Aaj hum log janege ki apne blog ke liye free stock images download kaha se kare? Jaisa ki sabhi jante hai. New blogger ko ek problem yah aati hai ki wo apne blog post ke liye royalty free images kaha se download kare. Kyu ki blog ke har ek post me images ki jarurat hoti hai. Agar hum kisi dusre ka image use karte hai to wo copyrighting hoti hai. Aur agar hum apne blog me images ka use nahi karte hai. To humare website ya blog pe visitor bhi attract nahi hote hai.
In sab ke alawa bhi SEO ke lihaz se. Humare blog ke her ek post me images ka hona bahut hi jaruri hota hai. To ab saawal ye aata hai. Hum apne blog post ke liye royalty free images download kaha se kare. Chaliye is post me aaj hum yese hi Stock Photography se related. 10 royalty free images website ke bare me jaan lete hai. Jaha se hum apne website ya blog ke liye free me images download kar shake hai.
Apne blog ke liye free me images download karne ke liye. Aap Stock Photography ki madad le shakte hai. Free stock images ko aap apne blog ya website ke kisi bhi post me use kar shakte hai. Ish ke aalawa bhi aap apne online business ko bhi promote karne ke liye. Online presentaion bana kar free me use kar shakte ho. Agar aap ko in free images pe copyrighting ka daar hai. To aap in shabi website se bahut hi kaam paise me bahut sari images buy kar shakte ho. Kyu ki ye sari websites free images ko sell karti hai.
Aaj hum log Stock Photography se related 10 royalty free images website ke bare me janege. Jaha se aap free me images ko download kar ke. Apne blog ke post me use kar shakte ho. Yaha pe mai aap ko ek baat bata du ki. Ye images free to jarur hai magar 100% copyright nahi hogi. App ache se us ka terms and conditions padh kar hi images ko use kare.
Free Stock Images Download Karne Ki Website
Yaha mai aap ko kuch 10 website ke naam batane ja raha hu. Jaha se aap free me royalty free images download kar sakte hai. In iamges ko aap apne blog ya website ke kisi bhi post me use kar shakte hai. Ye websites bahut hi important hai. Kyu ki hum in websites ki madad se apne blog ke post me images ko daal kar ache se design kar pate hai.
Top 10 Free Stock Images Download Website List
1. Pixabay:
Pixabay free stocks images download karne ke liye sabse best website hai. Free me photo download ke liye yah site mujhe sab se aachi website lagti hai. Mai bhi apni website ke liye yahi se images download karta hu. Jab bhi mujhe apne post ke liye koe bhi images ki jarurat hoti hai. To mai sabse pahle Pixbay pe hi search karta hu.
Aaj ke date me Pixbay pe 920,000 se bhi jayda high quality images available hai. Jo sari ki sari free hai. App chaho to apne post ki jarurat ke hisab se images download kar ke. Apne post me use kar shakte ho.
2.Stock Snap:
Stock Snap se bhi aap apne jarurat ke hisab se free me HD images download kar shakte hai. Ish website ki khaas baat ye hai ki. Yaha pe her roj hajaro ki shakhya me images upload hoti hai.
Ish liye agar app Stock Snap website se apne website ke liye. Images ko download kar ke post me use karte hai. To us download ki hue images me copyright hone ka chance bahut hi kam ho jata hai. Kyu ki yaha pe aap ko hal me hi upload ki hue images mil jati hai. Jo ki abhi tak kisi ne bhi use nahi kaya hai.
3. Flickr:
Flickr mujhe ek bahut hi acchi free images download website lagti hai. Mai apni site ke liye yaha se bhi images ko search karta hu. App flickr se bhi apni pasand ki images ko search kar ke download kar shakte hai.
4. Designer Spics:
Yah bhi ek free stock photo website hai. Ish website se app free me photo download kar ke. apne website pe use kar shakte ho. Mai bhi apni website ke liye kuch images yaha se download kar ke apni site pe use kiya hu.
5. Split Shire:
Split Shire se bhi aap free me photos and images ko high quality me download kar shakte hai. Yah bhi ek bahut hi accha website hai. app ke blog ke post me images use karne ke liye.
6. Unsplash:
Unsplash se bhi aap high quality me images download kar shakte hai. Yaha pe aap ko jayda tar nature se related photo milegi. Aap ko license ke hisaab se hi un ki photo ko copy edit ya share karne ki permission milti hai.
Unsplash website pe aap ko email subscribe karna hoga. Tab hi ja kar wo log aap ke email pe per day 10 photo send karege.
7. Gratisography:
Ish site pe aap ko jitni bhi images milegi wo category wise milegi. Aap aasani se apne bolg ke liye category wise images search kar ke download kar shakte hai. Yaha pe sari images free hoti hai. aur bade size ki hoti hai.
8. Stokpic:
Ish website ki image ko aap apne blog post ke aalawa bhi. Apne bussiness ke liye bhi use kar shakte hai. Ish website pe sari ki sari images free aur acchi quality ki hoti hai.
9. IM FREE:
IM Free website pe bhi aap ko unlimited free me images mil jayegi. Jise aap apne blog ya website ke liye free me use kar shakte ho.
10. Photogen:
Ye website personal work ke liye free me images provied karti hai. Yaha pe aap ko business, nature ya phir animal se related bahut sari images mil jayegi. Yaha se aap free me images download kar ke. apne personal work ke liye use kar shate ho. Ish site ki images acchi aur best quality ki hoti hai.
Note: Is post me maine upper diye huwe jitni bhi website batae hai. Wo free me images provied karti hai. Magar mai aap ko ek baat batana chahuga ki Aap kisi bhi site ka image apne blog me use karne se pahle. Un website ki terms and condition jarur padh le. Nahi to aap ke images me copyright ho shakti hai.
Asha karta hu ki dosto ab aap ko ye pata chal gaya hoga ki. ‘Apne Blog Ke Liye Free Stock Images Download Kaha Se Kare’. Aur ab aap ko apne blog post ke liye images download karne me koe problem nahi hogi. Aap ko ye post pasand aayi to aap jarur share kare aur apne dosto se bhi kahe. Agar aap ka koe saawal hai to aap hume comment kar ke puch shakte hai.
jagdish says
Super information hai
Rinki says
Indian image kha se milegi story ke liye pls reply