Hello dosto aaj hum log janege ki Free CloudFlare CDN Setup WordPress Blog Me Kaise Kare. Aaj ke date me website ki loading speed Search Engine me accha ranking pane ka liye ek main factor ban gaya hai. Hum apne website ko boost karne ke liye bahut sare technique use karte hai. But website ki speed ko fast karne ke liye CDN Content Delivery Network ka naam sabse pahle aata hai. Market me aap ko bahut sare paid aur free CDN Content Delivery Network mil jayege. Agar aap apne website ko fast karne ke liye paid CDN ka use karna chahte hai. To mai aap ko MAXCDN use kar ne ki shalah duga. But agar aap paise nahi kharch karna chahte hai. To ish condition me aap Cloudflare ka use kar shakte hai.
Hum log aage janege ki how to setup cloudflare free cdn in wordpress. But us se pahle aap ko ye janana bahut hi jaruri hai ki CDN Kya Hai Aur Website Blog Ke Liye Kyu Jaruri Hai. Ish post me CDN ke bare me puri detail information di hue hai. Blog me Free CloudFlare CDN Setup karna bahut hi aasaan hai. Chahe aap ka blog blogger, wordpress ya kisi bhi platform pe kyu na ho. App aasani ne niche diye gaye steps ko follow kar ke apne blog me free cloudflare cdn setup kar shakte hai.
CloudFlare CDN Kya Hai – क्लॉउडफ्लेयर CDN क्या है?
CloudFlare CDN (Contend Delivery Network) ek bahut hi famous aur popular Caching Plugin hai. Jo aap ke website ke content ko puri duniya ke servers se locate karta hai. Jab aap cloudflare install kar dete hai. Tab aap ke blog ya website pe jo bhi traffic aata hai us traffic ko cloudflare ke samne se ho kar gujarna parta hai. CloudFlare CDN aap ke website ki security ko strong karne ke saath saath aap ke website pe aane wali spam traffic se bhi aap ko save karta hai.
Cloudflare use karne ka ek accha benefit ye bhi hai. Agar kabhi bhi aap ka share hosting offline ho jata hai to bhi cloudflare work karta rahta hai. Agar aap Cloudflare use karna chahte hai. To mai aap ko starting me Cloudflare ka free plan use karne ki shalah duga. Aur jab aap ko lage ki aap ka kaam free plan se nahi chal raha hai. To aap kabhi bhi paid plan me upgrade kar shakte hai.
Cloudflare Network Ke Kya Fayde Hai?
CloudFlare CDN use karne se aap ki website ki her ek chiz bahut hi acche se optimize ho jati hai. Jis ke karan aap ki website ka performance aur bhi jayada better ho jata hai. CloudFlare CDN use karne ke bahut sare fayde hai. Jis me se kuch important points maine aap ko niche bataya hai.
1. Free CDN (Content Delivery Network) : Cloudflare ka sab se major benefit ye hai ki ye ek free CDN hai. Mai pichale kae mahino se Cloudflare ka free CDN use kar raha hu. Aur mai abhi tak kisi bhi tarah ka koe problem website ke performance me ya SEO se related issue face nahi kiya. Balki Cloudflare CDN use karne ke baad. Meri site pahle se aur bhi jayada speed up ho gayi hai.
2. Free SSL (Secure Sockets Layer) : Cloudflare aap ko SSL (Https) bhi free me offer karta hai. Agar aap ko SSL ki jarurat hai to aap ise free version me hi use kar shakte hai.
3. Save Attacks From Brute-Force And Hacking Attempt : Cloudflare aap ke website ko DDOS Attack, SQL Injection, Hacker, Comment Spam se protect karta hai. Aur aap ke website ke liye secure environment provide karta hai.
4. Save Server Bandwidth : Cloudflare spam bots traffic ko filter kar ke aap ke liye lot on bandwidth save karta hai.
5. No Need To Wait For DNS Propogation – While Changing Hosting : Cloudflare use karne ka ek bahut hi accha fayda ye hai ki. Jab aap ek hosting se kisi dusre hosting pe move karege to aap ko DNS propagation ke liye wait karne ki koe jarurat nahi hoti hai. App ko bus apne Cloudflare Dashboard me jakar apne Server ka I.P. Address change kar dena hai.
Free Cloudflare CDN Setup WordPress Blog Me Kaise Kare?
Apne blog me free cloudflare CDN setup karna bahut hi easy hai. Yah dusre cache plugin ki tulna me bahut hi accha kaam karta hai. App jab ise ek bar install kar lege to aap spam jaisi chizo se humesa save rahege. Cloudflare ko apne website me install karne se pahle apne site ki loading time jarur check kar le. Aur cloudflare setup karne ke kuch dino baad phir se aap apne site ka loading time dekhe. App ko pata chal jayega ki aap ke site ka performance kitna improve huwa. Apne website ka speed check karne ke liye. Aap Gtmetrix, Pingdom ya Google Pagespeed ko visite kar shakte hai.
Maximum web hosting companies jaise HostGator, Bluehost apne cPanel me hi CloudFlare ko install karne ka option deti hai. App bus apne cPanel me ek click se hi CloudFlare CDN install kar sakte hai. But mai aap ko manually setup karne ki salah duga. Hum log yaha 2 tarah se Cloudflare CDN setup karna janege. Pahla CPanel Hosting Ke Dwara aur dursa hum manually setup kaise kare.
CPanel Hosting Ke Dwara Automatic CloudFlare Kaise Setup Kare?
Sab se pahle aap ko ye janna hai ki aap ki web hosting company. Automatic CloudFlare install karne ka option de rahi hai ya nahi. Ye janne ke liye aap ko sab se pahle apne web hosting ke cPanel me login karna hoga. Login karne ke baad app ko cPanel ke Dashboard ke Software Settings me ja kar. Yah check karna hoga ki waha par Cloudflare ka logo hai ya nahi. Agar aap yaha Cloudflare ka logo dekh pa rahe hai. To ish ka matlab ye hai ki aap CPanel Hosting ke dwara Automatic CloudFlare Setup kar shakte hai. Aur agar logo nahi dekh pa rahe hai to aap ko manually setup karna hoga.
To chaliye ab hum log step by step jaan lete hai ki CPanel Hosting ke dwara automatic how to setup cloudflare free cdn in wordpress.
Step 1 : Sabse pahle aap apne cPanel me login ho kar Software settings me jaye. Yaha aap CloudFlare icon ke upper click kare. Click karte hi aap se pucha jayega ki aap kiss domain name pe CloudFlare ko setup karna chahte hai.
Step 2 : Apna domain name select karne ke baad. Gray Cloud icon ke upper click karke CloudFlare ko On kar de. Agar aap Orange CloudFlare Icon ke upper click karge to aap ka CloudFlare Off ho jayega.
Finally ab aap ki web hosting company ne basic CloudFlare protection ko install kar diya hai. To aap ne dekha CPanel Hosting ke dwara automatic CloudFlare setup karna kitna aasan hai.
Cloudflare CDN Ko Manually Kaise Configure Kare – (Which I Recommend)
Mere hisab se CloudFlare ki Automatically setup se bahut accha hai. Ki aap Cloudflare CDN ko manually setup kare. Agar aap Cloudflare ki advanced features ka fayda uthana chahte hai. To aap Cloudflare CDN ko manually setup kare.
Step 1 – Create a CloudFlare Account & Login
Sabse pahle aap CloudFlare ki website pe ja kar sign up kar ke Login ho jaye.
Step 2 – Add Your Website URL
Login hone ke baad Add Site ke upper click kare. Aur Apne website ka URL dalne ke baad Begin Scan ki button ke upper click kare.
1. Add Site ki button ke upper click kare.
2. Apne website ka URL dale.
3. Finally Begin Scan ke upper click kar de.
Step 3 – Scanning Your Website URL
Cloudflare ab aap ki site ko scan kar raha hai. Scan complete hone me kuch second ka time lagega.
Step 4 – Scanning Complete
Scan process complete hone ke baad aap ko Continue Setup ke button ke upper click karna hai.
Step 5 – Verify Your DNS Records
Continue setup ke upper click karte hi aap ke samne ek new page open hogi. Ish page me aap ko bus ye verify karna hai ki aap ke site ka jo DNS records show ho raha hai. Wo sahi tarah se scan huwa hai ya nahi.
App agar wordpress user hai to aap ko DNS record aap ki hosting company ke cpanel me mil jayegi. Aur blogger user hai to aap ne jaha se bhi domain liya hai. Us domain ke DNS setting me aap ko aap ki DNS record mil jayege. DNS record milne ke baad, Aap ko bus ye check karna hai ki cloudflare setup me show ho rahe DNS record ki value. Aap ke DNS records ki value ke saath match kar raha hai ya nahi.
DNS record verify kar lene ke baad aap Continue ki button ke upper click kare.
Step 6 – Select Plan
Yaha aap ko apne CloudFlare account ke Plan ko choose karna hai. CloudFlare ka basic plan puri tarah se free hai. Agar aap ko kewal ish ka Caching Performance Level aur Security Settings chahiye. To ish ke liye basic plain se hi aap ka kaam chal jayega. Jo ki puri tarah se free hai.
1. Free Website ko select kare.
2. Ab aap Continue ki button pe click kare.
Step 7 – Update Nameservers
Ab aap ye nameserver apne domain site pe ja kar log in kar ke add kar de. Matlab app ko apne current Nameservers ki jagah Cloudflare ka Nameservers add karna hai.
Example ke liye maan lijiye ki agar aap ka account Godaddy pe hai. To aap sabse pahle Godaddy me login ho jaye. Login hone ke baad app My domains >> Manage DNS >>DNS Management pe jaye.
1. Using Default Nameservers ke samne diye huwe. Change ki button ke upper click kare.
2. Yaha aap Custom select kare.
3. Ab aap apne Cloudflare Change Your Nameservers ke page pe jaye. Aur yaha se aap Cloudflare ke dono Nameservers ko copy kar le.
4. Ab aap wapas Godaddy wale page pe jaye. Aur yaha aap ne jo Cloudflare ke dono Nameservers ko copy kiya tha. Use Godaddy ke nameserver me paste kar de.
5. Godaddy me Cloudflare ka Nameserver paste karne ke baad. App Save ki button pe click kar ke save kar de.
6. Doman DNS Manager setting me Nameserver ko change kar dene ke baad. App Cloudflare wale page me Continue ki button ke upper click kar de.
Nameserver change kar dene ke baad aap ka cloudflare Free CDN setup complete ho jayega. Abhi aap ka status pending show ho raha hoga. Kyu ki Nameserver ko update hone me 1 se 24 hours ka time lag shakta hai. Is beech ho shakta hai ki aap ka site work na kare aur DNS error show kare.
24 hours ke ander aap ki site ke liye cloudflare active ho jayega. Aur acche se work bhi karne lagega.
Cloudflare Activate hone ke baad aap apne site ka performance dekh sakte hai. Aur alag alag options pe click kar ke apni site ka analytics, DNS, firewall, speed, caching, page rules aur bahut kuch ka report check kar shakte hai.
Final Conclusion:
Kisi bhi blog ya website ke liye Speed Aur Security sabse important part hai. Aur Cloudflare ye dono chiz aap ko free me provide kar raha hai. Website ke better performance ke liye CDN ka use karna bahut hi jaruri hai. Jis bhi user ko ish ke bare me pata hai wo CDN ka use jarur karta hoga. Mai bhi aap ko yahi suggest karunga ki. Aap bhi apne blog ya website ke liye CDN ka use jarur kare.
Asha karta hu dosto aap ko mera ye article pasand aaya hoga. Aur aap ko aasani se samajh me aa gaya hoga ki “Free CloudFlare CDN Setup WordPress Blog Me Kaise Kare”. Agar ye article pasand aaya hai to ise please share kare aur dosto se bhi kahe.
App bhi CloudFlare Free CDN ke bare me apna Review aur Feedback jarur de. Taki dusro ko bhi ise samajhne me aur jayada aasani ho shake aur kuch naya shikhne ko mil jaye.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
arvind maurya says
Bahut hi achhi jankari di hai aapne cloudflare cdn ke bare me
Mangal Gupta says
Thanks bro… Keep visit…