Agar Aap Janana chahte hai ki Facebook Group Kya Hai Aur Kaise Banate Hai. To ye post padhte rahiye. Aaj ke date me har kisi ko ye pata hai ki. Social Networking Site me Facebook sabse jada use hone wali Networking website hai. Mai pahle hi bata chuka hu ki Facebook Par Aap Apna Account Kaise Banaye aur Facebook Par Apna Facebook Page Kaise Banate Hai.
Facebook Group Kya Hai?
Facebook Group Facebook Networking Site ke bhitar bana huwa. Ek Page hota hai jis me hum logo ek Online group bana shakte hai. Is group ke log kisi bhi tropic ya subject pe online baat chit kar shakte hai.
Facebook Group Ki Jarurat Kyo Hoti Hai?
Agar app ek se jada logo ke saath ek hi time pe baat chit karna chahte hai. To Facebook Group aap ke bahut kaam aa shakti hai. Jaise maan lijiye ki aap ke school ke bahut sare friends hai. Aur aap apne sare friends ke saath baat chit karna chahte hai. To aap apne sare friends ko mila kar ek group bana shakte hai. Ya phir aap apne family ke sare members ko mila kar bhi. Aap apna Facebook Group bana shakte hai. Agar aap ko kisi bhi subject me interest hai jaise sport ya movies me. To bhi aap apne interest ke hisab se apna Facebook Group bana shakte hai.
Facebook Group Aur Facebook Page Me Kya Difference Hai?
1. Facebook Group me us Group ke sabhi member post kar ke aapas me baat chit kar shakte hai. Wahi Facebook Page kisi famous people, Celebrities ya brand ke liye hota hai. Matlab Facebook Page ka admin hi kewal post daal shakta hai.
2. Facebook Group ko hum private ya secret rakh shakte hai. Magar Facebook Page ko hum private ya secret nahi rakh shakte hai. Matlab ish ki sari post har koe dekh shakta hai.
Facebook Group Kaise Banate Hai?
Step 1: Sab se phale aap apne Facebook account me apna ID aur Password dal kar login ho jaye.
Step 2: Facebook me Login hone ke baad aap Home ke button ke upper click kare. Home ke button ke upper click karne ke baad. App left side me dekhege ki Create Group ka ek option show ho raha hai. Ab aap ko Create Group ke upper click karna hai.
1. Aap jo bhi Group banana chahte hai. Us Group ka naam is field me dale.
2. Is line me aap apne friend list circle me se apne kuch friends ko add kar le. Starting me kam se kam ek ya do friend ko add karna must hai. Aur jis bhi friend ko add kar rahe hai wo aap ke friend list me hone chahiye. Nahi to aap us friend ko group me nahi daal shakte hai.
3. Ab aap ko yaha apne Group ke liye privacy set karna hai. Matlab aap ka Group Public, Closed ya phir Secret hoga. Public Group me koe bhi aap ke Group ko dekh shakta hai. Aur is group me kitne member hai ya phir un members ne kaya kaya post kiya hai wo bhi dekh shakta hai.
4. Closed Group me kewal is group ke members hi. Post kiye huwe masseges dekh shakte hai.
5. Secret Group me kewal is group ke members hi dekh shakte hai. Ki yah group mawjud hai aur kisne kaya post kiya hai.
Note : Closed Group aur Secret Group me difference ye hai ki. Closed Group me baki logo ko is group ke bare me pata to hoga. Magar group ke bhitar kaya kaya post huwa hai. Wo nahi dekh payege aur Secret Group me kisi ko bhi pata nahi hoga. Ki ye group kaya hai ya ish ke bhitar kaun kaun hai. Ya phir un logo ne kaya kaya post kiya hai.
6. Agar aap apne group ko favorite me add karna chahte hai. To app yaha tick out kar de.
7. Sab kuch karne ke baad aap Create ki button ke upper click kar de.
Step 4: Create ke button ke upper click karte hi. Aap ke samne ek new window open hoga.
1. Yaha aap ko apne group ke liye ek icon select karna hai. Agar aap icon nahi select karna chahte hai. To app Skip ki button ke upper click kar de.
2. Icon select karne ke baad. OK ke button ke upper click kar de.
Ok ki button ke upper click karte hi. Aap ka group ban jayega.
Asha karta hu dosto aap ko mera yah post pasand aaya hoga. Aur ab aap ko pata chal gaya hoga ki “Facebook Group Kya Hai Aur Kaise Banate Hai”. Agar aap ka is post se related ya phir blogger ya internet se related koe bhi sawaal hai. To aap hum se comment kar ke puch shakte hai.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Share Your Comments & Feedback: