Hello dosto aaj hum log janege ki Gorilla Glass Kya Hota Hai Aur Ish Ke Kya Fayde Hai. Asha karta hu dosto ki aap ne Gorilla Glass ka naam to jarur suna hoga. Kyu ki aaj kal jab bhi hum koe store pe mobile purchase karne ke liye jate hai. To box ke upper jarur likha hota hai ki, ish mobile me konsi screen glass di hue hai. Waise bhi aaj kal hume Gorilla Glass phone or Dragontrael Glass ka naam jayada sunne ko milta hai. Ish liye doto aaj hum log Gorilla Glass Kya Hai, Dragontrael Glass Kya Hai, Gorilla Glass Ke Kya Fayde Hai ke bare me janege.
Kuch salo pahle humare computers aur mobile itne portable nahi the. Jitne ki aaj ke date me ho gaye hai. Mobile phones ko pahle se bahut jayada develop kar diye gaya hai. Aur un hi me se ek chiz hai Gorilla Glass mobile. Jo ki normal screen glass ke mukable bahut jayada shaktishali ban gaya hai. To chaliye sab se pahle hum jaan lete hai ki Gorilla Glass aur Dragontrael kya hota hai.
Gorilla Glass Kya Hota Hai – गोरिल्ला ग्लास क्या है?
Gorilla Glass ek strong aur environment Friendly Glass ke saath saath thin, light and damage-resistant specialized toughened glass hai. Ish ka weight normal glass ke mukable kafi halka hota hai. Ish se Corning company ne banaya hai. Yah Alkali- Aluminosilicate ke patle sheets ke dwara banaya jata hai. Gorilla glass dusre kisi bhi normal glass se kafi strong hota hai. Aur ish par aasani se Scratch bhi nahi padte hai. Gorilla Glass ka Hardness ka scale number 6.5 hai.
Ish se mainly Mobile Phones, Portable Media Player, Laptop ke alawa TV screen pe use kiya jata hai. Pahli baar Gorilla Glass screen ka use 2007 me apple dwara iPhone me kiya gaya tha. Abhi tak Gorilla Glass ke five version launch huwe hai. Jise hum log Gorilla Glass 1, 2, 3, 4, 5 ke naam se jante hai.
Dragontrael Glass Kya Hota Hai – ड्रैगनट्रेल गिलास क्या है?
Yah glass bhi strong hone ke saath saath thinness, lightness aur damage-resistant ka hi combination hai. Ish glass ko Asahi naam ki ek company ne banaya hai. Yah bhi bilkul Gorilla Glass ki hi tarah hai. Bus naam ka hi kewal difference hai. Yah glass hume Lava, Xolo, Xiaomi etc ke smartphones me dekhne ko milta hai. Ish glass ka bhi Hardness scale number 6.5 hi hai.
Gorilla Glass Ke Fayde (फायदे) Aur Nuksan (नुकसान)
Jaisa ki hum sab jante hai ki kisi bhi chiz ke do pahlu hote hai. Phala Fayde aur dusra Nuksan. Ish liye chaliye hum log Gorilla Glass Ke Fayde (फायदे) Aur Nuksan (नुकसान) ke bare me bhi jaan lete hai.
Gorilla Glass Ke Fayde : Gorilla Glass normal glass ke tulna me kafi strong hota hai. Yah Scratch resistant ke saath saath dekhne me bhi kafi sunder hota hai. Yah jayda heat sahne ki bhi takat rakhata hai. Gorilla Glass normal glass ke mukable me thora palta aur halka hota hai.
Gorilla Glass Ke Nuksan : Gorilla Glass ke nuksan ke bare me baat kiya jaye. To ish me bahut jayada nuksan nahi hai. But kuch chize hai jo hum jaan lete hai. Ish ko banana me time aur money dono jayada lagte hai. Aur ish se banana bhi koe aasan kaam nahi hai. Ish si karan Gorilla Glass wale device. Jaise mobile ya notebook ka price bhi jayada ho jata hai. Gorilla Glass Scratch resistant to hota hai. But yah Scratch proof nahi hota hai.
Types Of Gorilla Glass
Samay ke saath saath Gorilla Glass bhi kafi develop ho gaya hai. Aur ish se use karna bhi accha ho gaya hai. Abhi tak Gorilla Glass 5 tarah ke hai.
1.Corning Gorilla Glass 1
Corning ne 2008 me ish version ko launch kiya tha. Yah glass Chemically strengthened protection tha. Aur yah Completely recyclable bhi tha.
2.Corning Gorilla Glass 2
2012 me Corning ne hi ish version ko launch kiya. Yah bhi Chemically strengthened protection glass hai. But yah pahle ke mukable 20% jayada patla tha. Kyu ki glass jitna patla hota hai. Wah untna hi jayada chune me responsive sensitive hoga.
3.Corning Gorilla Glass 3
Corning dwara January 2013 me yah version aaya. Yah bahut hi unique type ka glass hai. Kyu ki ish me ek new technology Native Damage Resistant (NDR) ka use kiya gaya hai. Jis ke karan yah Gorilla Glass 2 ke mukable three times more damage resistant ban gaya. Aur 40% more scratch-resistant ho gaya hai. Yah pahle ke glass kit ulna me kafi flexible hai.
4.Corning Gorilla Glass 4
November 2014 me Corning dwara ish glass ko launch kiya gaya. Yah glass pahle ke mukable aur bhi jayada strong aur Scratch Resistant hai. Yah Drop Test pass glass hai. Kyu ki ish se decent height se fekne ke baad bhi break nahi huwa. Yah 80% time girne ke karan nahi break hota hai. Yah pahle glass ke mukable mahut jayada durable, tougher aur thinner ho gaya hai.
5.Corning Gorilla Glass 5
Gorilla Glass 5 ko 2016 me sab se pahle Samsung Galaxy Note 7 me use kiya gaya tha. Yah glass pahle ki mukable 4 times jayada damage resistant, durable, tougher aur thinner ho gaya hai. Yah glass kandhe ki uchae se girne par bhi break nahi hota hai.
Kya Gorilla Glass Ya Dragontrael Glass Ke Upper Screen Protector Lagana Jaruri Hota Hai?
Jiasa ki mai aap ko upper bata chukka hu. Gorilla Glass Ya Dragontrael Glass dono hi Scratch resistant glass hai. Na ki Scratch Proof Glass. Resistant ka matlab hota hai Scratch ko rok shakta hai. But proof ka matlab hota hai. Jara sa bhi Scratch na ho. Ish liye yah glass kuch had tak hi scratch ko rok shakta hai. Kyu ki yah fully Scratch proof nahi hai.
Finally agar aap ke smartphone me yah glass laga huwa hai. To aap ko screen protector lagana jaruri hai. Screen protector ke liye aap plastic wala ya tempered glass ka use kar shakte hai. Jo aap ko thik lage aap use kar shakte hai.
Asha karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga. Gorilla Glass Aur Dragontrael Glass Kya Hota Hai. YA Gorilla Glass Ke Kya Fayde or Nuksan Hai. Gorilla Glass Mobile se related koe bhi sawaal aap ke man me hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Dosto agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par share jarur kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko subscribe jarur kar le. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: