Sabse Acha Mobile Konsa Hai : Agar aap second hand mobile kharidne ki soch rahe hai, to jarur kharide. But Second Hand Mobile Kya Dekh Kar Kharide. Yah aap ko jarur pata hona chahiye. Warna kahi yesa na ho jaye ki. Aap ko second hand mobile karidna mahga padh jaye. Kyu ki kisi se bhi chalte firte mobile phones kharidna acchi baat nahi hoti hai. Aur aap ko yesa karna bhi nahi chahiye. Agar koe bhi purana mobile sale kar raha hai. To us purane mobile ko buy karne se pahle. App ko kuch jaruri bato ka khyal rakhna chahiye. Jo ki mai aap ko ish post me batane wala hu.
Bahut baar yesa bhi hota hai ki. Mobile ka jayada knowledge nahi hone ke karan. Hum mobile buy to kar lete hai. But baad me hume pachtana bhi padhta hai. Kyu ki hum apne jarurat ke hisab se mobile nahi le pate hai. Ya phir us mobile me kuch problem nikal jati hai.
Second Hand Mobile Buy Karne Se Pahle Kuch Secret Tips
Second Hand Mobile kharidne se pahle hum logo ke dimag me. Ek baat jarur aata hai ki aakhir kyu wo apna mobile sale kar raha hai. Kahi yah mobile chori ka to nahi hai. Ya phir ish mobile me koe problem to nahi hai. Inhi sab bato ko dhyan me rakh kar hi. Mai aap ko ish post me Second Hand Mobile Buy Karne Se Pahle Kuch Jaruri Secret Tips And Tricks batane ja raha hu.
1. IMEI Number Check Kare
Aap jab bhi koe second hand mobile buy kar. To sab se pahle aap us mobile ka IMEI Number check kare. Kisi bhi mobile ka IMEI number check karne ke liye. App us mobile me *#06# dail kare. Dail karte hi aap ke samne us mobile ka IMEI number show hone lagega. IMEI number check karne se aap ko pata chal jayega ki. Yah mobile kisi china ka ya imei no. ko modify kiya huwa to nahi hai.
App chahe to us IMEI number ko lekar imei.info ki website par jakar verify kar shakte hai. Yaha aap ko aasani se pata chal jayega ki. Yah IMEI number Original hai ya Fake. Ish website par aap ko IMEI number dwara us phone ki puri details mil jayegi.
2. Kahi Mobile Chori Ka To Nahi Hai Check Kare
Agar aap second hand mobile kharid rahe hai. To aap ko bahut hi savdhani se pata lagana hoga ki. Kahi yah mobile chori ka toh nahi hai. App us se mobile ka bill aur box mage. Agar wo kuch bhi nahi de pa raha hai. To aap us mobile ke IMEI number ko imeidetective.com ki website par ja kar check kare.
Agar wah mobile chori ka hoga. To us mobile ke malik ne us ka number trcking ke liye jarur daala hoga. Aur aap chori ka mobile kharidne se bach jayege. Ish ke saath saath kisi dusre ko bhi apna mobile wapas pane me madad milegi.
3. Battery Life Check Kare
Second hand mobile kharidne se pahle. Us ka battery life bhi check karna bahut jaruri hota hai. Battery Life check karne ke liye aap us mobile ko kam se kam 5 min tak Stand- By Mode par rakh de. Aur phir 5 min baad check kare ki mobile ki battery kitni % kam hue.
Example ke liye maan lijiye ki. Stand by par rakhne se pahle us mobile ki battery 70% thi. Aur 5 min tak stand by par rakhne ke baad. Mobile ki battery 67% ho gae hai. To samajh liye hi us mobile me problem hai. So us mobile ko aap soch samajh kar hi buy kare.
4. Check Mobile Charger
Agar second hand mobile ke saath us ka charger bhi mil raha hai. To us charger se mobile ko 5 min tak charge kare. Aur check kare ki battery ka level kitna % badh raha hai. Agar battery kewal 2 se 3 % hi charge huwa hai. To samajh lijiye ki kuch ghadbad hai. But 5 min me agar battery 5 se 6 % tak charge huwa hai. To us mobile aur charger me koe problem nahi hai. App us mobile ko le shakte hai.
5. Calling Check Kare
Koe bhi second hand mobile lene se pahle. Aap us mobile se kam se kam 4 se 5 min call send aur receive kare. Taki aap ko pata chal jaye ki us mobile ka speaker ya mic me koe problem to nahi hai. Calling karne se aap ko us mobile phone ka sound quality bhi pata chal jayega.
6. Front Aur Back Camera Check Kare
Kisi bhi smartphone me camera ka bahut bara role hota hai. Ish liye aap bhi yah jarur check kare ki. Us smartphone ka camera quality kaisa hai. Front aur Back Camera acche se work kar raha hai ya nahi. Agar aap yah check nahi karte hai. To phone lene ke baad aap ko pachtana padh shakta hai.
Dosto ish ke aalawa bhi bahut kuch check karne ko hai. But wah depend karta hai app ke requirement ke upper. Jiase aap ko ram kitna chahiye, 3G ya 4G network chahiye. Magar yah secondary chiz hai. Aur maine jo aap ko tips bataye hai. Use aap sab se pahle chaek kare. Finally asha karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Second Hand Mobile Kya Dekh Kar Kharide”.
Aap ko mera yah post kaisa laga. Mera yah post pasand aaya hai to ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus intna hi. Chalte chalet bus yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: