Kya aap janna chahte hai ki Domain Parking Kya Hai Aur Domain Parking Se Paisa Kaise Kamate Hai. To aap sahi jagah par hai. But us se pahle aap mera post Domain Name Kya Hai Aur Kaise Kaam Karta Hai. Aur Godaddy se Only Rs.99 Me Domain Name Kaise Register Kare padh lijiye. Internet ki duniya me Domain name kewal aap ka pata hi nahi hai. Balki wo aap ki sampati bhi hai. Aur us sampati ko aap sell kar ke paise bhi kama shakte hai. Jo ki maine aap ko apne pichle post me bataya bhi tha. Domain Buy Sell (Flipping) Kar Ke Paisa Kaise Kamaye. But yaha sawaal yah hai ki. Aap apne us domain ko parking kar ke paisa kaise kamaye. Jo ki mai aap ko ish post me puri details me batawga.
Pichle post me maine aap ko bataya tha ki. Ek accha domain name wo hai. Jo chota ho, yaad rahkne me aasan ho, jis me kuch nayapan ho aur likhne ya type karne me bhi aasan lage. Ish liye aap in sab bato ko dhyan me rakh kar hi. Apne liye domain buy kar taki wah acche price me sale ho shake.
But dhyan rahe domain name ka extension yesa chuniye jis ka market me value ho. Aksar .com ki hi market me jayada value hai. Aur sab se jaruri baat jo ki kahna bahut aasan hai aur karna muskil. Kam paise me kharide kare aur jayada paise me sale kare.
Chaliye ab mai maan leta hu ki. Aap ko apne man pasand ka domain name mil gaya hai. Aur ab aap apne domain ko sale karne ke liye. Apne kharidaar ka wait kar rahe hai. But aap chahe to kharidaar ka wait karte huwe. Apne domain name ko park kar shakte hai. Aur us se paise bhi kama shakte hai. Chaliye ab jante hai ki domain parking kya hota hai.
Domain Parking Kya Hai?
Domain Parking me do words hai. Aur in dono words ko dekh kar aur soon kar hi. Aap ko pata chal gaya hoga ki domain parking kya hai. Ji ha dosto jis tarah aap apne car ya motor cycle ko park karte hai. To aap ko ek jagah de di jati hai apne gari ko park karne ke liye. Thik waise hi aap apne domain name ko bhi park kar shakte hai. Aur us se paise bhi kama shakte hai.
Types of Domain Name Parking
Domain name parking do tarah ke hote hai.
1. Free Domain Name Parking
Free domain name parking me aap apna domain name register kar le. Aur aap ko app ki registrar se free me parking mil jayegi. Aur ish parking ke aap ko koe bhi paise nahi dene hoge. Kyu ki yah free parking hoti hai.
2. Cash Parking
Cash parking me bhi aap sab se pahle apna domain name ko register kar lijiye. Aur phir us domain ko cash park kar dijiye. Chaliye mai aap ko ek example ke dwara batane ki kosis karta hu. Maan lijiye ki aap ke pass koe domain name hai. Aur use aap apne registrar jaise godaddy par cash park karna chahte hai. Aur jab aap apne domain ko godaddy par cash park kar dege. To us parking ke page par godaddy ads daal dega. Aur agar koe us ads ke upper click karta hai. To aap ko us ads ke kuch paise milege.
Cash Parking bhi Ad Network ki tarah work karta hai. But cash park ki service free nahi hoti hai. Ish ke liye aap ko pure saal ke liye kuch mamuli paise dene hote hai. Taki aap ko ads ke dwara hone wale kamae ka hissa mil shake.
Domain Parking Kyu Kare?
Domain park karne se hume bahut sare fayde hai. Jaise domain parking kar ke aap kuch paise kama shakte hai. Better SEO ke liye site launch karne se pahle domain ko park kar ke rakhna chahiye. Domain parking se yah bhi pata chalta hai ki domain reserve hai.
Godaddy Par Domain Parking Kaise Kare?
Domain parking ki service bahut sari website offer karti hai. But aap ne jis website se apna domain purchase kiya hai. Agar wah website ish service ko offer kar rahi hai. To aap us ka hi Parking Platform ko use kare. Yaha mai aap ko batane wala hu ki Godaddy Par Domain Parking Kaise Kare.
Step 1 : Sab se pahle app Godaddy ki website me Login ho jaye.
Step 2 : Login hone ke baad. Domain ke samne diye huwe Launch ki button ke upper click kare.
Step 3 : Ab aap ke samne wo sare domains name aa jayege. Jo aap ne purchase kiya hai. Yaha aap ko us domain name ko select karna hai. Jise aap park karna chahte hai.
1. Jis domain ko park karna hai select kare.
2. Domain name ko select karte hi. Monetize ka option enable ho jayega. Ab aap ko Monetize Drop Down Button ke upper click karna hai.
Step 4 : Monetize Drop Down Button par click karte hi. Aap ke samne 4 option aa jayege. But aap ko First Option Manage CashParking ke upper click karna hai. Click karte hi app ke samne Cash Parking Setup ka Popup Open hoga. Yaha aap ko Get it Now ke upper click karna hai.
Step 5 : Get it Now ke upper click karte hi. App ke samne Buy Sell ka option aa jayega. Aur yaha bhi aap ko 3 option milege. Aur aap ko yaha select karna hai. CashParking wale option ko. Jaisa ki aap niche ki image me dekh pa rahe hai.
Note : Godaddy me cash parking paid hai. Ish liye aap apne hisab se kitne time ke liye domain park karna chahte hai. Wah select kar le. Yaha aap do plan milege.
- Basic Plan : Yah plan Rs. 239 Per Month hai. You can Earn 60% of the advertising revenue on your parked domains.
- Premium Plan : Yah plan Rs. 599 Per Month hai. You can Earn 80% of the advertising revenue on your parked domain. Aur ish package me Domain Auction Membership bhi Free hai.
Cash Parking ka service buy karte hi. App ka domain park ho jayega. Aur domain parking se hone wale revenue ko. Receive karne ke liye Payment Mode jarur select kar le.
Godaddy ke aalawa bhi bahut sare platform hai. Jaha aap apna domain park kar shakte hai. Mai kuch sites ke list niche share karne ja raha hu.
- 1and1
- 1plus.net
- activeaudience.com
- cybersync.com
- domaindirect.com
- domainguru.com
- domainrightnow.com
- domainsystems.com
- dotzup.com
- fabulous.com
- futurequest.net
- goldkey.com
- iMonetize.com
- hostindex.com
- namedrive.com
- oversee.net
- parked.com
- parkednames.com
- parking4income
- revenuedirect
- snapnames.com
- streamic.com
- tafficvalet.com
- whypark.com
Domain name investing aap ke liye. Ek bahut hi faydemad business ho shakta hai. But agar aap samajh daari ke saath invest karte hai. To aap bhi domain investing se bahut sare paise kama shakte hai. Meri subhkamnaye aap ke saath hai.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. Domain Parking Kaise Karte Hai. Aur ‘Domain Parking Se Paisa Kaise Kamate Hai’. But phir bhi aap ko domain park karne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke jarur puche. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Dosto aap ko mera yah post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye bus inta hi. Chalte chalte mai bus yahi kahuga. Aap apna aur apne pariwar ka khyal rake. Thank you.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Rimi says
I have done this but never made any money . I think hume aise domain lene chahiye jise log google mein search karte ho. Domains mein keyword ho to hum earn kar sakte hain. Thanks
P Sinha says
Very nice blog for beginners. Content is good and informative.