Helps In Hindi

  • Blogging
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Mobile Tips
  • Sarkari Yojna
  • Amazing Facts
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to footer

Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare

Posted By: Mangal Gupta Last Updated: Feb 20, 2019

Hello friends aaj hum log janege ki Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare. Her ek new blogger ko ye janna bahut hi jaruri hai ki. Wo apne hosting me wordpress blog ko kaise install kare. Aur kis kis baat ka khyal rakhe. Taki aage chal kar kisi bhi tarah ka problem face na karna padhe. Web hosting provide karne wali aap ko bahut sari acchi companies mil jayegi. Jaise Godaddy, Hostgator ya phir Bluehost. Jo aap ko apni hosting me wordpress ko install karne ka permission deti hai. To chaliye ab hum jaan lete hai ki ‘Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare’.

Hostgator-India-Par-WordPress-Install-Kare

Agar aap ne abhi tak hosting buy nahi kiya hai. To sab se pahle Hostgator Par Hosting Kaise Buy Kare jarur padh le aur jaan le. Kyu ki kisi bhi wordpress blog ya website ke liye hosting bahut hi jaruri hota hai. Jis me aap ke sabhi files aur data store rahte hai. Taki aap ka mehnat bekar na ho. In my case mera blog bhi hosting bhi Hostgator India par hi hai.

Hostgator.in aap ke domain aur hosting ko manage karne ke liye custom cPanel deta hai. Jis par hum wordpress ke aalawa bhi aur bahut kuch install kar shakte hai. To chaliye ab hum log step by step jaan lete hai ki. Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare.

  • Image Ko SEO Friendly Kaise Banaye

Hostgator India की Hosting पर WordPress Blog को कैसे install करें?

WordPress ko Hostgator India ki hosting me install karna bahut hi aasan hai. Hosting lene ke baad aap ka sab se pahla kaam domain ko hosting account par point karna hai. Matlab aap ne jaha se bhi apna domain regisration kiya hai. Waha par hosting ke DNS code add karna hai. To mai maan leta hu ki aap ne Hostgator India ke hosting account ke saath apna domain name point kar liya hai. To chaliye ab hum log suru karte hai.

Step 1 : Sab se pahle aap manage.hostgator.in par jaye. Aur login kare. Login karne ke baad Manage Order >>List/Search Orders ke upper click kare.

Hostgator Cpanel

Step 2 : Product hosting ke ander domain name ke upper click kare.

Hosting and Nameserver

Step 3 : Ab Manage Web Hosting ke upper click kare.

Manage Web Hosting

Step 4 : Yaha ek new pop-up open hoga. Jo aap ko cPanel hosting ke account me le jayega. Yaha aap scroll down kar ke niche aaye jaha Softaculous Apps Installer likha huwa hai.

Softaculous apps installer

Ish me Wordpress ka option hoga us ke upper click kare.

  • Google Ke Search Engine Me Apne Blog Ya Website Ko Kaise Submit Kare

Step 5 : WordPress ke upper click karte hi. WordPress ka installation page open ho jayega. Yaha aap ko kuch basic setting karni hai.

Click on Install for wordpress

Install ke upper click kare. Aur ish me di hue sari jankari ko acche se fill up kare.

Wordpress Instalaation Setting

1. Choose Protocol : Yaha aap ko yah decide karna hai ki. Aap ka blog www ke saath open hoga. Ya ki bina www ke saath. In my case mai with www ka use karta hu. Waise aap chahe to without www ke saath use kar shakte hai. Kyu ki short domain name accha hota hai.

2. Choose Domain : Agar aap ke pass ek se jayada domain hai. To aap ko wo domain name choose karna hai. Jis par aap WordPress blog install karna chahte hai.

3. In Directory : Ish me wp likha hoga. App ish se remove kar de. Kyu ki agar aap remove nahi karte hai. To aap ka blog example.comwp se open hoga. Ish liye Example.com se apne blog ko open karne ke liye aap wp ko remove karna hoga.

4. Site Name : Yaha aap apne site ka naam daliye.

5. Site Description : Ab aap apne site ka description 4-5 words me daliye.

Note : App apna Site Name aur Site Description baad me bhi change kar shakte hai.

Step 6 : Admin Account Section Setting me. Aap ko apne wordpress blog ka login details configure karna hai.

WordPress-Admin-accoujnt

Admin Username : Blog ke liye Username choose kare.

Admin Password : Koe complex password select kare. Taki dusra koe bhi ish ka pata na laga paye.

Admin Email : App jis email se apne wordpress blog ko manage karna chahte hai. Us email id ko yaha dale jise aap access karte ho. Kyu ki ish email id par ek email aayega. Jis ka aap ko baad me jarurat padega.

  • WordPress Par Free Blog/Website Kaise Banaye Full Guide

Step 7 : Advanced Options ke upper click kare. Aur niche diye gaye setting ko acche se follow kijiye. But dhyan rahe last option “Email installation details to” me ek email address dalna hai. Kyu ki installation complete hone ke baad aap ke email par bahut hi important information aayega. Jo aap ko baad me kaam me lagega.

1. Auto upgrade ke samne tickout kare.

2. Automatic backups ke samne once a day select kare.

3. Apna Email address enter kare.

4. Finally Install ke button ke upper click kar de.

Install ke button ke upper click karte hi. Aap ka blog install hona suru ho jayega. WordPress blog ka installation complete hone me kam se kam 1-2 min ka time lagega. installation complete hote hi. Aap ke email id pe ek message aayega. Jis me aap ke wordpress blog ka admin details hoga.

Ab aap apne WordPress Dashboard me apna username aur password daal kar login ho jaye. Jo username aur password aap ne wordpress blog install karte time diya tha. Apne dashboard ko open karne ke liye. Aap apne browser me “Your domain name.com/wp-admin” link open kare.

WordPress Blog Ke Saath Blogging Start Karne Se Pahle Kuch Jaruri Changes?

  • Hello world post ko delete kar dijiye.
  • Pages ke ander sample pages ko bhi delete kar de.
  • Settings >> Permalink me ja kar permalink structure ko as name select kar lijiye.
  • Yoast SEO plugin ka jarur use kare.
  • Akismet plugin ko install aur configure kar lijiye.

Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga ki. “Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare”. Installation complete ho jane ke baad aage kya karna hai. Yah hum log aane wale post me baat karege.

  • Blogspot Blog Ko WordPress Par Kaise Transfer Kare With SEO

Agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To please ishe jarur share kare. Aur apne dosto se bhi share karne ke liye kahe. App ka agar ish post se related koe sawaal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.

Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:

Related Posts

Hostgator India Par Hosting Kaise Kharide
Hostgator India Par Hosting Kaise Kharide Full Guide
Wordpress Par Blog Banane Ke Baad Kya Kare
WordPress Par Blog Banane Ke Baad 15 Essential Setting Jarur Kare
Wordpress Me Error Establishing A Database Connection Ko Kaise Fix Kare
WordPress Me Error Establishing A Database Connection Kaise Fix Kare

About Mangal Gupta

Helpsinhindi.com
He is a Indian blogger and share useful content on this blog regularly. If you like his articles then you can share this blog on social media with your friends. Want learn more then Click Here

WHAT OTHERS ARE READING:

instagram par post schedule kaise kare

मात्र 2 मिनट में Instagram पर पोस्ट शेड्यूल कैसे करें? 2025

Atm machine se paise transfer kaise kare

ATM Machine से पैसे Transfer कैसे करे? हिंदी में

Bharat me kitne rajya hai

2025 वर्तमान भारत में कुल कितने राज्य हैं?

Reader Interactions

Comments

  1. neelesh says

    Sir muJe blogger blog ko WordPress par migrat krna hai par me blogger par jo domain use kar rha Hu. kya isi domain ke saath hosting par wordpress install kar skta Hu ya mujhe is doamin ko blogger se remove krna pdega

    Reply
    • Mangal Gupta says

      Haa App same domain name ke saath wordpress install kar shakte hai.

      Reply
  2. dharmesh rajput says

    bahut achhi jankari share ki hai

    Reply

Share Your Comments & Feedback: Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

हमसे सोशल मीडिया पर जुड़ें

कैटेगोरीस

  • Blogging
  • WordPress
  • Seo
  • Adsense
  • Tips And Tricks
  • Facebook
  • Earn Money Online
  • Amazing Facts
  • Whatsapp
  • Internet
  • Mobile
  • Android Apps
  • Youtube
  • Google
  • Festival
  • Computer
  • Web Hosting
  • Affiliate Marketing
  • Jio
  • Life Success
  • Security Tips

Footer

LITTLE ABOUT BLOG AUTHOR

दोस्तों मेरे ब्लॉग Helps In Hindi पर आप सभी का स्वागत है. मै मंगल गुप्ता एक इंडियन ब्लॉगर हु. मैंने ये वेबसाइट लोगो की मदद करने के लिए बनाई है. यहाँ हम अपने audience के लिए internet से सम्बंधित जानकारी हिंदी भाषा में शेयर करते है.

इस साईट पर आप Make Money Online, Blogging, Youtube, Android Apps, Mobile Tips and Trick और New Website कैसे बनाए के बारे में सिख सकते है.

SUBSCRIBE NEWS LETTER

अगर आप चाहते है की, जब भी हमारे साईट कोई new post publish हो. तो आपको तुरंत उस पोस्ट का notification मिल जाये. तो इसके लिए आप हमारे blog को जरुर से subscribe कर ले.

MOST POPULAR POST

  • किसी दुसरे की Phone Call अपने मोबाइल में सुने.
  • किसी भी Mobile Number की Call Details निकाले.
  • Android Phone के 20 Common Problems With Solution.
  • भूमि/ज़मीन का Bhulekh khasra khatauni, नक़ल नंबर कैसे निकले?
  • 2020 में नई वेबसाइट के लिए 21 आसान एसईओ टिप्स

Copyright © 2025 - Helps In HindiAbout UsContact UsPrivacy PolicyDisclaimerSitemap