Hello dosto aaj hum log janege ki Mobile Ka Pattern/Pin Lock Kaise Khole. Ya Pattern/Pin Ya password Lock Bhul Jane Par Kya Kare. Asha karta hu mostly android user ke samne. Yah problem kabhi na kabhi jarur aa jata hai. Aur ish problem ko solve karne ke liye. Hume kisi na kisi shop ya service centre par jakar Rs. 250-300 karch bhi karne padhte hai. Yese condition se bachne ke liye. Hum log ish post me janege ki samsung, oppo, micromax, karboon, sony, vivo, lg, lenevo, intex phone ka lock kaise tode. Jo 100% working karta ho. Agar aap ka phone lock nahi bhi hai. To bhi jarur padhe kyu ki kya pata pattern lock todna aap ke kab kaam me aa jaye.
Actually hum log apne mobile phones me Pattern/Pin Lock security ke liye lagate hai. But bahut logo ke saath yesa hota hai. Ki wo lock lagane ke baad bhul jate hai. Aur lock todhne ke liye paresan ho jate hai. But ab aap ko tension lene ki koe jarurt nahi hai. Kyu ki ish post ko padhne ke baad aap bahut hi aasani se phone ka lock break kar shakte hai.
Smartphone Ke Lock Ko Unlock Karne Ki Jankari?
Kisi bhi mobile phone ka password kholne ke liye. Her company ka ek default tarika hota hai. Jise Hard Reset kahte hai. Kisi bhi mobile ko hard reset kar dene se. Us ka Pattern , Pin ya Password Lock remove ho jata hai. Aur us ke saath saath agar aap ka mobile hang ya slow chal raha hai. To aap ka yah bhi problem solve ho jayega. Kyu ki hard reset kar dene se. Aap ka phone new purchase phone ki tarah ho jata hai.
But hard reset ya factory reset kar dene se. Aap ke smartphone ka sara data delete bhi ho jata hai. Ish liye ish method ka use tabhi kare. Jab aap ke phone ki memory me jayada important files ya data na ho. But agar aap ka mobile hang ya slow chal raha hai. To sab se pahle aap apne phone ki memory ka backup le kar. Hard reset kar shakte hai. Jise karna bahut hi aasan hota hai.
Hard Reset Karne Ke Kya Fayde Hai?
Hard reset karne se aap ko bahut sare fayde hai. Jo mai aap ko niche batane jar aha hu.
1. Agar aap apne mobile me lock laga kar bhul gaye hai. Ya phir kisi bhi karan aap ka phone lock ho gaya hai. To aap use bahut hi aasani se hard reset ke dwara unlock kar shakte hai.
2. Hard reset kar dene se aap ka phone Factory Made ho jata hai. Mere kahne ka matlab hai ki. Jaisa aap ne new phone purchase kiya tha waisa ho jata hai.
3. Agar aap ka phone rooted hai. To wo automatic unroot ho jata hai. For example agar aap ne kingroot se apne phone ko root kiya hai. To us ka application normal reset ke baad bhi. App ke phone me install rahta hai. But agar aap hard reset karte hai. To hard reset ke baad us ka koe bhi file aap ke mobile me nahi rahega.
4. Agar aap ka phone hang kar raha hai. Ya slow chal raha hai. To aap ka problem hard reset ke dwara solve ho jayega.
5. App ke smartphone me agar virus aa gaye hai. To hard reset hi ish ka sahi solution hai.
6. Normal reset se aap ke phone ke sirf Internal storage aur apps hi clear hote hai. But RAM ko wo puri tarah se clean nahi kar pata hai. Wahi hard reset se aap ke phone ka sara Internal Data aur RAM dono hi clean ho jata hai.
Smartphones Ko Reset Karne se Pahle Kya Kare?
Phone ko reset karne se pahle kuch jaruri chizo ka jarur dhyan rakhna chahiye. Warna aap ko loss ho shakta hai. Kin kin bato ka dhyan rakhna hai. Mai aap ko niche banana ja raha hu.
1. Apne Contacts aur sms ka backup lele.
2. Agar ho shake to apne phone ki memory ka backup jarur lele. Kyu ki reset hone ke baad aap ka sara data formate ho jayega.
3. App ke battery ka backup kam se kam 40-50% jarur hona chahiye.
4. Smartphone se apna memory card aur sim card nikal le. Kyu ki wo bhi formate ho jayega.
Android Phone Ko Hard Reset Kaise Kare?
Apne android mobile ko humesa recovery mode se hard reset karna chahiye. Recovery mode se hard reset karne ke liye. Generally her smartphone me Volume Up, Volume Down aur Power key diye hote hai. Jis ki madad se hum apne smartphone ko recovery mode me ja kar hard reset kar shakte hai.
Recovery mode se smartphone ko reset karne ke do tarike hai. Pahla Computer ya laptop aur dusra mobile se work karna. But maximum log mobile se hi work karna jayada pasand karte hai. Ish liye hum log bhi smartphone se hi hard reset karna janege. To chaliye step by step suru karte hai.
Step 1 : Sab se pahle aap apne smartphone ka Switch Off kar de.
Step 2 : Ab aap ko apne phone ke Recovery Mode me jana hoga.
Agar aap Samsung user hai. To app Volume Up + Home + Power button ek saath press aur hold kare. Recovery mode me jane ke liye.
But agar aap kisi dusre brand ka smartphone use karte hai. To aap Volume Up + Power button ek saath press aur hold kare. Jab tak ki aap recovery mode me na aa jaye.
Ek jaruri baat Recovery mode ke ander. Aap touch ka use nahi kar shakte hai. Ish liye aap ko yaha volume up aur volume down button se kaam karna hoga. Volume Up se aap arrow move kar shkate hai. Matlab aap arrow ko upper niche kar shakte hai. Aur Volume Down ki button se aap kisi bhi option ko select kar shakte hai.
Step 3 : Ab aap ko Recovery mode me wipe data/factory reset wale option ko select karna hai.
Step 4 : wipe data/factory reset ko select karte hi. App ke samne ek dursa screen aa jayega. Yaha aap ko simply Yes – delete all user data ke option ko. Power button se select kar lena hai.
Step 5 : Select karte hi kuch second me aap ka pattern lock remove ho jayega. Process complete hote hi aap reboot system now ko select kar le. Taki aap ka phone reboot ho jaye.
Congratulations, ab aap ka pattern lock remove ho chuka hai. Chahe to aap check bhi kar shakte hai. Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Mobile Ka Pattern/Pin Lock Kaise Khole”. But agar phir bhi koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Aap Ke Liye Kuch Aur Interesting Post –
- Kisi Bhi Android Mobile Me Software Kaise Dale Without Box – Complete Guide
- Samsung Mobile Me Software Kaise Dale Without Box – Full Guide
- Jio (LYF) Mobile Me Software Kaise Dale – Full Guide
- Nokia Mobile Me Software Kaise Dale Without Box In Hindi
- Samsung Mobile Ka FRP (Gmail) Lock Kaise Khole – Without Box
Dosto agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To please logo ke saath ish se social media par share jarur kare. Agar aap ko ish si tarah ka interesting tropic se related jankari chahiye. To humare Newsletter ko Subscribe jarur kar le. Taki aap ko humare post ka notification. App ke mail id par free me milta rahe. Thank you.
Dosto Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
neha says
Meri beti ka mobile lock h usko kese kholu no. Se lock h infocus
Mangal Gupta says
infocus ka kaun sa model no. hai
sagar moran says
a3
sagar moran says
a3 Asian b01n3cy8pc
Akash Kumar says
Mujhe dusre log ka password janna hai lock screen ka
Gaurav Sharma says
Sir ji Mera phone oppo ka hai jise wipe data karne ke bad pin khoj Raha hai Jo Hume yad nahi
Sadam Kharal says
Mobile ka lock bhul gaya hai
Jerry says
Bhai mera phone hai oppo A53 computer se kaise tode mera phone pin lock hogaya hai
Jerry says
Wipe data be password maang Raha hai
Bhumika says
Mainecdadi ke phone ka lock lagaya aur mai bhul gyi to mai kya karu what can I do
Suraj says
Aapne jaisa kaha maine vasa kiya phir bhi pin nahi khula hai kya karon
Shyam says
Vivo y 12 ka password kaise tode recovery mode me jane ke baad bhi wipe data ka option nhi aa raha
Mangal Gupta says
Turn off your phone.
Then press and hold the Volume Up key and Power key simultaneously,
until the Android system recovery screen appears.
Use the Volume Down key to highlight the wipe data/factory reset option and then use the Power button to make the selection.
Jashpal says
Micromax mobile me ye problem aya hai aur mai power button+volume up press karne ke bad recovery mode ko select kar rahe hai to ‘no command’ aa raha hai uske bad kya karna hai please bataye
viky says
Hii sir…..
Sir mera chaina tab he.magr o na hard reset ho raha he na.usme software install ho raha he.usme maine mere nam ka password dala tha.magr o ab o password nahi le raha he.ple.solution
pankaj kamble says
hiii sar mera phone Samsung j1 hai aur uska mein swich on karne jata hu to right side me ! ye si red line dikhai de rahi hai
recovery mode bhi open karne ja raha hu to red color main ( ! ) dikai de raha he
plzz help me
Mangal Gupta says
App ek saath Power+ Volume up+ Home ko press kijiye aur apne J1 phone ko factory reset kar dijiye.
Arun August says
Hello sir coolpad E2 ko recovery mode reset karne Ke bad start krne pe synchronized email I’d maang RHA hai Jo mai bhool chuka hoo kya kru
Ankitsindhu says
Micromax a 28 ka pattern kaise tode
Mangal Gupta says
press volume UP+power key
Manish kumar ravat says
Sir maine phone reset kiya tha per gmail se khul nahi raha hai
Mangal Gupta says
Phone reset karne se pahle, App jis gmail account se login the. Usi gmail account se aap ka phone on hoga. Yese lock ko FRP Lock kahte hai.
rama says
best trick
ALAM says
MERE PASS MICROMAX BOLT A27 MODEL HAI.
JISKA PATTERN BHUL GYA HU LEKIN HARD REST NHI HO RAHA HAI.
KYU KI ISS MODEL ME WIPE DATA/FACTORY RESET
KA ISSTEMAL NHI HOTA
Mangal Gupta says
Is ke liye aap ko Android Multi Tool download karna hoga.
Prabir Debbarma says
Sir very very thanks
For you
Good bless you
Mujahid says
Are Sir Aap ke bataye huae bato per maine kya but wo swich on ho ja raha hai koi rest ka ofsun nahi aa raha hai please you shold help me sir
Mangal Gupta says
App ka mobile kis company ka hai..
Rajesh says
Hi my name is rajesh yaar Mera phone vivo y 91 isme pattern laga k bhul gya kaise kholu
Mangal Gupta says
Turn off your vivo Y91 phone.
Then press and hold the Volume Down key and Power key simultaneously,
Release all buttons when you see information about Fastboot Mode.
Now select “Recovery” option. By Using Volume Down to navigate then press Power button to confirm it.
Than select “Wipe data” with the Power key.
In this menu go to “OK” –> “Back” and confirm it with the Power button.
At the end select “Reboot system” by using the Power key.
Finally your pattern lock removed.
pankaj kamble says
hii sar mera phone lava ka hai aur ise me meri photos aur videos apne aap deleted hoti hai aur screen shot nahi as raha hai screen shot leta ho to couldn’t screen shot ayasa dikhai de raha aye
plzz help me
Mangal Gupta says
App phone ko ek baar hard reset kar dijiye. Agar phir bhi thik nahi hota hai to phone ko flash kar dijiye.
Diwakar says
Phone Ka FRP lock kaise khole
Rahul says
Are sir mere dost ka phone me recovery mode ka option click karte hi no command likh deta hai,
Ab Mai Kya karu
Mangal Gupta says
Aap ke dost ke phone ka model number kya hai.
cornelius hembrom says
samsung galaxyj2pro ka pattern lock bhul gaye hain kaise khuleinge sir kuch jankari dejyega sir ji
vivek says
sir mere phone me privancy lock lg gya hai.samsung e2252 hai
Ranjeet says
Sir mere pass vivo ka model number y21l h jisme wipe data pr click karta hu to faild bata raha h ..kya kare sir
chandan says
Aapke kehne par me mera Samsung Mobile ko hard reset kiya .avi checking network dikha raha hain please bataye muje avi kya karna sahiye?reply avi kijiye please.
prakash rajput says
mera kepyad jivi X57i ka screen lock kaise todu
Devender says
Oppo a37fw ka lock todna hai
Guru says
Sir g mera phone vivo y51 hai volum + or power buten se lock kholne ka prayash kar raha hu lekin khul nahi raha hai usme data factory reset ka opsion hi nahi aa raha hai
saru says
oppo a3s ka pattern kaise tode
Sarita says
Hm pho lock ho gya sahi n ho rha pls help me
Mangal Gupta says
Aap ka phone kaun sa hai aur uska model no. kya hai.
deepak kumar says
hii sir mera mob realme x hai uska pin lock bhul gye hard reset karne par bhi pin lock maang rha hai aise mai kya kare mob ko kaise unlock kare
Mangal Gupta says
1. Turn off the your realme x phone.
2. Press Volume Down and Power buttons for a couple of seconds.
3. When the OPPO logo appears let go of all keys.
4. Choose English by using Volume keys, then press Power button to accept it.
5. Select Wipe data and cache. Use Volume buttons to scroll down and the Power key to confirm that.
6. Now choose Yes from the menu and press the Power button.
7. Finally select Reboot and OK with the Power key.
Rakesh Bharti says
Oppo ka mobile ka password bhul gya hu
Sir reset kaise kare
Mangal Gupta says
1. Switch off your oppo phone.
Then, Press and Hold
2. Volume Up + Power button (or)
Home button + Volume Up + Power button (or)
Volume Down + Power button (or)
Volume Up + Volume Down + Power button
Please try above all steps one by one, Until you will see Android reboot menu.
3. Then, To go to the Recovery Mode menu hold down the Power key for a short while.
4. Next, select option : “wipe data / factory reset” using Volume Down, and Power button to confirm operation.
5. After that, choose option “yes” with Volume Down, to select and Power button to accept.
6. Finally, press Power button to enter option “ reboot system now ”.
7. Finally, Hard reset done on your mobile.
RAJA says
sir aaisa koi formulla nahi hai jo bina reset ke khul jaye hack kar ke
Mangal Gupta says
mobile ka lock todne ke 4 triko ke baare me maine is post me bataya hai. App ise padh sakte hai – किसी भी स्मार्टफोन का लॉक कैसे तोड़े? 4 बेस्ट तरीके
Suresh says
Sirji mere pass vivo y53 hai pattern bhul gaya hu rest marna hai per wipe data karta hu to vapas pattern mangta hai
Rohan Lokhande says
Mera to recovery mode par nhi aa Raha
Omprakash says
Oppo 5s me wipe data ke liye password mangta h sir
jitu says
samsang ka mobile he or jo uper btya the o kar liya he reboot bhi kr diya he lekin on nhi ho rha he