tatkal Ticket book karne ke liye. App ko bus sari information pahle hi fill kar deni hai. Taki sari chize ticket book karte samay automatic ho jaye. To chaliye step by step jante hai.

Step 1 : Sab se pahle hume apne computer ke chrome browser me. Ek Chrome Extension TATKAL FOR SURE Download karna hai.

Download Tatkal for sure

Step 2 : Chrome Extension download karne ke liye. Add To Chrome >> Add Extension ki button ke upper click kare. Click karte hi aap ka Extension chrome browser me add ho jayega.

Tatkal for sure extension

Step 3 : Ab aap ko Tatkal for sure Extension ke upper click karke. “Generate Ticket” ke upper click karna hai.

Generate Tatkal Ticket

Step 4 : Click karte hi ek new page open ho jayega. Yaha aap “Create a new trip” ki button ke upper click kare.

tatkal-ticket-booking-in-hindi

Step 5 : Yaha aap ko apne IRCTC ka username aur password enter karna hai. Taki baad me aap ko phir se apna username aur password enter karne ki jarurat na padhe. Apna information fill up ke baad “NEXT” ki button ke upper click kare. Aur yah ek Extension hai. Ish liye aap ko tension lene ki bhi koe jarurat nahi hai. Ki aap ki koe bhi information leak ho jayegi.

IRCTC Account ka username aur password dale

  • Kya Social Media Ke Secret Short Code Words Jante Hai App

Step 6 : Ab aap ko yaha apni trip ya journey se related information fill up karni hai. Matlab kaha se kaha tak safar karna hai.

Fill Trip Information

1. Journey kaha se start karege.

2. Kaha tak safar karege.

3. Kis date me journey karna hai.

4. Jis train se journey karna hai. Us train ka train number dale.

5. Kis class me safar karege. Matlab sleeper ya ac class.

6. Quota Tatkal hi rahne de.

7. Boarding station choose kare. Waise ya optional hai.

8. Apne trip ki puri information fill up karne ke baad. App “NEXT” ki button ke upper click kare.

Step 7 : Ish page me aap ko jin jin logo ka ticket banana hai. Un passenger ka naam, age aur gender dalna hai. Agar koe child hai to niche ke option me un ka bhi naam, age aur gender dale. Sari details fill up karne ke baad “NEXT” ki button ke upper click kar de.

confirm-ticket-booking-tips

Step 8 : Ab aap ko payment karne ke liye. Apne bank account ka details fill up karna hai. Yaha aap netbanking aur debit card dono hi method se payment kar shakte hai. Agar Net Banking ki madad se payment karna chahte hai. To apne netbanking ka username aur password dal kar. “Submit” ki button ke upper click kare.

netbanking-dwara-tatkal-ticket-booking-in-hindi

Step 9 : Aur agar aap ko lagta hai ki. Net banking me jayada time lagta hai. To aap Debit Card ki madad se bhi payment kar shakte hai. Card ki details fill up karne ke baad aap “Submit” ki button ke upper click kare.

debit-card-se-tatkal-ticket-booking-in-hindi

Step 10 : Submit ki button ke upper click karte hi. Aap ka Ticket create ho jayega. Jaisa ki aap niche ki image me dekh pa rahe hai.

Click On Book Now for Tatkal Ticket

Ab aap ko koe bhi details fill up karne ki jarurat nahi hai. Kyu ki “Book Now” ki button ke upper click kare hi. Apne aap sab kuch automatic hota chala jayega. App ko bus tatkal ticket ka booking start hone se 1 ya 2 min pahle. Book now ki button ke upper click kar ke IRCTC me login kar lena hai. Jaisa ki mai aap ko pahle hi bata chukka hu. Tatkal AC Ticket ka booking time 10:00 AM hai. Aur Sleeper ka booking time 11:00 AM hai.

Login IRCTC Account

10 bajte hi AC ke liye aur 11 bajte hi Sleeper ke liye. Tatkal For Sure Extension apna kaam automatic karna start kar dega. App ko bus Captche Code Enter karna hoga.

Agar aap ne card ka CVV aur ATM ka Pin extension me nahi dala hai. To wo bhi aap ko payment process ke time enter karna hoga. Jaha jaha bhi Captche Code aayega aap ko enter karna padega.

Finally dosto agar aap ish method ko follow karte hai. To aap 100% Confirm Tatkal Ticket 30 sec ke ander book kar shakte hai. Ish extension ka sab se accha baat yah hai ki. Ish me hum log sab kuch pahle se hi add kar dete hai. App ko bus Captche Code aur kuch banking information dalna baki rahta hai. Aur tatkal ticket ka timing start hote hi yah apna kaam automatic start kar deta hai. App ko bus IRCTC me 1 ya 2 min pahle login ho jana hai.

Asha karta hu dosto ab aap bhi. “100% Confirm Tatkal Ticket Book Karne Ka Tarika” pata chal gaya hoga. Aur ab aap bhi bahut aasani se apna Confirm Tatkal Ticket book kar payege. Yah extension really bahut kamal ka hai.

  • Gorilla Glass Kya Hota Hai Aur Ish Ke Kya Fayde Hai

Dosto aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par share karna na bhule. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko subscribe karna na bhule. Thank You.

Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:

Related Posts

photo background change karne wala app download
Photo Background Change करने वाला Apps डाउनलोड करे?
Jio Sim Kaise Band Kare
Jio Sim Kaise Band Kare – जाने 2 बेस्ट तरीके
Kisi bhi mobile number ki call details kaise nikale
किसी भी Mobile Number की Call Details, History मिनटों में कैसे निकाले?

About Mangal Gupta

Helpsinhindi.com
He is a Indian blogger and share useful content on this blog regularly. If you like his articles then you can share this blog on social media with your friends. Want learn more then Click Here

WHAT OTHERS ARE READING:

Add new name ration card online hindi

FCS राशन कार्ड में नए सदस्य का नाम कैसे जोड़ें? 2025 मात्र 2 मिनट में

Hostgator-India-Par-WordPress-Install-Kare

Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare

CPC-CPM-CTR-CPA-aur-CPL-kya-hai

CPC, CPM, CTR, CPA और CPL क्या होता है? हिंदी में

Reader Interactions

Comments

  1. Chandan Maji says

    kya isme se tatkal ticket guaranteed confirmho jayga ?
    apse direct contact karna chahta hoon…
    ticket ke barein mein ye emergency hai

    Reply

Share Your Comments & Feedback: Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

हमसे सोशल मीडिया पर जुड़ें

कैटेगोरीस

  • Blogging
  • WordPress
  • Seo
  • Adsense
  • Tips And Tricks
  • Facebook
  • Earn Money Online
  • Amazing Facts
  • Whatsapp
  • Internet
  • Mobile
  • Android Apps
  • Youtube
  • Google
  • Festival
  • Computer
  • Web Hosting
  • Affiliate Marketing
  • Jio
  • Life Success
  • Security Tips

Footer

LITTLE ABOUT BLOG AUTHOR

दोस्तों मेरे ब्लॉग Helps In Hindi पर आप सभी का स्वागत है. मै मंगल गुप्ता एक इंडियन ब्लॉगर हु. मैंने ये वेबसाइट लोगो की मदद करने के लिए बनाई है. यहाँ हम अपने audience के लिए internet से सम्बंधित जानकारी हिंदी भाषा में शेयर करते है.

इस साईट पर आप Make Money Online, Blogging, Youtube, Android Apps, Mobile Tips and Trick और New Website कैसे बनाए के बारे में सिख सकते है.

SUBSCRIBE NEWS LETTER

अगर आप चाहते है की, जब भी हमारे साईट कोई new post publish हो. तो आपको तुरंत उस पोस्ट का notification मिल जाये. तो इसके लिए आप हमारे blog को जरुर से subscribe कर ले.

MOST POPULAR POST

  • किसी दुसरे की Phone Call अपने मोबाइल में सुने.
  • किसी भी Mobile Number की Call Details निकाले.
  • Android Phone के 20 Common Problems With Solution.
  • भूमि/ज़मीन का Bhulekh khasra khatauni, नक़ल नंबर कैसे निकले?
  • 2020 में नई वेबसाइट के लिए 21 आसान एसईओ टिप्स

Copyright © 2025 - Helps In HindiAbout UsContact UsPrivacy PolicyDisclaimerSitemap