Hello dosto aaj hum log janege ki Kya App Ka Aadhar Bank Account Se Link Hai. Agar aap ne abhi tak apna bank account Aadhar Card ke saath link nahi karwaya hai. To jald se jald karwa lijiye. Kyu ki aap ko to pata hi hai. Aaj ke date me kisi bhi scheme ka labh pane ke liye. Aadhar Card ka Bank Account se link hona bahut hi jaruri hota hai. Chahe wo LPG subsidy ya mgnrega jaisi koe bhi sarkari scheme kyu na ho. But agar aap ka Aadhar bank account ke saath link hai. To aaj hum log janege ki aap ka Aadhar number link hua ya nahi. Matlab Kya App Ka Aadhar Bank Account Se Link Hai.
Bank apne sabhi customer se 31 Dec 2017 tak. App ke bank account me Aadhar Card number link karane ke liye kah rahi hai. Kuch bank ne yah kaam pura karne ke liye Online Aadhar link karne ki subhidha di hai. To kuch bank ATM card ke dwara Aadhar card link karne ke liye bol rahe hai. To aap bhi der na kare aur apna Aadhar apne bank account ke saath link karwa le.
App Ka Aadhar Bank Account Se Link Hai Ya Nahi Kaise Jane
App ka aadhar bank se link hai kaise pata kare. Janne ke liye humare pass 4 tarika hai. Jo hum log one by one janege. To chaliye suru karte hai aur jante hai. Aadhar card bank se link hai ya nahi.
1. UIDAI Website Ke Dwara Aadhaar Linking Status Jane
UIDAI website ke jariye Aadhar Bank Se link hai ya nahi ka status janne ke liye. App niche diye gaye steps ko follow kare.
Step 1 : Sab se pahle aap ko UIDAI ke adhikarik website par jana hai.
Step 2 : Website open hone ke baad. Aadhar Service Coloum ke ander Check Aadhaar & Bank Account Linking Status ke upper click kare.
Step 3 : Link ke upper click karte hi. Ek new window open ho jayega. Ish window me aap ko apna aadhar details dalna hai.
1. Yah me aap apna 12 digit wala aadhar number dale.
2. Ish box me bagal me diya huwa captcha code dale.
3. Send OTP ke upper click kare.
4. Click karte hi aap ke registered mobile no. par ek 6 digit ka OTP Code aayega. Us code ko daal kar Login Kare.
5. Agar aap ka aadhaar card bank account ke saath link hai. To verification completes ! Congratulations ! Your bank aadhaar mapping has been done likha hua aayega.
Finally aap apna bank linking date, status aur bank name dekh payege.
2. SMS Ke Dwara Aadhaar Linking Status Jane
Agar aap ke pass online subhidha available nahi hai. To aap apne registered mobile no. se ek SMS send kar ke bhi. Aadhaar linking status with bank jaan shakte hai.
1. Apne Phone ke dialer pad se *99*99# dial kare.
2. Dial karte hi aap ke samne 2 option aayege. Yaha app ko pahle wala option Aadhaar Linking Status ko replay karne ke liye. Apne dialer pad se 1 likh kar send kar de. Jaisa ki aap upper ki image me dekh pa rahe hai.
3. Ab aap 12 digit wala apna aadhaar card number likh kar. Send ki button ke upper click kare.
4. Apna aadhaar card number confirm karne ke liye. 1 dial kar ke send kar de.
Finally ab aap ka job hi result hai. App ke samne bank name ke saath display ho jayega.
3. Call Center Me Phone Kar Ke Aadhaar Linking Status Jane
Her bank ka apna apna ek Toll Free Number hota hai. App chahe to Call Center me Phone karke bhi. Bank account se aadhar card link hai ya nahi jaan shakte hai. Phone karne par wo aap se kuch sawaal puchege. Aur aap ka jabaab sahi hone par hi aap ko koe bhi details dege.
4. Branch Visit Karke Aadhaar Linking Status Jane
App apne bank ke branch office se bhi apna Aadhaar card linking status jaan shakte hai. App ko bus apne branch office me ja kar. Waha ke manager ya kisi employee ko apna account number bata kar. Puch shakte hai ki aap ka aadhar aap ke bank account se link hai ya nahi.
Asha karta hu dosto aap ko ye 4 tarko ke bare me samajh aa gaya hoga. Aur ab aap ko bhi pata chal gaya hoga ki “App Ka Aadhar Bank Account Se Link Hai Ya Nahi”. Post pasand aaya hai to social media par share jarur kare.
Dosto ish tarah ke aur interesting updates ke liye. Humare news letter ko subscribe jarur kar le. Taki aap ko humare new post ka notification milta rahe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: