Hellow dosto aaj hum log janege ki Virtual Reality (VR) Aur VR Handset Kya Hai. Aaj kal aap ko VR handset ke bare me bahut kuch sunane ko mil raha hoga. To phir chaliye aaj hum log jaan lete hai ki Virtual Reality kya hai aur hum VR handset ka better istmal kaise kar shakte hai. VR Handset ke kaya fayade hai. VR Handset ke liye banaye gaye kaun kaun se apps hai.
Aap logo ne to suna hi hoga ki hum jaisa chasma pahnte hai. Duniya bhi hume wasi hi dikhati hai. VR handset bhi ek chasme ki hi tarah hai. Jise pahnne ke baad aap ghar baithe ek nayi duniya me chale jate hai. Waise to Virtual Reality ke naam se hi pata chalta hai ki. Reality means Real hai aur Virtual means jo asala me hai hi nahi. Matlab real sa lagne wala ek aasa anubhav jo asala me nahi hai.
Virtual Reality Aur VR Handset Kya Hai?
Virtual Reality ek computer simulated environment hai. Jo aap ke aakho ke charo taraf jata hai. Jis ke wajah se aap ko lagta hai ki. Aap us jagah per hai jo aap ko dhikhaya ja raha hai. Magar vaastavik me aap wahi par hote hai jaha par aap the. Udaaharan ke liye jab aap Eiffel Tower ko VR handset ki madad se dekhege. To aap ko aisa lagega ki aap real me Eiffel Tower ke samne khade hai. Aur app jis taraf bhi apna sir ghumayege aap ko Eiffel Tower ka image dhekhega. Kisi bhi viedo ko VR (Virtual Reality) ke tarah dekhne ke liye. Ek tarah ke khas device ki jarurat hoti hai. Jise VR handset kahte hai. VR handset ke teen parts hote hai.
1. Plastic Ya Fiber Ka Cover
2. Lens
3. Headphone
Agar gaming VR handset hai. To uske saath joystick bhi diya jata hai. Jise haath me lekar motion sensor ki madad se game ko control kiya jata hai.
VR handset me Viedo 2 tarah se play kiye jate hai.
1. Direct VR Handset Per
2. Mobile Screen Ki Madad Se
Kya Fayade Hai VR Handset Ke…….
1. Smartphone ka viedo dhekne me yesa lagta hai ki. Hum badi screen par viedo dekh rahe hai.
2. 3D effect hone ke karan viedo dekhne me jada maja aata hai.
3. VR Handset par hume viedo ke alawa kuch bhi aur nazar nahi aata hai.
4. VR Handset portable hone ke karan hum ise kahi bhi asani le kar travel kar shakte hai.
VR Handset Ke Liye Banaye Gaye Apps……
VR Handset ke liye kuch khas Apps banaye gaye hai. Jise aap google play store se free me download kar shakte hai. Apps me kuch aise videos hai. Jo aap ko Virtual Reality ka tour karte hai.
1. Cardboard
2. Jurrasic VR – Google Cardboard
3. VR Roller Coaster
4. Titans of Space Cardboard VR
5. Fish Schooling VR
6. VR Cinema for Cardboard
VR Handset Ki Price Aur Kaha Se Purchase Kare?
1. Cardboard VR Device – Ye aap ko Amazon aur Snapdeal pe aasani se mil jayega. Ish ki kimat Rs. 150 to Rs. 400 tak hoti hai.
2. Plastic Headsets – Ye aap ko kisi bhi eCommerce website pe pe aasani se mil jayega. Ish ki kimat Rs. 1500 to Rs. 3500 tak hoti hai.
3. Gear VR – Ye puri tarah se complete VR Handset hota hai. Ish ki kimat Rs. 8000 to Rs. 12000 tak hoti hai.
Aasa karta hu dosto “Virtual Reality (VR) Aur VR Handset Kya Hai“. Aap ko samajh me aa gaya hoga aur aap ko ye post bhi pasand aayi hogi. Agar aap chahte hai ki aap ko isi tarah ki nayi nayi jankari milti rahe. To aap ish se share aur subscribe karna mat bhuliyega.
Agar aap ko is post se related ya phir blogger ya internet se related. Koe bhi samsya hai to aap hume comment kar ke bhi puch shakte hai. Hume aap ki help kar ke bahut khushi hogi.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
AMARJEET says
Nice article sir, neet, and clean
you are awesome