Helps In Hindi

  • Blogging
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Mobile Tips
  • Sarkari Yojna
  • Amazing Facts
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to footer

Facebook Page Kya Hai Aur Facebook Par Page Kaise Banaye

Posted By: Mangal Gupta Last Updated: Feb 23, 2019

Hello friends aaj hum log janege ki Facebook Page Kya Hai Aur Facebook Par Page Kaise Banaye. Aaj kal aap jaha bhi dekhe aap ko aasani se dekh jayega ki. Aap humare Facebook page ko like kare. Ya phir like ka button dabaye, aur to aur aaj kal TV pe bhi. Facebook Page like karne ko kaha jane laga hai. Is liye dosto aaj hum log janege ki Facebook Page aasani se kaise banaye. But us se pahle hum ye jaan lete hai ki Facebook Page kya hai.

Fafebook Page Kaya Hai Aur Kaise Banaye

Facebook Page Kya Hai?

Facebook Page ek Public Profile hai. Jo bussiness, brands, mashur hastiya ya phir sangathano ke kaam me aati hai. Jaise ki aaj kal ke celebrities matlab mashur hastiya. Apna Facebook page bana kar apna Fans ke saath sampark banate hai. Jis parkar aap ke personal profile me aap ke friends hote hai. Usi prakar Facebook Page me Fans hote hai. Aap ke Facebook page me ungintak Fans ho sakte hai. But aap ke personal profile me sirf 5000 hi friends ho sakte hai.

Facebook Page banane ke liye ek Facebook account ki jarurat hoti hai. Agar aap ke pass abhi tak Facebook me koe account nahi hai. To aap yaha click kar ke jaan le ki Facebook me app apna account kaise banaye.

Facebook Page Kaise Banaye? 

Step 1: Sabse pahle aap Facebook me apna id aur password dal kar log in ho jaye.

Step 2: Login hone ke baad app Create Page ke upper click kare.

Create Facebook Page Part -1

1. Yaha aap upper ke image me dekh rahe arrow button ke upper click kare.

2. Ab aap Create Page ke upper click kare.

  • Adsense Par Account Kaise Banaye – Full Guide

Step 3: Create Page ke upper click karte hi. Aap se samne ek new window open hogi. Aur yaha par aap choose kar sakte hai. Ki aap ko kis tropic par apna Facebook Page banana hai. Matlab aap yaha par apne hisaab se Facebook Page create karne ke liye category select kar sakte hai.

Create Facebook Page Part -2

1. Local Business or Place : Is category me aap apne local business ya place ke liye page bana sakte hai.

2. Company, Organization or Institution : Agar aap ka koe company, organization ya institution hai. To aap ye category select kar sakte hai.

3. Brand or Product : Agar aap ka koe brand ya product hai. To aap ko ye category select karna hai.

4. Artist, Band or Public Figure : Aap agar koe artist, band ya koe mashur hastiya hai. To aap ye category select kar sakte hai.

5. Entertainment : Aap agar koe entertainment related page banana chahte hai. To aap ye category select kar sakte hai.

6. Cause or Community : Ye category baki sab category se bilkul alag hai. Aap apni website ke liye bhi ye category select kar sakte hai.

To chaliye hum Cause or Community ke upper click kar ke ek naya page bana lete hai.

Create Facebook Page Part -3

Cause or Community ke box ke upper click karte hi. Box change ho kar upper ke image ki tarah dekhega.

1. Ish me aap apne Page ka naam dale.

2. Apne page ka naam dalne ke baad Get Started ke upper click kare.

Step 4:

Create Facebook Page Part -4

1. Aap ki page jis tropic pe hai. Us tropic se related 155 sabdo ke andar, ek short description likhe. Taki wo padh kar log ye samajh shake ki aap ka page kis tropic pe hai.

2. Aap apne website, Twitter ya kisi social media ka link ish me daal shakte hai.

3. Save Info ke upper click kare.

  • Facebook Group Kya Hai Aur Kaise Banate Hai

Step 5: Save info ke upper click karne ke baad. Jo page open hoga us page me aap ko apne page ke liye ek profile picture upload karna hai. Agar aap ke pass abhi apne page ke liye profile photo nahi hai. To aap skip kar de kyon ki aap baad me bhi. Apne page ke liye profile picture upload kar sakte hai.

Create Facebook Page Part -5

1. Agar aap ka profile picture aap ke computer me hai. To aap yaha click kar ke apne page ke liye apna profile picture. Apne computer se select kar ke upload kar de.

2. Agar aap apne website ya phir blog se apna profile picture upload karna chahte hai. To aap yaha pe click kare.

3. Apna profile picture upload karne ke baad. Aap Next ki button ke upper click kare.

Step 6:

Create Facebook Page Part -6

1. Agar aap apne is page ko favourites me add karna chahte hai. To app Add to Favourites ke upper click kare.

2. Agar aap Add to favourites nahi karna chahte hai. To app Skip ke button ke upper click kare.

  • Facebook Like Box Apne Blog Me Kaise Add Kare

Step 7: Is step me aap se pucha ja raha hai ki. Aap ke is page ko kaun kaun dekh sakta hai aur kaun nahi dekh sakta.

Create Facebook Page Part -7

1. Location : Ish me aap ko location add karna hai. Aap yaha do option dekh paa rahe hai include aur exclude. Matlab aap ko yaha include me ye set karna hai ki. Aap ke is page ko kaun se location ke log dekhe. Aur exclude me aap ko ye set karna hai ki. Aap ke is page ko kaun se location ke log nahi dekh shake. Location me aap country, state, city ya phir zip bhi select kar sakte hai.

2. Age : Aap ko yaha par ye select karna hai ki. Aap ke is page ko kaun se age ke log dekh sakte hai.

3. Gender : Aap ko yaha par ye select karna hai ki. Aap ke is page ko men dekhe ya women ya phir dono dekh shake.

4. Interests : Is box me aap apne man pasand ke hisab se apna page select kar sakte hai.

5. Save : Apni puri details select karne ke baad. Aap Save ke button ke upper click kar de. Agar aap ye sab details fill up nahi karna chahte hai. To aap Skip ki button ke upper bhi click kar shakte hai.

Lets enjoy dosto ab aap ka Facebook Page ban kar ready ho gaya hai.

Create Facebook Page Part -8

To dosto ab aap jaan chuke hai ki “Facebook Page Kya Hai aur Facebook Page kaise banate hai”. Asha karta hu dosto ki aap ko mera ye post pasand aaya hoga. Agar post pasand aaya hai dosto. To aap se ek request hai ki. Aap humari bhi ek choti si help kar de humare Facebook Page ko Like kar ke.

Humare Facebook Page ko Like karne ke liye Helps In Hindi ke upper click Kare – Helps In Hindi

  • Facebook Par Apne Friend List Ko Kaise Chupaye 

Agar aap ka ish post se related ya phir internet ya blogger se related koe bhi sawaal hai. To dosto aap hume Comment  kar ke apna sawaal puch sakte hai.

लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :

Related Posts

Facebook Messenger Chat Widget Ko Blog-Website Me Kaise Add Kare
Facebook Messenger Chat Widget Ko Blog/Website Me Kaise Add Kare
Facebook ki jankari
फेसबुक की 25 रोचक बातें और जानकारियाँ, Facebook ki jankari
How-To-Turn-Off-Auto-Play-Video-In-Facebook
Facebook Par Apne Aap Chalne Wale Viedo Ko Kaise Off Kare

About Mangal Gupta

Helpsinhindi.com
He is a Indian blogger and share useful content on this blog regularly. If you like his articles then you can share this blog on social media with your friends. Want learn more then Click Here

WHAT OTHERS ARE READING:

Bina Number Dikhaye Call Kaise Kare

बिना अपना Mobile Number दिखाए Call कैसे करे? 2025

ek number se do phone me whatsapp kaise chalaye

एक ही नंबर से दो फ़ोन में Whatsapp कैसे चलाए? 2025

instagram par post schedule kaise kare

मात्र 2 मिनट में Instagram पर पोस्ट शेड्यूल कैसे करें? 2025

Reader Interactions

Comments

  1. Rajesh says

    Bahut achhi post likhi h bhai aapne

    Reply
  2. lakshman prasad says

    plse bhai ek baar meri site ko chek kar ke dekh le issme keya problam hai. mera blog http://www.knowledgehindi.com hai.

    Reply
    • Mangal Gupta says

      Bhai over all to sab thik hai. App thora spelling mistake par dhyan dege to accha hoga.

      Reply
  3. sudarsan panda says

    Facebook par page creat karne ki sari steps apne bahut achi tarika se bataya hai…umid hai app ish tarah se logo ki help karte rahenge.

    Reply
  4. Mukesh Gupta says

    nice post sir aapne meri help kar di kafi fb page banane me thanks

    Reply
  5. aman singh tomar says

    bahut khoob sir aapki post ne meri bahut help ki hai
    tnx sir

    Reply
    • Mangal Gupta says

      Thanks brother…..keep visit

      Reply
  6. Ashutosh Panda says

    Aapne bahat hi achhi tarah se post ko simplify karke elaborate kiya hai. Ye sabse aap me best tarika hai. Keep writing like this bro.

    Reply
    • Mangal Gupta says

      Thanks brother…..keep visit

      Reply
  7. Mahjabeen says

    Sir, aapne bahut achchi jaankari di uske liye thank you so much.

    Reply
  8. Pradeep Kumar says

    nice post sir and very helpful content thank you very much sir.

    Reply

Share Your Comments & Feedback: Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

हमसे सोशल मीडिया पर जुड़ें

कैटेगोरीस

  • Blogging
  • WordPress
  • Seo
  • Adsense
  • Tips And Tricks
  • Facebook
  • Earn Money Online
  • Amazing Facts
  • Whatsapp
  • Internet
  • Mobile
  • Android Apps
  • Youtube
  • Google
  • Festival
  • Computer
  • Web Hosting
  • Affiliate Marketing
  • Jio
  • Life Success
  • Security Tips

Footer

LITTLE ABOUT BLOG AUTHOR

दोस्तों मेरे ब्लॉग Helps In Hindi पर आप सभी का स्वागत है. मै मंगल गुप्ता एक इंडियन ब्लॉगर हु. मैंने ये वेबसाइट लोगो की मदद करने के लिए बनाई है. यहाँ हम अपने audience के लिए internet से सम्बंधित जानकारी हिंदी भाषा में शेयर करते है.

इस साईट पर आप Make Money Online, Blogging, Youtube, Android Apps, Mobile Tips and Trick और New Website कैसे बनाए के बारे में सिख सकते है.

SUBSCRIBE NEWS LETTER

अगर आप चाहते है की, जब भी हमारे साईट कोई new post publish हो. तो आपको तुरंत उस पोस्ट का notification मिल जाये. तो इसके लिए आप हमारे blog को जरुर से subscribe कर ले.

MOST POPULAR POST

  • किसी दुसरे की Phone Call अपने मोबाइल में सुने.
  • किसी भी Mobile Number की Call Details निकाले.
  • Android Phone के 20 Common Problems With Solution.
  • भूमि/ज़मीन का Bhulekh khasra khatauni, नक़ल नंबर कैसे निकले?
  • 2020 में नई वेबसाइट के लिए 21 आसान एसईओ टिप्स

Copyright © 2025 - Helps In HindiAbout UsContact UsPrivacy PolicyDisclaimerSitemap