3G Mobile Me Jio Sim Kaise Chalaye : Dosto aaj hum log baat karne wale hai. 3G Phone Me 4G Kaise Chalaye. Reliance Jio ne to apna जियो 4 जी सिम kab ka launch kar diya hai. Aur aaj ke date me lagbhag dusri sabhi companiyo ne bhi. Apna apna 4G sim launch kar diya hai. But agar aap ke pass 3G mobile hai. Aur aap जियो 4 जी सिम ya dusri kisi bhi company ka 4G Sim nahi chala pa rahe hai. To ab aap ko mayush hone ki jarurat nahi hai. Kyu ki aaj mai aap ko yesa trick batane ja raha hu. Jis se aap 3G mobile me 4G sim chala shakte hai.
Aaj ke date me jaise jaise technology aage badh rahi hai. Waise hi hume milne wali subdhaye bhi badhti ja rahi hai. But in subdhayo ka labh pane ke liye. Hume humesa update rahne ki jarurat hoti hai. Jiase 4G ke aate hi logo ke pass yah musibat aa gae ki. Ab wo apne 3G mobile ka kya kare. Kyu ki 4G ka labh udhane ke liye. Un ke pass 4G handset ki jarurat padegi.
Jin ke pass 4G handset lena ka budget tha. Wo to apne liye 4G mobile buy kar liye. But budget nahi hone ke karan. Agar aap ne abhi tak 4G phone nahi le paya hai ya nahi le pa rahe hai. To ab aap ko bhi tension lene ki jarurat nahi hai. Kyu ki ab aap apne 3G mobile ko hi 4G me change kar ke. 4G ki service ka labh utdha shakte hai.
3G Phone Me 4G Sim Chalane Ke Liye Kis Kis Requirement Ki jarurat Hoti Hai?
- App ka phone Android Version 4.4 Kitkat ya us se upper hona chahiye.
- Phone me Media Tek Chipset processor or Qualcomm Chipset Processor hona chahiye.
- App ke pass Activated जियो 4 जी सिम (4G Sim) hona chahiye.
3G Mobile Me Jio Sim Kaise Chalaye?
3G mobile me Jio sim chalane ke liye. App ko Google play store se mere dwara bataye gaye app ko download karna hoga. Jis ki madad se aap bahut hi aasani se 3g mobile me 4g sim chala payege. Yaha mai aap ko 3 method batane ja raha hu.
Method 1 – For Mediatek Chipset Processor – ( एमेटीके इंजीनियरिंग मोड App Download )
Step 1 : Ish trick ke liye sab se pahle aap ko apne phone me. MTK Engineering Mode App download kar ke Install karna hai.
Step 2 : Install ho jane ke baad aap MTK Engineering App ko open kare. Aur left side me available MTK setting ke upper TAP kijiye.
Step 3 : Setting open hone ke baad. Network option ke upper click kare. Aur network mode ‘Wcdma GSM + LTE’ ko select kare.
Step 4 : Network mode ‘Wcdma GSM + LTE’ ko select kar lene ke baad. Phone ko switch off kar de.
Step 5 : Ab aap apne pahle slot me 4G sim dale. Aur dusra slot khali chor de.
Step 6 : Sim lagane ke baad phone ko ON kare. Aur phir phone me install MTK app ko open kare.
Step 7 : App open hone ke baad aap phir se network option ke upper click kare. Aur ‘Wcdma GSM + LTE’ network mode ko select kar le.
Itna karte hi aap ka 4G sim apne app network search kar lega. Aur aap bhi internet access kar payege.
Yah process bahut hi aasan hai. But dhyan rahe aap ke mobile me Media Tek Chipset processor ka hona jaruri hai. Aur aap ke mobile ka android version 4.4 ya us se jayada hona chahiye. Agar aap ke mobile me media tek ke aalawa koe dusra processor hai. To yah trick aap ke mobile me work nahi karega.
Method 2 – For Qualcomm Chipset Processor ( Tested In Redmi 1s)
Step 1 : Sab se pahle aap apne phone me. Shortcut Master (Lite) App ko download kar ke Install kar lijiye.
Step 2 : Install karne ke baad open kare. Aur Menu Button ko click kare.
Step 3 : Yaha Menu section me aap ko “Service menu” or “Engineering mode” dikhae dega us me click kare.
Step 4 : Ab yaha system app me ja kar deep search kare.
Step5 : Deep search kar ke network mode ko LTE me select kar le.
Step 6 : Finally ab app apne phone ko reboot kar de.
Itna karte hi aap ka जियो 4 जी सिम automatic network search kar ke detect kar lega. Aur aap apne 3G phone me 4G ka maja le payege.
Note : –
- Trick ko apply karne se pahle apne phone ka specification jarur check kar le.
- Ish trick ko apply karne se pahle. App apne phone ka backup lele.
- Yah trick phone ko bina root kiye hi bahut acche se kaam karta hai. Ish liye aap ko apne phone ko root karne ki koe jarurat nahi hai.
- Ish trick ko apply karte huwe agar aap ke phone me koe problem aati hai. To ish ke jimmewar aap khud hoge.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga. 3G Phone Me 4G Kaise Chalaye. But phir bhi aap ko Jio 4G se related koe sawaal puchna hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Ummid karta hu dosto aap ko mera yah post jarur pasand aaya hoga. Agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Dosto aaj ke liye bus inta hi. Chalte chalte mai bus yahi kahuga. Aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank you.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Gaurav tiwari says
bro mujhe aapki theme chaiye kya aap mujhe apni theme de sakte hai
Mangal Gupta says
Bro yah Studiopress ka Genesis Framework theme hai. Jise aap ko Studiopress se buy karni hogi.