Helps In Hindi

  • Blogging
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Mobile Tips
  • Sarkari Yojna
  • Amazing Facts
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to footer

WordPress Plugin Kya Hai Aur WordPress Blog Me Plugin Kaise Install Kare

Posted By: Mangal Gupta Last Updated: Feb 20, 2019

Hello friends aaj hum log janege ki. WordPress Plugin Kya Hai Aur WordPress Blog Me Plugin Kaise Install Kare. Agar aap ne abhi abhi apna blog WordPress pe banaya hai. Aur aap WordPress plugins ke bare me acche se janna chahte hai. To aap sahi jagah pe hai kyu ki mujhe pata hai. Beginners ko starting me sahi knowledge nahi hone ke karn problem aati hai.

Wordpress Plugin Kya Hai Aur WordPress Blog Me Plugin Kaise Install Kare

Waise bhi agar hum baat kare WordPress blog ki. To wordpress blog plugins ke bina adhura hai. Kyu ki plugins wordpress ki jaan hai. Agar aap apne wordpress blog me koe bhi new feature add karna chahte hai. To app ko ek acche developer ki jarurat hoti hai. Aur uske liye aap ko paise bhi dene padhte hai. But wordpress plugin usi kaam ko aap ke liye free me kar deta hai. Agar aap ko coding nahi aati hai. To aap ke liye ye best solution hai. To chaliye jayada bate na karte huwe ab hum jaan lete hai. ‘Wordpress Plugin Kya Hai Aur WordPress Blog Me Plugin Kaise Install Kare’.

WordPress Plugins Kya Hai?

Hum aasan sabdo me kah shakte hai ki. Plugin ek simple code ka group hai. Jo wordpress ke upper jayada load na dete huwe. Ish ke feature ko badha deta hai. Matlab Plugins WordPress ki functionality ko aap ke liye expand kar deta hai.

WordPress official plugin directory me aap ko alag alag future ke Lakho plugins mil jayege. 1 single feature ko bhi add karne ke liye ek se jayada plugins available hai. Jo app apne jarurat ke hisab se apne wordpress blog me install kar shakte hai. But ye khash feature Google Blogger users ke liye available nahi hai.

  • Apne WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare – Full Guide

WordPress Blog Ke Liye Kuch Jaruri Plugins

Agar aap wordpress user hai. To aap ko wordpress ke kuch jaruri plugins ke bare me jarur pata hona chahiye. Kyu ki in plugins ke bina aap ka kaam nahi hoga. To chaliye hum jaan lete hai wo kaun kaun se plugin hai.

1. Jet Pack by WordPress : Yah ek bahut hi accha plugin hai. Jo aap ke Website ka Traffic Details batata hai. Ish plugin me Traffic Details ke alawa bhi bahut kuch available hai.

2. Yoast SEO : Yah plugin SEO ke liye famous hai. Ye aap ki blog ka basic se lekar advanced tak SEO me aap ki help karega.

3. Akismet by WordPress : Yah plugin spam comments ko rokne ke liye hai. Akismet automatically aap ke spam comments ko filter kar ke spam comments ki list me alag se daal deta hai.

4. UpDraftPlus Backup and Restoration : Ish plugin se aap apne wordpress blog ka full backup le shakte hai. Aur jarurat padhne pe phir se use restore bhi kar shakte hai.

5. W3 Total Cache : Agar aap ki website show open hoti hai. To ye plugin aap ki website ko fast open karne me help karegi.

6. Contact Form 7 : Ish plugin ki madad se aap ka koe bhi visitors. Aap ke Email pe turant contact kar shakta hai.

7. Wordfence Security : Yah plugin aap ke wordpress blog ko bahut sari chizo se secure karta hai. Jaise hacker dwara aap ke site pe attack ho ya phir koe internal problem.

8. Copyright Protection : Yah plugin aap ke website ke data ko copy hone se secure rakhata hai. Matlab aap ke website ka data koe aasani se copy nahi kar shakta hai.

How to Install WordPress Plugins – वोड्प्रेस प्लगइन कैसे इनस्टॉल करे

Hum log aaj apne wordpress blog pe 3 tariko ki madad se plugin install karna janege. In 3 tariko me se pahla sabse aasan hai. Dusra thora sa hard hai aur tisra advanced users ke liye hai. App ko jo pasand aaye aap try kar shakte hai.

1. WordPress Plugins Dashboard Se Install Kare

Dashboard se plugin install karna bahut hi aasan hai. Aur lagbhag sabhi blogger esi process ka use karte hai. To chaliye ab hum log step by step jaan lete hai.

Step 1 : Sabse pahle aap apne wordpress dashboard pe jaye. Aur phir Plugins >> Add New ke upper click kare.

Click On Add New

1. Plugin ke upper click kare.

2. Ab app Add New ke upper click kare.

Step 2 : New page open hone ke baad aap dekhege ki. Aap ke right side ke top me Search ka option diya huwa hai. App ko jo bhi plugin apne wordpress blog ke install karna hai. App yaha pe search kar ke Install kar shakte hai. Example ke liye hum log Wordfence Security ko install kar ke dekhege.

Search Your WordPress Plugin

Step 3 : Installation complete hote hi. Aap ke samne use Activate karne ka option aa jayega. App ko bus Activate ke button ke upper click kar dena hai.

Click On Activate Button

Step 4 : Activate karte hi aap all instated plugins ke list me aa jayege. Yaha aap aap us plugin ka setting aur edit kar shakte hai.

Configure Your Plugin

Note : Koe bhi plugin ko install karne se pahle aap use acche se check kar le. Matlab wo plugin aap ke theme version ke sath compatible hai ya nahi. Us plugin ki rating kaya hai aur uska details bhi acche se padh le. Koe bhi plugin agar 3 stars ke upper hai to hi use kare.

  • Blog Banane Ke Baad Kya Jaruri Kaam Kare – Full Guide

2. Plugins Download Kar Ke Install Kare

Her ek plugin free nahi hota hai. Bahut Sare plugin paid bhi hote hai. Jo wordpress.org me dekhne ko nahi milta. Un plugins ko aap download karke install kar shakte hai. App free pluigin ko bhi isi tarah se download kar ke install kar shakte hai. Jab aap plugin download karege to wo Zip formate me download hona chahiye.

Step 1 : Sab se pahle aap apne wordpress dashboard pe jaye. Jane ke baad app Plugins >> Add New >> Upload Plugin ke button ke upper click kare.

Upload Your Downloaded Plugin

1. Plugin ke upper click kare.

2. Add New ke upper click kare

3. Upload Plugin ke upper click kare.

4. App ne jo Plugin Zip formate me download kiya hai. Us plugin ko upload karne ke liye Choose File ke upper click kare.

Step 2 : Apne Zip Formate me downloaded plugin ko select kare.

Choose Your Downloaded Plugin

1. Apna plugin select kare.

2. Select karne ke baad Open ki button ke upper click kare.

Step 3 : Plugin select karne ke baad aap Install Now ki button pe click kare.

Click On Install Now

Step 4 : Jab aap ke samne Plugin Install successfully ka message aa jaye. Tab aap apne us plugin ko activate karne ke liye. Activate Plugin ki button ke upper click kar de.

pugins-avtivate-kare

To dosto ab tak aap ne 2 tariko se plugin install karna jaan liya hai. Asha karta hu aap ko ye dono process aasan laga hoga. To ab chalye hum jaan lete hai ki cPannel ke dwara plugin kaise install kare.

  • Bounce Rate Kya Hai Aur Ise Kam Kaise Kare – Jane SEO Tips

3. cPanel Ke Dwara Install Kare

Cpannel ke dwara plugin install karna thora interesting hai. Agar aap ke pass cPanel Hosting hai. To aap sabse pahle apne cPanel me login ho jaye. Login Hone ke baad aap File Manager me Jaye.

Click On File Manager

Yaha pe aap ko bahut sare Files aur folder dekhege. Ye sare files aur folders ap ke wordpress blog ke hi hai. App ko yaha Public_HTML >> WP-Content >> Plugins folder me jana hai.

Paste Your Plugins In wp-contant-plugins

Aur yaha aap ko apne Zip formate wala Plugin ko Upload kar dena hai. Plugin upload hone ke baad use extract jarur kar de. Taki zip file ke ander jo bhi files ya folder hai wo bahar aa jaye. Ish tarah cPanel ke dwara bhi aap apne wordpress blog me aasani se plugin install kar shakte hai.

  • WordPress Blog Me Stylist Social Follow Button Widget Kaise Add Kare

WordPress Plugins Ko Kaise Update Kare

WordPress Plugin ko update karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki developers company update tab hi dete hai. Jab we apne plugins me koe changes ya new update dete hai. Ya phir purane wale version me koe bug matlab ( प्रोग्राम में त्रुटि ) ho. Jab bhi koe new update aata hai. To wordpress ki taraf se ek Red Colour ka warning message humare dashboard pe aa jata hai. App ise jarur update kar le kyu ki update karne se aap ke website ka Performance to accha hoga hi. But us ke saath saath hacker se bhi aap ko bachne me madad milegi.

WordPress Plugin ko update karna bahut hi aasan hai. Update karne ke liye aap ko Plugins >> Installed Plugins section me jana hai. Waha jar kar jis bhi plugin ka update aaya hai. Use Simply Update Now ki button pe click kar ke update kar dena hai.

Update Your Plugins

1. Plugins ke upper click kare.

2. Installed Plugins ke upper click kare.

3. Plugins ko update karne ke liye. Update Now ki button ke upper click kare.

WordPress Plugin Ko Activate, Deactivate Aur Delete Kaise Kare

Activate Process : Pahla aur dusre process me to aap ne dekha hi hai. Ki Plugins ko install karte hi use Activate karne ka link aa jata hai. Bur agar aap tirse process se plugin install karte hai. To aap Plugins ke page me ja kar use activate kar shakte hai.

Deactivate Process : Her Activate Plugin ke niche Deactivate Ka option diya rahta hai. App chahe to us deactivate ke option pe click kar ke. Us Plugin ko deactivate kar shakte hai.

Delete Process : Agar app kisi bhi Plugin ko delete karna chahte hai. To sabse pahle us plugin ko deactivate karna hoga. Deactivate karte hi aap ke samne us plugin ko Detele karne ka option aa jayega.

Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga. “WordPress Plugin Kya Hai Aur WordPress Blog Me Plugin Kaise Install Kare”. Agar aap ko abhi bhi koe doubt hai to aap hume comment kar ke puch shakte hai.

  • Apne Blog Ya Website Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye – Jane Security Tips

Dosto aap ko mera ye post kaisa laga comment kar ke jarur bataye. Agar aap ko mera ye post pasand aaya hai. To ise jarur share kare aur apne dosto se bhi kahe. App ka agar koe bhi blogging ya internet se related saawal hai. To aap hume comment kar ke jarur puche, hume aap ki help karke bahut khushi hogi.

Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:

Related Posts

Hostgator India Par Hosting Kaise Kharide
Hostgator India Par Hosting Kaise Kharide Full Guide
Domain Par Hosting Name Server Kaise Configure Kare
Domain Par Hosting Name Server Kaise Configure Kare
cloudflare-cdn-setup-wordpress
Free CloudFlare CDN Setup WordPress Blog Me Kaise Kare – Complete Guide

About Mangal Gupta

Helpsinhindi.com
He is a Indian blogger and share useful content on this blog regularly. If you like his articles then you can share this blog on social media with your friends. Want learn more then Click Here

WHAT OTHERS ARE READING:

Digital Health ID Card Online Apply Kaise Kare

Digital Health ID Card Online आवेदन कैसे करें? 2024

Pradhan Mantri Awas Yojana Shahri list

Pradhan Mantri Awas Yojana Shahri सूची 2025 में अपना नाम कैसे देखें?

Copyright Free HD Video Download hindi

Copyright Free HD Video Download कहाँ से करे? 10 बेस्ट वेबसाइट

Reader Interactions

Comments

  1. Pramod says

    nice article, Aapke theme ka naam kya hai

    Reply
    • Mangal Gupta says

      genesis framework

      Reply
  2. Pramod says

    haa mujhe pata hai lekin usme bhi kuch theme ka naam hoga na but aap post bahut hi badhiya likhte ho

    Reply
    • Mangal Gupta says

      Studiopress ke Genesis Framework ke saath jo child theme milta hai. Us child theme ko maine customize kiya hai.

      Reply
  3. Pramod says

    okk Thanks brother

    Reply
  4. Mahipal M says

    meri website wordpress par nahi hai to kya mai blogger par apni blog me plugin install nahi kar skta

    Reply
    • Mangal Gupta says

      Nahi aap blogger platform par plugin install nahi kar shakte hai

      Reply
  5. Naksh verma says

    Thank you! So Much For This Useful Information

    Reply

Share Your Comments & Feedback: Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

हमसे सोशल मीडिया पर जुड़ें

कैटेगोरीस

  • Blogging
  • WordPress
  • Seo
  • Adsense
  • Tips And Tricks
  • Facebook
  • Earn Money Online
  • Amazing Facts
  • Whatsapp
  • Internet
  • Mobile
  • Android Apps
  • Youtube
  • Google
  • Festival
  • Computer
  • Web Hosting
  • Affiliate Marketing
  • Jio
  • Life Success
  • Security Tips

Footer

LITTLE ABOUT BLOG AUTHOR

दोस्तों मेरे ब्लॉग Helps In Hindi पर आप सभी का स्वागत है. मै मंगल गुप्ता एक इंडियन ब्लॉगर हु. मैंने ये वेबसाइट लोगो की मदद करने के लिए बनाई है. यहाँ हम अपने audience के लिए internet से सम्बंधित जानकारी हिंदी भाषा में शेयर करते है.

इस साईट पर आप Make Money Online, Blogging, Youtube, Android Apps, Mobile Tips and Trick और New Website कैसे बनाए के बारे में सिख सकते है.

SUBSCRIBE NEWS LETTER

अगर आप चाहते है की, जब भी हमारे साईट कोई new post publish हो. तो आपको तुरंत उस पोस्ट का notification मिल जाये. तो इसके लिए आप हमारे blog को जरुर से subscribe कर ले.

MOST POPULAR POST

  • किसी दुसरे की Phone Call अपने मोबाइल में सुने.
  • किसी भी Mobile Number की Call Details निकाले.
  • Android Phone के 20 Common Problems With Solution.
  • भूमि/ज़मीन का Bhulekh khasra khatauni, नक़ल नंबर कैसे निकले?
  • 2020 में नई वेबसाइट के लिए 21 आसान एसईओ टिप्स

Copyright © 2025 - Helps In HindiAbout UsContact UsPrivacy PolicyDisclaimerSitemap