What Is SEO In Hindi : SEO kisi bhi blog ya website ke liye bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki SEO ke bina aap kabhi bhi apne blog ya website ke dwara. Search engines se quality traffic receive nahi kar shakte hai. Blog ya website par traffic generate karne ke bahut sara tarike hai. Jaise Social Traffic, Organic Traffic, Referral Traffic etc. But jo traffic search engine se milta hai. Use Organic Traffic kahte hai. Aur Organic Traffic hi sab se best traffic ka source mana jata hai. Ish liye hum log SEO ke bare me details me janne ki kosis karege ki. Taki aap bhi apne blog par organic traffic generate kar shake. Chaliye sab se pahle jaan lete hai ki. ‘SEO Kya Hai aur yah kaise kaam karta hai’.
Blogging me successful hone ke liye. SEO ka bahut bara role hota hai. Kyi ki agar aap online business karna chahte hai. To aap ke site ki ranking acchi honi bahut hi jaruri hoti hai. Kyu ki tab hi aap ke site par visitors aayege. Aur aap accha business kar payege. Google me aap ki site ko acchi position pane ke liye. SEO ki hi jarurat padhti hai. Ish post me mai aap ko SEO ke bare me wo sari jankari duga. Jo aap ko jarur pata hona chahiye.
SEO क्या है – What Is SEO In Hindi
SEO ka pura naam “Search Engine Optimization” hai. Jis ka simple sa matlab hai ki apne blog ya website ko search engine ke liye optimize karna. Jaisa ki hum sabhi ko pata hai. Google aaj ke date me duniya ka sab se bara search engine hai. Ish ke aalawa bhi Bing, Yahoo, Yandex jaise bhi search engine hai. Aur SEO ke dwara hi hum log apne site ko search engine me acche position par rakh shakte hai.
Ab sawaal aata hai ki SEO kaise karte hai. Kyu ki her koe chahta hai ki us ke site par jayada se jayada visitors aaye. To chaliye niche hum log kuch Question-Answer ke Style me janne ki kosis karte hai.
Kya SEO Karna Difficult Hai?
SEO karna koe difficult kaam nahi hai. Agar aap kuch chize carefully dhyan me rakhege. Aur kuch tips ko follow karege. To aap bahut hi aasani se apne blog ya website ke liye high organic traffic pa shakte hai. Bus jarurat hai us lesion ko acche se samajh kar follow karne ki.
SEO Blog Ya Website Ke Liye Kyu Jaruri Hota Hai?
Agar aap online business karte hai. Ya phir aap ke pass koe blog or website hai. To us blog ya website ko logo tak pahuchane ke liye. Hum SEO ka use karte hai. Kyu ki kisi bhi online business me sab se important chiz hota hai customer. Maan lijiye aap ne ek bahut hi accha blog banaya hai. Aur us blog me aap ne high quality ke contents bhi publish kar diya hai. But agar aap ne SEO ka use nahi kiya hai. To aap ka site logo tak nahi pahuch payega. Aur aap ko blog banana ka koe bhi fayda nahi hoga.
Agar aap SEO ka use nahi karege. To koe bhi user jab aap ke site par mawjud content ko search karega. To aap ka website search engine me show nahi hoga. Apne website ka traffic increase karne ke liye SEO ka use karna bahut jaruri hai. SEO ka use karna bahut jayada muskil kaam bhi nahi hai. Agar aap thori si mehnat kare to ishe aap aasani se sikh shakte hai.
Some Important Factors Of SEO
Yese bahut sare factor hai. Jin he hum dhyan me rakh kar. Apne blog ya website ko Search Engine ke liye optimize kar shakte hai. Un me kuch important points niche diye gaye hai.
- Quality of Content
- Use of Keywords With Content
- Use of Visual Content Like Images And videos
- Hyperlinking
- Backlinks
- Domain name and Hosting
- Permalink
Types Of SEO – Search Engine Optimization Techniques
Generally, SEO 2 tarah ke hote hai. Pahla On Page SEO aur dusra Off page SEO.
On Page SEO :
On Page Seo me aap apni site ke upper kaam karte hai. Taki app ki site ko search engine me accha rank mil shake. Search engine me behtar rank pane ke liye. App ko content quality, keyword optimization, title, tags etc. ke upper kaam karna hota hai. Aur jayada jankari ke liye aap mera yah post padhe. On-Page SEO Kya Hai Aur On-Page SEO Se Apne Post Ko Perfectly Optimize Kaise Kare. Ish post me aap ko On-Page SEO ki complete guide mil jayegi.
Off page SEO :
Ish me aap mostly link building activities karte hai. Jaise ki forums, social media sharing and promotion, guest posting etc. Off page seo ko aur acche se samajhne ke liye aap yah post jarur padhe. Off Page SEO Optimization Se Blog Ki Traffic Kaise Badhaye. App ko puri Complete Guide mil jayegi.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “SEO Kya Hai – What is Seo in Hindi”. Agar phir bhi aap ka SEO se related koe sawaal hai. To aap comment kar ke jarur puche.
Dosto aap ko mera yah post pasand aaya hai. To social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus itna hi. Chalte chalte bus yahi kahuga app apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Sanjay says
Sir WP me sare dot green Krna jaruri hota h kya
Mangal Gupta says
Ha…
lg arvind gupta says
sir कभी कभी ज्यादा यूआरएल submit करने मै देखता हु google fetch हमारे यूआरएल को error दिखा देता लेकिन sir एक दो घंटे बाद submit करने पर हो जाता sir इस समस्या से बहुत परेसान हो गया हु , क्यू की हमारे कंपनी में बहुत ज्यादा यूआरएल submit करना पड़ता और जो यूआरएल error दिखा देता है उसको remove करना हमें मुश्किल हो जाता है sir आप कृप्या हमें ये बताइए sir की error यूआरएल को हम कैसे remove करे
Hindi Blog Advice says
bahut hi acchi jaankari di hai sir aapne 🙂
Thanks
Mangal Gupta says
Thanks bro… Keep visit…
Bigg Nutrition says
Very good article shared, thanks for this.