Ish me koe doubt nahi hai ki. Expired domains ko buy aur sell karna ek profitable aur aasan business hai. But Expired Domain Buy Karne Se Pahle 6 Jaruri Bate. App ko jarur pata hone chahiye. Accha profit pane ke liye hum jab bhi koe domain search karte hai. Ya phir apne blog ya website me use karne ke liye ek acche domain ko find karte hai. To us time hume kuch bato ko jarur dhyan me rakhne chahiye. Jo ki mai aap ko ish post me batane wala hu. Kyu ki expired domain ko buy karne me accha amount invest karne hote hai.
Expired Domain Kya Hai? Expired Domain wah domain hote hai. Jo registrant dwara renew nahi kiya gaya hai. Yah auctioned off hai. Expired domain me aur bhi bahut kuch ho shakte hai. Jaise Google dwara penalized kiya gaya ho.
Expired Domain Buy Karne Se Pahle 6 Jaruri Bate
Hum sab jante hai ki old domain kisi bhi online business ki growth ke liye. Bahut hi beneficial aur accha hota hai. Lekin her bar nahi hota hai. Ish liye expired domain ko buy karne se pahle. Kuch jaruri bato ki jarur dhyan me rakhe. To chaliye suru karte hai aur jante hai ki. Expired domain buy karne se pahle 6 jaruri bate kya hai.
1. Check Whether The Expired Domain Had Spam
Sab se pahle aap yah jarur check kare ki. App job hi expired domain buy karne ja rahe hai. Us me kahi spam to nahi hai. Kyi ki kisi bhi expired domain ki SEO or branding benefit ko pane ke liye. App ko ek span free domain ki jarurat hoti hai.
Ab sawaal yah aata hai ki hum kisi bhi expired domain ka spam kaise check kare. To mai aap ko spam check karne ke liye Wayback Machine tool ko use karne ki salah duga.
2. Check The Spam Links
Ek aur chiz check karne ki jarurat hoti hai aur wah hai Spam Links. Jo batata hai ki expired ho chuke domain ko kahi spaiming ke liye use kiya gaya tha ya nahi. Jise aap us ke historic backlink profile ke dwara check kar shakte hai. But kaise aur kaise ka jabaab hai Majestic SEO ki site se.
Jab aap Majestic SEO ki site par jayege. To aap ko waha do option milege. Pahla Use Fresh Index aur dusra Use Historic Index. Yaha par aap ko apne expired domain URL ko check karne ke liye. Use Historic Index ko select kar ke search karna hai. Search karte hi us expired domain par jitne bhi old backlinks pointed hai show hone lagege. Aur un backlinks ko dekh kar aap nirdhaarit kar payege. Ki un old backlinks me spam hai ya nahi.
App chahe to Ahrefs ke dwara bhi sabhi existing backlinks ko check kar shakte hai. Yah tool bhi website ke backlinks ka bahut bara database hai.
3. Always Check DA/PA of Domain Before Buying
Jab aap yah sure ho jaye ki aap ke domain me spam nahi hai. To aap ka dursa step hota hai us domain ka PA aur DA check karna. Kyu ki PA (page authority) aur DA (domain authority) kisi bhi expired domain. Ya phir live domain ke liye bahut hi important factor hote hai.
DA aur PA Moz dwara start kiya gaya tha. Aur aap unhe Open Site Explorer par check kar shakte hai.
Agar aap kisi bhi expired domain ko buy kar rahe hai. To aap PA aur DA dono ko check kare. Aur DA at least 25+ prapt karne ki kosis kare.
4. Always Check Domain With Google Banned Checker
Agar aap ko high PA, DA wala ek accha domain mil gaya hai. To yah bahut hi acchi baat hai. But ish ka koe fayda nahi milega. Agar google ne pahle se hi use google search engine se banned kar diya hai.
Ish liye aap us domain ko Google banned checker dwara check kare. Aur sure ho jaye ki yah banned nahi hai.
Note : Agar aap ko koe yesa domain pasand aa gaya hai. Jo bhale hi banned hai. But wah aap ke liye bahut hi accha hai. Aur aap use kisi bhi tarah buy karna chahte hai. To aap Google reconsideration request ka use kar ke. Us domain ko un-banning karne ke liye google se request kar shakte hai.
5. Check Google AdSense Ban
Google un hi domains ko ban karta hai. Jo un ke terms and conditions ka palan nahi karte hai. Aur yese bahut sare expired domain hai. Jo already Google Adsense banned hai. So agar aap expired domain par apne liye ek website bana kar. Paise kamane ki soch rahe hai. To domain buy karne se pahle yah jarur check kar le ki. Kahi aap ka domain adsense dwara banned to nahi hai.
AdSense Sandbox Checker tool ki madad se. App bahut hi aasani se yah check kar shakte hai ki. App jo expired domain buy karne ja rahe hai. Wah adsense dwara ban hai ya nahi.
Yaha aap Simply url put kar ke show google ads ki button ke upper click kijiye. Agar ads display ho raha hai. To aap safe zone me hai warna banned hai.
6. Check PageRank Very Carefully
Bahut sare expired ho chuke domain ne page rank me herapheri kiya huwa hai. Aur un ke page rank dekh kar aap bhi dhokha khaye hoge. Ish liye aap Fake PR Checker tool ki madad se un ka page rank jarur check kare. Aur ho shake to kisi dusre tool ki madad se bhi verify karne ki kosis kare.
PR dekh kar bahut sare log expired domain to buy kar lete hai. But baad me unhe pata chalta hai ki yah fake hai. Kyu ki yesa mere saath huwa hai. Aur mai nahi chahta ki aap ke saath bhi ho.
Asha karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Expired Domain Buy Karne Se Pahle 6 Jaruri Bate Kya Hai”. Aur ab aap koe bhi expired domain buy karne se pahle in 6 bato ka jarur khyal rakhege. Agar ish ke aalawa bhi aap ke pass koe points hai. To aap comment box me jarur bataye.
Dosto agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: