Hello dosto aaj hum log janege ki Blogspot Blog Ko WordPress Par Kaise Transfer Kare With SEO. Blogspot ek bahut hi popular aur easy platform hai. Kisi bhi newbie blogger ke liye blogging start karne ke liye. But jab baat aati hai blogging se online business suru karne ki. Tab sab se pahla naam aata hai WordPress ki. Kyu ki Blogspot Blog par humara full control nahi hota hai. Wahi wordpress par hume full control milta hai.
WordPress me unlimited feature hone ke karan. Hume apne site ko manage karna bahut hi aasan ho jata hai. Agar aap blogging ko apna career banana chahte hai. Ya phir blogging se online acchi income karna chahte hai. To mai aap ko wordpress ke liye hi kahuga. Ab chaliye hum log jaan lete hai ki ‘Blogspot Blog Ko WordPress Par Kaise Transfer Kare With SEO’.
Blogsport Blog Ko WordPress Par Transfer Karne Ke Kya Fayde hai?
Blogger ko wordpress par swift karne se hume bahut sare fayde hai. Kyu ki apne site ke future ke liye hume jo kuch bhi chahiye wo Blogsport Blog se pura nahi hota hai. To chaliye hum log wordpress ke kuch fayde ke bare me jaan lete hai.
1. WordPress par hume full control milta hai. Jis se apni site ko manage karna bahut aasan ho jata hai.
2. WordPress me hume bahut sare feature milte hai. Jo ki Blogsport Blog se hume nahi milta hai.
3. Agar aap ko coding nahi aati hai. To aap plugin install kar ke apna kaam chala shakte hai.
4. Design karna bahut aasan ho jata hai. Jis ke karan hum apne blog ko fully Design kar shakte hai.
5. App comments ko bahut aasani se manage kar shakte hai.
WordPress Par Transfer Hone Ke Liye Kya Kya Chahiye?
Aap yah post padh rahe hai. To ish ka matlab yah hai ki aap wordpress par new hai. Ish liye WordPress par transfer hone ke liye kya kya jaruri hai. Jaan lena aap ke liye bahut jaruri hai. Taki aage chal kar aap ko koe problem face na karna padhe.
WordPress Ki Basic Knowledge :
WordPress par transfer hone se pahle aap ke pass ish se manage karne ki jankari honi chahiye. Taki swift hone ke baad aap ko apne blog ko manage karne me koe problem na aaye. Yah bilkul usi tarah hai jaise kisi yese jagah par chale jana. Jaha hum kisi ko bhi jante ya pahchanta na ho. Ish liye mai yahi kahuga ki swift hone se pahle. Aap wordpress ki basic knowledge to jarur hi lele.
Purchase Your Hosting :
Hosting is the most important. Kyi ki wordpress ek paid service hai. Aur hosting ke bina aap wordpress ko manage nahi kar shakte. Mai logo ko yahi suggest karta hu ki aap HostGator ya bluehost se hi hosting purchase kare. Kyu ki yah sab se best company hai. Aur in dono ka loading speed bhi bahut acchi hai. In my case maine HostGator se hosting li hue hai.
Install WordPress To Own Hosting :
Hosting purchase karne ke baad. Aap ko apni hosting par wordpress install karna hota hai. Agar aap ko ish ke bare me knowledge nahi hai. To aap mera yah post jarur padhe Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare.
Blogspot Blog को WordPress पर कैसे Transfer करें?
Blogspot blog ko wordpress par transfer karna bahut hi aasan hai. WordPress par swift hone me aap ko koe problem face na karna padhe. Ish liye hum log ish post me step by step janne ki kosis karege ki. Blogspot Blog Ko WordPress Par Kaise Transfer Kare?
Finally ab mai maan leta hu ki aap ke apni hosting purchase kar li hai. Aur ab app apne blogspot blog ke wordpress par transfer karne ke liye ready hai.
Step 1 : Download Backup of Your Blogspot Blog :
Sab se pahla kaam apne blogspot blog ki backup lena hai. Ish ke liye aap apne blogger me login ho jaye. Login hone ke baad aap ko jis bhi blog ko wordpress par transfer karna hai. Us ke Dashboard >> Setting >> other par jaye. Aur “Back up Content” ke upper click kare.
Ab aap ke samne jo new popup window open huwa hai. Us me “Save to Your Computer” ke upper click kare. Taki aap ka backup Xml file ke roop me. Aap ke computer me download ho jaye.
Ab aap ke blog ka backup wala XML file ko wordpress par import karna hai.
Step 2 : Import Your Blogspot Blog To WordPress :
Blogger ke backup ko wordpress par install karne ke liye. Sab se pahle aap apne wordpress me login ho kar wordpress ke dashboard par jaye. Us ke baad aap Tools >> Import ke upper click kare. Ab jo page open huwa hai. Us me blogger import ka option diya huwa hai. Ish ke liye aap “Install Now” ki button ke upper click kare. Jaisa ki app niche ki image me dekh pa rahe hai.
Yaha aap “Run Import” ke upper click kare.
Ab ek new page open hoga. Jis me aap ko apne blogger blog ki backup wali XML file ko upload karna hai.
1. Apne blogger blog ke backup wali xml file ko select kare.
2. Upload file and import ke upper click kare.
Click karte hi aap ka backup wala data worpress par import hona suru ho jayega. Ish me kuch time lag shakta hai. Wo aap ke data ke size ke upper depend karta hai.
Step 3 : Assign Authors name :
Aap ke data ka backup Upload hote hi aap se author name ke liye pucha jayega.
WordPress par pahle se jo author name hai. Un me se select kare. Ya phir new create kar le. Author name set kar lene ke baad. Download and import file attachments ke upper tick out kar ke Submit ki button ke upper click kare.
Download and import file attachments ko tick out karne ka yah fayeda hoga ki. App ke blogger blog me job hi images hai. Wo sari images wordpress par upload ho jayega.
Finally ab aap ke Blogger blog ki post aur comment WordPress blog me import ho chuka hai. Ab aap wordpress blog ko open kar shakte hai.
Note : Agar aap ne post ke liye new user create kiya hai. To aap us ka password users setting me ja kar jarur update kar de.
Blogger Blog Ko WordPress Par Migrate Karne Ke Baad Kya Kare?
Blogger Blog Ko WordPress par transfer karne ke baad. Blogger blog ko wordpress par redirect karna bahut hi jaruri hota hai. Nahi to aap ke blog ki ranking ke upper bura effect padhega. Redirection kar dene se aap ke blogger blog ke users wordpress blog par aa jayege.
Step 4 : Setting of Redirection
Sab se pahle aap blogger blog me login ho kar. Dashboard >> Template ke section me jaye. Waha par aap ko ek option milega “Revert to classic templates”. Us ke upper click kare ya phir kisi bhi classic template ke upper click kar ke save kar de.
Ab aap apne Blogger Template >> Edit HTML ke upper click kar ke. HTML box ki puri coading ko delete kar ke. Niche diye gaye code ko paste karna hai.
<html> <head> <title><$BlogPageTitle$></title> <script> <MainOrArchivePage> window.location.href="http://helpsinhindi.com/" </MainOrArchivePage> <Blogger> <ItemPage> window.location.href="http://helpsinhindi.com/?blogger=<$BlogItemPermalinkURL$>" </ItemPage> </Blogger> </script> <MainPage> <link rel="canonical" href="http://helpsinhindi.com/" /> </MainPage> <Blogger> <ItemPage> <link rel="canonical" href="http://helpsinhindi.com/?blogger=<$BlogItemPermalinkURL$>" /> </ItemPage> </Blogger> </head> <body> <MainOrArchivePage> <h1><a href="http://helpsinhindi.com/"><$BlogTitle$></a></h1> </MainOrArchivePage> <Blogger> <ItemPage> <h1><a href="http://helpsinhindi.com/?blogger=<$BlogItemPermalinkURL$>"><$BlogItemTitle$></a></h1> <$BlogItemBody$> </ItemPage> </Blogger> </body> </html>
Note : Code ko save karne se pahle aap http://helpsinhindi.com ki jagah. Apne wordpress blog ke domain name se replace jarur kar de.
Ya phir aap chahe to ye code <head> ke niche paste kar ke bhi redirect kar shakte hai.
<meta content='0;url=http://helpsinhindi.com' http-equiv='refresh'/>
Ish setting ko kar dene se blogger blog par aane wale sare visitors. App ke wordpress site par redirect ho jayege.
Asha karta hu dosto aap ko mera yah post pasand aaya hoga. Post pasand aaya hai to ishe jarur share kare. Aur apne dosto se bhi share karne ke liye kahe.
Finally ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Blogspot Blog Ko WordPress Par Kaise Transfer Kare With SEO”. Agar aap ko blogger blog ko wordpress par transfer karne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Sultan singh says
bhy
wordpress per months ka kitna paisa invest karna padta hai . me ab blogger se wordpress per transfer karna chata hu…
Mangal Gupta says
Rs. 500 per month lagta hai. But aap chahe to starting me discount coupon use kar ke kuch paise bacha shakte hai.
ezhar says
Sir mera blog blogher par hai wp jane ke liye maine godaddy se linux hosting li huyi hai hosting par wp install bhi kiya par mai apne dashboard me nahi ja pa raha hun.
Install karne ke baad mujhelink mila email parjo aise hai http://WWW.MY SITE URL/WP-ADMIN mai espar click karta hu to mera blogger ka home page khulta hai jis par 404 erorr aa raha hai. Mai kya karun kaise dashboard me inter karun plz help me.
Mangal Gupta says
Aap ne thik se WordPress blog ko install nahi kiya hai. App Ye post padhe Hostgator Ki Hosting Par WordPress Blog Ko Kaise Install Kare or acche se WordPress blog ko install kare. Ish me aapko wp remove karna hai.
ezhar says
Sir mai hostgator nahi godaddy ki histing li huyi hai
Mangal Gupta says
App ne godaddy ki kaun si hosting li hue hai.
Ezhar mansuri says
Sir godaddy linux plan liya hun cpannel waala problem pata chala domain dusri company ka hai to name server change karna padega par mujhe godaddy se nameserver ka koyi mail nahi mila hai to mai name server kaise change karu plz tell me
Mangal Gupta says
Godaddy ke customer care se contact kar ke aap puch shakte hai.
Ezhar mansuri says
Ok sir i am trying thank you
ezhar says
Sir mai wp par blog move kar liya hu mai mh magzine lite ka free theme use kiya hu par sir mere post me ak hi photo do jagah open ho raha hai.
Pahla post ke upar dusra jaha main lagaya hu.
Aap mere blog par aakar koyi ak post open kar dekh lijiye aur plz isko sudhaarne ka koyi upaay bataayein.
Mangal Gupta says
2 photo to kahi bhi show nahi ho raha hai.
Nites says
Bhut achcha bhai mene hostgator se hosting khreed li hai ab me kya kru pehle wordpress pr hosting add kru ya blogger ko wordpress se transfer kru
Problem costum domain bhi hai jo blogger se add hai kya use hta kr hostgator pr lagana pdega kya
Wordpress pr kya kya krna pdega please btao me wait kr rha hu
Samir Kumar says
Bhai
Agar me blogpost blog se wordpress ko sift hogaya to kiya mujhe wordpress me google (Ad sense) appoval milega
Aisa to nahi he ki mene isko sift kiya dono website alag hi hoga to google Ad senes mera apply ko cancel to nehi kar dega
Agar blogpost me pahle se Ad chal raha hoga to kiya wo wordpress me automatic show karega