Hello dosto aaj hum log janege ki Apne WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare. Agar aap online kaam karte hai. Ya phir aap ke pass koe blog hai. To us blog ka backup lena kitna jaruri hai. Ye aap ko batane ki koe jarurat nahi hai. Kyu ki online kaam me koe bhi problem kahi se bhi aa shakti hai. Ek blogger hone ke karan aap ko apne blog ka timely backup lena bahut jaruri hai. To chaliye ab hum jaan lete hai. ‘Apne WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare’.
Wordpess site ka full backup lene ke bahut sare process hai. But mai aap ko yaha un 2 triko ke bare me batauga. Jo aap ke blog ka real backup le shake. Matlab aap ke blog ka jo sahi se backup le shake. Aur jarurat hone pe aap uska use bhi kar shake. To chaliye suru karte hai but suru karne se pahle hum jaan kete hai. Ki Backup Kya Hai aur Apne Blog Ka Timely Backup Lena Kyu Jaruri Hai.
Backup Kya Hota Hai?
Backup ka matlab hota hai. Aaj ke date me aap ne jo bhi kaam data ke roop me save karke rakha hai. Us data ya file ko apne mulsthan se copy kar ke kisi dusre jagah surachit rakhna. Taki data loss hone pe hum original data ko phir se restore kar shake. Matlab apne data ko ek jagah se copy kar se kisi dusre jagah pe surachit rakhna hi Backup kahlata hai.
Backup ka use 2 karno pe hota hai. Pahla aap ka data delete ho jaye. Aur dusra agar aap ka data corrupt ho jaye. In dono case me aap ka backup liya huwa data hi kaam me aata hai. Ish liye yaha mai aap ko ek jaruri baat bata du ki. Agar aap ke pass koe blog ya website hai to us blog ka backup. Apne computer me jarur save kar ke rakhe. Taki aap ka blog ya website aane wale kisi bhi problem se save rahe.
Blog Ka Timely Backup Lena Kyu Jaruri Hota Hai?
Apne blog ka Timely Backup lena bahut hi jaruri hai. Agar aap wordpress user hai. To aap ke liye apne wordpress blog ka backup lena aur bhi jayada jaruri ho jata hai. Kyu ki aap ko to pata hi hai ki wordpress ek software hai. Jo web hosting pe run karta hai. Ish liye ye possible hai ki aap ke samne bahut sare problem aa shakte hai. For Example –
- App ke wordpress blog ka database corrupt ho kar delete ho shakta hai.
- Koe hacker aap ke blog ko hack bhi kar shakta hai.
- App ki hosting company shut down bhi ho shakti hai.
- App ki hosting company app ke blog ko. High Memory usage ke karan suspect bhi kar shakti hai.
- Kisi karan ho shakta hai. App se hi kuch galti se delete ho jaye.
App ke samne kabhi bhi complete data lost jaisa koe bhi problem aa shakta hai. God kare yesa kisi ke saath na ho. Kyu ki hume pata hai ki kinti mehnat se hum apne blog pe kaam karte hai. But agar problem aati hai to hume us ka solution bhi rakhna hoga. Ish liye aap apne blog ka timely backup jarur lete rahe.
WordPress Blog Me Kis Chiz Ka Backup Lena Jaruri Hota Hai?
- WordPress Database
- WordPress Content Folder
In dono ka backup lena bahut hi jaruri hota hai. Agar aap ke pass in 2 chizo ka backup hai. To aap kabhi bhi apne blog ko restore kar shake hai. Ish ke aalawa bhi app .htaccess aur Robots.txt file ka bhi backup jarur lele. Taki jarurat padhne pe aap apne wordpress blog ko fully restore kar shake.
WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare – Jane 2 Best Process
Dekha jaye to wordpress blog ka backup lene ke bahut se tarika hai. But hum log yaha 2 aasan tariko ke bare me janege. Jo aap ke blog ka acche se backup le shake.
1. Plugins Ke Dwara WordPress Site Ka Backup Kaise Kare
Updraftplus
Updraftplus ek Free aur Premium dono hi plugin hai. App chaho to backup lene ke liye ish ka free version use kar shakte ho. Updraftplus Plugins ke dwara apne blog ka backup lene ke liye. Sab se pahle aap ko apne wordpress blog me Updraftplus Plugins ko install kar ke activate karna hoga. Activate karne ke baad aap ko kuch basic setting karna hai.
Step 1 : Updraftplus Plugins activate hone ke baad. App Dashboard >> Setting >> Updraftplus Backup ke upper click kare.
1. Setting ke upper click kare.
2. Daily ko select kare.
3. App jinti bar apne wordpress ka backup lena chahte hai wo likhe matlab 2 , 4 ya 5 bar.
4. Ab aap save ki button pe click kar de.
Step 2 : App ka daily backup schedule ab save ho chuka hai. Lakin aap apne blog ka backup turant lena chahte hai. To aap Current Status ke upper click kare.
Backup Now ke upper click kare. Click karte hi aap ke samne ek new window open hogi.
1. Dono option me tick out kar de.
2. Finally ab aap Backup Now ki button ke upper click kar de.
Ab aap ke samne aap ke wordpress blog ka backup start ho jayega. Backup complete hone ke baad. App apne wordpress blog ka backup apne PC me jarur save kar le.
Step 4 : Backup complete hone ke baad apne blog ka backup download karne ke liye. Aap ko Existing Backup ke upper click karna hoga.
1. Existing Backup ke upper click kare.
2. App ko jis jis ka backup chahiye. Us ke upper click kar ke backup download kar le.
3. Download to your computer ke upper click kare. Click karte hi backup aap ke PC me download hona suru ho jayega.
Note : Ek ek kar ke aap sare file ko matlab Database, Plugins, Themes, Upload aur Others ko. Apne PC me download kar le. Taki jarurat aane pe aap uska use kar shake. PC ke alawa bhi aap apne backup ko kahi aur dusri jagah save kar ke rakh de.
Ish Ke aalawa bhi kuch acche plugins hai. Jin ke dwara aap apne wordpress site ka full backup le shakte hai. Aur us plugins ke naam niche diye huwe hai.
Also Read : Bounce Rate Kya Hai Aur Ise Kam Kaise Kare
2. Web Hosting Ke Dwara WordPress Sites Ka Backup Kiase Kare
Apne web hosting Cpanel ke dwara bhi backup lena bahut hi aasan aur accha tarika hai. Yaha mai aap ko HostGator cPanel ke dwara apne entire blog ka backup kaise le batane ja raha hu.
Step 1 : Sabse pahle aap apne hosting Dashbord ke cPanel me Login ho jaye.
Step 2 : Backup ke upper click kare.
Step 3 : Download a Full Website Backup ke upper click kare.
Step 4 : Yaha aap ko Generate Backup ke upper click karna hai.
1. Yaha Home Directory select kare.
2. Apna Email address dale taki backup complete hone ke baad notification receive kar shake.
3. Finally ab aap Generate Backup ke upper click kar de.
Backup complete hone ke baad aap apna full backup file cPanel/FTP (File Manager) ke dwara apne PC me download kar le.
Note : Yaad rakhe cPanel se ek bar me 4GB se jayada ka backup nahi le shakte hai. Agar aap ka backup 4GB se jayada hai. To aap apne hosting support team se contact kare wo aap ko better solution dege.
Asha karta hu dosto ab aap ko samajh me aa gaya hoga ki “WordPress Blog Ka Complete Backup Kaise Kare“. Aur ab aap ko apne wordpress blog ka backup lene me bhi koe problem nahi hogi. Agar koe problem aati hai to aap hume comment kar ke puch shakte hai. Mujhe aap ki help karke bahut khushi hogi. App ko mera ye post pasand aayi hai to please ishe jarur share kare aur apne dosto se bhi kahe.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
krishan says
mangalji bhut hi acchi jaankaari di hai good……………..
naeem says
सर मेरी वेबसाइस alvitravels.in के नाम से थी अब मुझे अपना डोमेन नेम चैंज करना था सो मैने cpenal se full backup लिया जो मुझे मेरे ईमेल पर go daddy से मिल गया है अब मे इसे नये डोमेन नेम alvitrips.com पर अपलोड नही कर पा रहा हू कृप्या बैकअप अपलोड करने का सही व आसान तरीका बताए
Mangal Gupta says
Sab se pahle to aap ye bataye ki aap ka blog kis platform hai – Blogger Ya WordPress
Agar aap ka blog wordpress par hai. To Sab se pahle aap apne cpanel se alvitravels.in blog ka WordPress Database aur WordPress Content Folder ka backup lele. Backup lene ke baad new domain (alvitrips.com) par wordpress blog install kare. Aur apne old blog ka backup ish me import kar de.
Sanjay Singh says
Sir hamara cpanel nahi khul raha hai
Himanshu says
Nice article sir ji
Shashikant Study says
This is helpful information. Thanks for sharing this information