Hello friends aaj hum log janege ki WordPress Par Free Blog/Website Kaise Banaye. WordPress par bhi blog banana Blogspot ki hi tarah bahut aasan hai. Jaise blogger Blogspot ek free blogging platporm hai. Wahi wordpress paid (.org) aur free (.com) dono hi tarah ka service provide karta hai. Ish post me hum log free wordpress blog ya website aasani se kaise banaye janege. To chaliye suru karte hai ‘WordPress Par Free Blog Kaise Banaye’.
Ek aur baat bata du ki WordPress.org par blog banana ke liye aap ko hosting leni hoti hai. Aur hosting lene me aap ko paise karch karne hoge. Aap chahe to hosting le kar bhi try kar shakte hai. Kyu ki agar aap paisa kamane ke liye website bana rahe hai. To hosting le kar hi apna website banaye. But ish post me hum log free me WordPress Blog/Website Kaise Banaye janege.
Free Me Blog Kaise Banaye?
Free me blog banana ka matlab huwa bina paise karch kiye gaye bane huwe blog ya websites. Agar aap blogging shikhna chahte hai. To aap sab se pahle free me koe blog ya website bana kar start kare. Aur jab aap ko blogging ka concept samajh me aa jaye. Tab aap paise invest kar shakte hai.
Free me blog banana ke liye aap ko do popular platform milege. Pahla Blogger aur dusra WordPress. Jo ki maine aap ko pahle hi bata chuka hu. BlogSpot Vs WordPress Kaun Hai Best Platform Aur Kyu? But ish post me hum log free me wordpress blog kaise banaye janege.
WordPress Par Free Me Blog Kaise Banaye?
Yaha hum log wordpress.com par free blog banana janege. But ish me aap log koe theme nahi change kar shakte hai. Aur na hi koe important customization kar shakte hai.
Step 1 : Sab se pahle aap wordpress.com par jaye.
Step 2 : Yaha aap ko do option milege. Pahla Website create karne ke liye aur dusra Blog create karne ke liye. Bus aap ko apne hisab se blog ya website select karna hai. Mai yaha Start a Blog select karta hu.
Yaha aap phir se start with a blog ko select kare.
Step 3 : start with a blog select karte hi. Next step me aap se koe theme choose karne ke liye bola jayega. App apni man pasand ka koe bhi theme select kar le.
Step 4 : Ish page me aap ko apne wordpress blog ke liye. Ek unique domain name select karna hai.Us ke baad app ko Free ke option ke upper click karna hai.
Step 5 : Plans page me aap ko Start with Free select karna hai.
Finally ab yaha aap ko apna account create karna hai. Account create karne ke liye app apna email id aur password dal kar. “Create My Account” ke button ke upper click kar de.
Ab aap ka wordpress blog ban kar ready ho chuka hai. Bus aap ko apna email account open kar ke wordpress ka email verify karna hai. Verify karne ke baad aap customize your website ke upper click kare. App apne WordPress blog ke dashboard par chale jayege.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “WordPress Par Free Blog Kaise Banaye”. Phir bhi agar aap ko wordpress par blog banana me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
gaurav says
bhout he acchi information di sir apne thnx share this article mai apko follow karuga
dev says
thanks for sharing
priya says
bahut achchhi jankari aapne share ki hai
Mangal Gupta says
Thanks bro… Keep visit…
Dinesh says
बहुत ही अच्छी जानकारी दी हैं आपने यह हर एक beginner के लिए काफी मददगार साबित होगी| धन्यवाद.