Hello dosto aaj hum log janege ki VOLTE, LTE Aur 4G Kya Hai Aur Ye Kiase Kaam Karta Hai. Jaisa ki hum sab jante hai. Reliance Jio ne bahut hi kam rate pe 4G data aur voice calling de kar sabhi ko chawka diya hai. But kaya aap ko pata hai Reliance Jio VoLTE network ka use karti hai. Ish liye hi wo etne kam rate me 4G data aur Voice Calling de pa rahi hai. App koe bhi 4G mobile phone me network ke pass LTE aur VoLTE ka sign jarur dekhe hoge. To aap ye soch rahe hoge ki ‘LTE aur VoLTE kaya hai aur ye kaise kaam karti hai’.
VOLTE kya hai ish ko janne se pahle aap ko 2G, 3G, 4G aur LTE kaya hai. Ishe janna bahut jaruri hai. Actually Mobile Telecommunications system wireless network ke upper kaam karti hai. Aur ish ke generation ko ‘ G ’ ke naam se jana jata hai. To chaliye India me ab tak kaun kaun se generation aaya hai un ke bare me jaan lete hai.
1G Network Kya Hai
Mujhe lagta ki sayad bahut kam logo ne hi 1G ka naam suna hoga. To mai aap ko yaha bata du ki Pahli Voice Telephone Technology ko 1G ka naam giya gaya tha. Aur ish se kewal Voice Call hi kiya jata tha. Ish technology ko 70 ke aakhari dasak se lekar 1991 tak use kiya gaya. 1G technology ka signal Analog tha.
2G Network Kya Hai
Year 1991 me GSM ko launch kiya gaya. Aur ishe Second Generation ‘ 2G ’ ka naam diya gaya. 2G ko hi hum GSM kahte hai. 2G me Analog ki jagah Digital Network ka use hone laga. Ish liye 2G ko pahla Digital Cellular system kaha jata hai. 2G network ke duwara hum log Voice calling ke saath saath Data service, SMS aur MMS ka bhi use karne lage.
Hum log yaha 2G network ke hi kuch upgrade version ke bare me janege. Jin ke dwara 2G network me data service ko start kiya gaya tha. Sayad aap ko ish ka naam sun kar kuch ajib lage.
1. 2.5G Network : 2.5G ka matlab huwa “second and a half generation”. Yah bhi ek cellular wireless technology hai aur 2G network ke saath kaam karti hai. Ise 2G network me data service ko start karne ke liye banaya gaya tha. Ish ka data transmission rates speed 144 kbps or higher hai. 2.5G network ko hum GPRS (General Packet Radio Service) bhi kahte hai. GPRS aam taur pe 2.5G technology ke saath jura huwa hai. 2.5G networks service WAP, MMS, SMS mobile games ko bhi support karti hai.
2. 2.75G Network : 2.75G ko EDGE (Enhanced Data Rates for GSM Evolution) kahte hai. Data transfer ko better banane ke liye. Ishe developed kiya gaya tha. Yah bhi 2G network ke saath hi use hota hai. Ish liye is network ke saath jab hum log koe email ya page khote the. To wo jaldi se open ho jati thi.
3G Netwok Kya Hai
2G ke baad Year 1998 me Third Generation (W-CDMA) technology aaya. jise hum ‘ 3G ’ ke naam se jante hai. Ish me W-CDMA, TD-SCDMA, HSPA+ aur CDMA2000 standards samil hai. 3G network high speed internet chalane ke kaam me aata hai.
Different Types Of GSM And CDMA Network :
GSM
- GPRS – 2.5G
- EDGE – 2.75G
- UMTS – 3G
- HSPA – 3.5G
CDMA
- 1xRTT – 2.5G
- WCDMA – 3G
- EVDO 0 – 3G
- EVDO A / EVDO B – 3.75G
4G Network Kya Hai
3G ke baad Year 2008 me Fourth Generation aaya. Jise hum 4G kahte hai. Ye 3G se bahut jayada fast hai. 4G me Mobile WebAccess, IP Telephony, Gaming Services, HD Mobile TV, Video Conference aur 3D TV support hone chahiye. Ish ke liye 2 standards use hote hai – Mobile WiMAX aur LTE.
LTE Network Kya Hai
LTE ka pura naam “Long Term Evolution” hai . Yah mobile phone aur Data Terminals ke liye high speed wireless communication ka ek standard hai. 4G aur LTE dono hi same hai. But LTE ko hi pure world me 4G ke naam se jana jata hai. Speed ki baat kare to LTE ka downloading speed 100 MBits per second hai. Aur Uploading speed 50 MBits per second hai.
LTE Me Kaya Koe Kamiya Hai
LTE jab pahli baar aaya to logo me ye jigyasa jagi ki ye kaya hai. Aur ye kaise kaam karta hai. Aur ish se saath saath ish me kya kamiya hai. To chaliye ab hum LTE ki kuch kamiyo ka bare me jaan lete hai.
LTE ko operate karne ke liye 4G Coverage ki jarurat hoti hai. Kyu ki ish ke bina ye kaam nahi karta hai. Aur hum sab jante hai ki 4G coverage her jagah available nahi hai. Sab se bari baat LTE tabhi kaam karta hai. Jab Dialler matlab phone karne wale ke mobile me internet ho. Aur jo call receive kare us ke mobile LTE enabled ho. Isi kami ko door karne ke liye Network Manufacturers ne LTE ko upgrade kar ke Volte banaya hai. Taki bina internet connection ke call kiya ja shake.
VoLTE Network Kya Hai
Volte ka pura naam hai “Voice Over Long Term Evolution”. Internet Protocol Ya IP pe aadharit LTE network ko hi VoLTE ka naam diya gaya hai. VoLTE me hum voice call karne ke liye 4G LTE network ka use karte hai. Matlab ish se hum voice call karne ke liye LTE ke data ka use karte hai. Volte se call karne pe voice call ki quality bhi bahut acchi hoti hai.
Kya App Ke Smartphone Me VoLTE Hai
Jab aap apne phone me Siginal Strength ke pass dekhege. To aap ko waha pe “ VoLTE ” ya “ V ” likha huwa dikhega. Ish ka matlab hai ki app ka mobile Volte supported hai. Nahi to waha pe aap ko G, E or 2G, 3G, 4G likha huwa dikhega.
VoLTE Kaam Kaise Karta Hai
Abhi tak voice calling le liye maximum companies. Circuit switch matlab 2G ya 3G network ka use karti hai. But VoLTE me voice call ko 4G LTE ke dwara kiya jata hai. Simple word me bola jaye to hum data ki madad se voice call karte hai.
VoLTE Ke Kya Fayde Hai
1. Crystal Clear Voice Call Quality : Volte network ka sabse bara fayada ye hai. Ki ish ka voice call ki quality Crystal Clear hai. 2G aur 3G ke mukable Volte ka tone quality bahut hi accha hai.
2. Video Calling : Volte ke dwara aap behtrin viedo calling bhi kar shakte hai. Ish ke liye aap ko kisi dusre software jaise Skype ya imo ko use karne ki jarurat nahi hoti hai.
3. Better Connectivity : Volte ke dwara call karne pe aap dekhege ki. App ki call 2G ya 3G ke mukable bahut jaldi connect ho jati hai.
4. Battery Life : Volte ka use karne se aap ke battery ka backup bhi increase ho jata hai.
Difference Between LTE Aur VoLTE
1. LTE ka full form hai – Long Term Evolution. But VoLTE ka full form hai – Voice over LTE
2. LTE ko internet ke liye banaya gaya hai. But VoLTE ko internet aur voice dono ke liye banaya gaya hai.
3. LTE voice transmission ko support nahi karta hai. But VoLTE voice transmission aur data transmission dono ko support karta hai.
4. LTE ke dwara voice call karne ke liye internet connection ki jarurat hoti hai. But VoLTE me call karne ke liye internet connection ki jarurat nahi hoti hai.
Asha karta hu dosto ab aap ko samajh se aa gaya hoga. “VOLTE, LTE Aur 4G Kya Hai Aur Ye Kiase Kaam Karta Hai”. Agar aap ko mera ye post pasand aaya hai. To ishe jarur share kare aur dosto se bhi khahe. App ka blogger ya internet se related koe saawal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Anura Karandikar says
Hello sir
Such a great and informative article
Thanks for sharing
Bhawanigiri says
Very Good Post Sir
Very Nice And Good Contant Always Share This Type Knowledge