Ethical hacking kya hai in hindi : App ne hacking ke bare me bahut kuch suna aur padha hoga. But agar aap ko ish ke bare me jayada knowledge nahi hai. To mai aap ko ish post me details me batane wala hu. Jaise Hacking Kya Hai? Ethical Hacking Kya Hai? Kya Hacking Illegal hai ya Legal? Hackers kitne types ke hote hai? Aase hi bahut sare sawaalo ka jabaab aap ko ish article me mil jayega. So ish post ko app acche se padhe. Taki aap ko hacking se related jankari mil jaye.
App ne cybercrime ke bare me to jarur hi suna hoga. Agar nahi suna hai to mai aap ko bata deta hu. Cybercrime ek aasa crime hai. Jis me hacker computer ka use kar ke. Kisi dusre ki computer se unka important data aur files chura lete hai. Aur un ko blackmail karne lagte hai. Taki unse acche khase paise kamaye ja shake. Cybercrime ki wajah se her saal bahut sari company ko. Apna data wapas pane ke liye bahut sare paiso ki kimat chukani padhti hai.
But ab sawaal yah aata hai ki akhir kaise hackers se computer me rakhe jaruri files ko bachaya jaye. Agar aap ko bhi ish sawaal ka jabaab janna hai. To app ish post ko jarur padhe.
Hacking Kya Hai?
Networking aur computing me hacking ka matlab hota hai. Technical effort ka use kar ke aur bina kisi ka permission liye huwe. Kisi dusre ke network ya computer ko access karna. Hacking kisi bhi computer ya network par unauthorized prawesh ko kahte hai. Jis me hacking karne wale ho hacker kaha jata hai.
Hacking ke naam se hi pata chal raha hai ki. Yah ek galat aur illegal kaam hai. Aur yesa karne par kisi bhi insaan ko saja bhi ho shakti hai. But her baar hacking karna galat bhi nahi hota hai. Kyu ki sabhi hackers galat nahi hote hai. Kuch acche hackers bhi hote hai. Acche aur bure hackers kaun hote hai mai aap ko aage batawga.
Hackers Kitne Tarah Ke Hote Hai Aur Kya Kaam Karte hai?
Basically hackers 3 tarah ke hote hai. Un me se do hackers bure aur ek acche hote hai. Bure hackers bure kaam kar ke logo ko paresaan karte hai. Wahi acche hackers in dono bure hackers se hume bachate hai. Acche hackers ko hum log White hat hacker kahte hai. Aur bure hackers ko Black hat hacker kahte hai. Aur in dono ke bich jo aata hai. Matlab jo acche aur bure dono kaam karte hai unhe Grey hat hacker kahte hai.
1. Black Hat Hacker
Black Hat Hacker apni personal purpose ko pura karne ke liye. Kisi bhi tarah ke rule ko nahi mante hai. Aur wo bina aap ki permission liye huwe. App ke computer me ghush jate hai. Aur aap ka personal data ya files ko chura lete hai. Jaise app ki imp file, corporate data, fund transactions details, credit card number etc. Jaisi chize jo hum apne computer me save kar ke rakhte hai. Wo chura lete hai aur phir wapas dene ke liye. Hum se paiso ki maag karte hai. Black hat hackers bahut hi bure hote hai. Aur inhe Cracker bhi kaha jata hai.
2. White Hat hacker
White hat hacker just black hat hacker ka opposite kaam karte hai. Yah apne exprties aur abilities ka use. Kisi bhi insaan ya company ki Safety aur legal purposes ke liye karte hai. Aur ye acche logo me gine jate hai. White hat hacker humesa app ki permission lekar hi. Aap ki computer ki security ko check karte hai. Taki aap ki system ke security me jo bhi weakness hai use fix kiya ja shake.
App ne suna bhi hoga bahut sari bari bari companiya. Jaise Google, Facebook, Microsoft etc. reward deti hai. Agar aap ne un ke Security me kuch bhi khami nikal diya to.
3. Grey Hat Hacker
Grey Hat Hacker wo hote hai. Jin ka personally roop se koe erada nahi hota hai ki. Wo kisi dusre ke computer ko hack kare. Ya phir unke system ko kharab kare. Aur na hi unko hack karne ke badle me paise chahiye hote hai. Lakin phir bhi wo bina owner ke permission liye bina hacking ki kosis karte hai. Wo sirf hacking majak ke liye ya phir sikhne ke liye karte hai. Unka maksad kisi ka bura karne ka nahi hota hai. Ish liye hum unhe na to bure ke category me rakh shakte hai. Aur na hi acche category me rakh shakte hai. Kyu ki wo bina permission ke hi system ko hack karte hai.
Ethical Hacking Kya Hai – ये legal है या illegal?
White Hat hacking ko aap Ethical Hacking kah shakte hai. Waise bhi Ethical ka hindi me matlab hota hai नैतिक. Aur yese hacker ko app नैतिकता se jodh shakte hai. Kyu ki ye hacker puch kar system ko hack karte hai. Aur aap ke system ke security ko behtar banate hai. Aksar bari bari company yese hacker ko hire karti hai. Taki unke system me Threats khoj kar unhe fix kar shake. Yah bhi ek hacking hi hai. Jise hum ethical hacking kahte hai.
Yani wo hacking jis me kisi bhi system me vulnerabilities ko khoja jata hai. Jis se ki unhe aur bhi secure kiya ja shake Ethical Hacking kahlata hai. Ethical hacker system ko hack karne ke liye kuch rules ko follow karte hai. Jaise bina owner ke permission liye bina kuch na karna.
Asha karta hu dosto ab aap ko “Ethical Hacking Kya Hai” pata chal gaya hoga. Agar ish se juri koe doubt aap ke man me hai. To aap comment jarur kare.
Asha karta hu aap ko mera yah post jarur pasand aaya hoga. Post ko social media par share karna na bhuliyega. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus itna hi. Chalte chalet bus yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: