Kya aap yah soch rahe hai Godaddy Se Domain Name Kaise Kharide. Ya phir kam pasie just rs. 99 me ek accha sa domain name kaha se buy kare. To Doamin name kaise buy kare ki problem is post me solve ho jayegi. Kyi ki aaj hum log janege ki only Rs. 99 me godaddy se pure 1 year ke liye domain name kaise register kare.
Jitne bhi domain registration company hai. Un me se mujhe Godaddy sab se best lagti hai. Kyi ki yah bahut hi purani aur trusted company hai. Acchi baat yah hai ki Godaddy me domain manage karna bhi kafi aasan hai. Is ke alawa aap chahe to Bigrock se bhi domain buy kar sakte hai.
Agar aap blogging me apna carrier banana chahte hai. Ya phir ghar baithe apni website se online paisa kamana chahte hai. To aap ko apne blog ki branding ke liye ek domain name ki jarurat hoti hai. Ish ke liye aap ko bahut jayada paise bhi nahi karch karne hote hai. App ko bus rs. 100 to 600 ke ander ek accha domain name mil jayega. Lekin ish post me hum log only Rs. 99 me domain kaise buy kare janege.
Godaay se aap kewal ek baar hi Rs. 99 me domain buy kar shakte hai. Aur dusri domain lene ke liye aap ko puri payment deni hoti hai. Godaddy se domain buy karne ke liye. App ko sab se pahle godaddy par ek account banana hota hai. To chaliye sab se pahle jaan lete hai ki Godaddy par account kaise banaye.
Godaddy Par Account Kaise Banaye?
Godaddy par account banana bahut hi aasan hai. Chaliye hum log step by step jaan lete hai. Godaddy par hum apna account kaise banaye.
Step 1 : Sab se pahle aap Godaddy ki website par jaye. Aur right side me diye huwe Sign In ki button ke upper click kare.
- Sigin ki button ke upper click kare.
- Create My Account ke upper click kare.
Step 2 : Ab aap ke samne ek new window open hogi. Ish window me aap ko kuch information fill up karna hai. Yaad rahe yaha par apna Email id aur mobile number sahi se dale. Kyu ki Godaddy use verify karta hai.
- In box me aap apna email id dale.
- Yaha aap apne liye username dale.
- Ab aap ek strong password dale.
- Support Pin me aap ko apne liye 4 words ka pin code dalna hai. Kyu ki jab aap Godaddy ke customer care se baat karna chahege. Ya phir apne account ki verification ke liye. Wo aap se aap ki account ki pin magte hai.
- Captcha code dale.
- Finally Create Account ke upper click kar de.
Create Account ke upper click karte hi. Aap ka Godaddy me account ban kar ready ho jayega. Ab aap ko apne liye domain buy karna hai. Chaliye step by step jaan lete hai ki godaddy se domain buy kaise kare?
Godaddy Se Domain Name Kaise Kharide?
Godaddy se domain name buy karna bhi bahut aasan hai. To phir chaliye Godaddy se only Rs. 99 me domain name buy kar lete hai.
Step 1 : Sab se pahle aap Google.com ki site par jaye. Aur waha “Godaddy” ya “Domain Register” type kar ke search kare. Result me GoDaddy – Official Site – Rs99 Domain Sell ke upper click kare.
Step 2 : Click karte hi aap GoDaddy ki Official Site par chale jayege. Yaha aap ko apne liye domain name search karna hai.
- Apna domain name type kare.
- Domain name type karne ke baad search ki button ke upper click kare.
Step 3 : Agar aap ka domain name available hoga. Tab aap ke samne yah massage show hoga. YES! YOUR DOMAIN IS AVAILABLE. Aur jab aap ko apne man pasand ka domain mil jayega. Tab aap “Add to Cart” kar ke “Continue to Card” ki button ke upper click kar de.
Step 4 : Ab aap ke samne jo new page open huwa hai. Ish page me aap ko proceed to checkout ke upper click karna hai.
- Yaha 1 Year ko select kare.
- Ab aap “Proceed to Checkout” ke upper click kare.
Step 5 : Proceed to checkout ke option par click karte hi. App ke samne ek new window open hogi. Jaha aap ko apne godaddy ke account me login karna hai.
Step 6 : Login karte hi ek new page phir se open hoga. Ish page me aap ko apni billing address ki puri details sahi se fillup karni hai.
- Apne billing ki puri information sahi se fillup kare.
- Yaha payment method ko select kare.
- Captcha code ko sahi se fillup kare.
- Finally Place your order ki button par click kar de.
Payment kar dene ke baad aap ko aap ki domain ki details mil jayegi. Domain ko dekhne ke liye, Godaddy ke home page par apni profile name ke upper click kare. Aur waha par “Manage My Domains” ko select kare.
Finally ab aap ka domain aap ke blog ke liye ready hai. Aur ab aap apne domain ko blog me add kar shakte hai.
Domain Name Kya Hota Hai?
Domain Name kisi bhi blog ya website ka web address hota hai. Jis ke dwara koe bhi insaan aap ke blog ya website tak pahuchta hai. For example mere blog ka domain name helpsinhindi.com hai. Aap ish hi web address ke dwara mere blog tak pachute hai.
Domain name bahut types ke hote hai. But aap Top Level Domains (TLD) hi buy kare. Jaise .com (commercial), .org (organization), .net (network) etc. Kyu ki ish tarah ki domain ki madad se aap apne website ko aasani se rank kar shakte hai. Aur ish tarah ke domain seo friendly hone ke karan. Google search engine bhi jayada importance deta hai.
Asha karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Godaddy Se Domain Name Kaise Kharide Just Rs. 99 me”. Agar phir bhi aap ko apne liye domain buy karne me koe problem aati hai. To aap hume comment karke puch shakte hai.
Dosto agar aap ko mera yah post ‘Godaddy Se Domain Name Kaise Kharide’ pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko subscribe jarur kar le. Thank You.
Nidhi says
Very nice blog and nice writing
Mahesh chandra vishwakarma says
mobile se payment kaise kare
Pushpa singh says
आपने सारे स्टेप्स बहुत अच्छे से समझाया है धन्यवाद