Youtube Se Video Download Karne Ka Tarika In Hindi : Agar aap bhi youtube video ko mobile me download nahi kar pa rahe hai. To ab aap ko tension lene ki koe jarurat nahi hai. Kyu ki aaj hum log Youtube Video Mobile Me Kaise Download Kare janne wale hai.
Kewal youtube hi nahi youtube ke alawa bhi. Jaise Facebook, Vimeo, Instagram, Dailymotion se videos kaise download kaise janne wale hai. Ish se pahle bhi mai aap ko yah bata chukka hu ki. Bina Kisi Software Ke Youtube Videos Kaise Download Kare. App ko yah article jarur padhna chahiye.
Ish article me mai aap ko Vidmate App ke dwara. Mobile me youtube, Facebook, Vimeo, Instagram, Dailymotion videos kaise download kare batane wala hu. Vidmate ek free me bahut hi accha app hai. Jise ke dwara aap viedo aur songs bahut hi aasani se download kar shakte hai. Ish ke liye aap ko kuch bhi paise karch karne ki jarurat nahi hai.
Vidmate App smartphones ke saath saath PC ke liye bhi available hai. Jis ke dwara aap apne windows computer me bhi video aur audio fast download kar shakte hai.
Ish article me mai aap ko Vidmate APK file bhi share karuga. Taki aap aasani se Vidmate App ko apne smartphone me install kar shake. Kyu ki aksar maine bahut logo ko dekha hai. Jab wo Google Play Store me Vidmate likh kar search karte hai. To un ko Vidmate ka official vidmate apps nahi mil pata hai.
Also Read : 100% Confirm Tatkal Ticket Book Kare – In Just 30 Seconds
Features Of VidMate For HD Video Downloading
- High quality HD video download kar shakte hai.
- Alag alag formate me video download kar shakte hai.
- High quality music download kar sakte hai.
- Unlimited full movie alag alg formate me download kar shakte hai.
- Recommended TV shows bhi dekh shakte hai.
- Bina rukawat ke Live TV bhi dekh shakte hai.
Vidmate App Download Kiase Kare?
Agar aap ko Vidmate App Google Play Store me nahi mil raha hai. To aap tension na le. Mai niche vidmate ka official link share karne ja raha hu. To der kis baat ki chaliye suru karte hai.
Sab se pahle aap Vidmate App Download karne ke liye ish Link par click kare. Clcik karte hi aap ke liye vidmate app download hona start ho jayega. Jab app download ho jaye to apne smartphone me install kar le.
Asha karta hu aap ne bhi apne smartphone me vidmate app download kar ke install kar liya hoga. Vidmate ko open karte hi aap ko vidmate ka home page dikhae dega. Jaisa ki aap niche ki screenshot me dekh pa rahe hai.
Yaha aap apne man pasand ka koe bhi video ya audio bahut hi aasani se download kar shakte hai. Chaliye ab mai aapko vidmate app se video download karne ka tarika bata deta hu.
Youtube Video Mobile Me Kaise Download Kare
Vidmate dwara aap Youtube viedo ko do tarah se download kar shakte hai. Pahla kudh vidmate dwara aur dusra direct Youtube se. Mai ish article me aap ko dono takiko se download karna batawga.
Also Read : 3G Mobile Me 4G Sim Kaise Chalaye – Jane Secret Tricks
Vidmate App Se Youtube Video Kaise Download Kare?
Youtube video vidmate app dwara download karne ke liye. Sab se pahle aap vidmate app ko open kare. Aur Youtube ki button ke upper click kare.
Yaha aap samne bahut sari video aa jayegi. App jis bhi video ko download karna chahte hai. Us video ke pass diye huwe download icon ki button ke upper click kare.
Agar aap koe video search kar ke download karna chahte hai. To aap search box me us video ka naam type kar ke search kar shakte hai. Aur download ki button ke upper click kar ke us video ko download kar shakte hai.
Download ki button ke upper click karte hi. App ke samne video download karne ka option aa jayege. Yaha aap jis bhi quality me video download karna chahte hai choose kar shakte hai.
Apna video formate choose karne ke baad. Jab aap download ki button ke upper click karge. To aap ki video downloading me lag jayegi.
Video download ho jane ke baad. App us viedo ko apne smartphone me dekh payege.
Youtube Se Direct Vidmate Dwara Video Kaise Download Kare?
Sabse pahle aap apne mobile me youtube open kare. Aur jis bhi video ko download karna hai. Us video ko youtube me play kare.
Play karte hi share ka open aayega. App ko bus us share ki button ke upper click karna hai. Click karte hi share a link ka option aa jayega. Jis me aap ko Vidmate app ko select karna hai. Vidmate ko select karte hi vidmate app open ho jayega. Aur aap ke samne Download ka option aa jayega. App apna video formate select kare aur download ki button ke upper click kar de.
To dekha aap ne youtube se video download karne ka tarika kitna aasan hai. Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Mobile me video kaise download kare”. Agar phir bhi video download karne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Also Read : Kya Dekh Kar Second Hand Mobile Kharide – Jane Tips and Tricks
Dosto aap ko mera yah post pasand aaya hai. To social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus itna hi. Chalte chalet bus yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
priya says
bahut hi achchhi jankari hai
Mangal Gupta says
Thanks… Keep visit…
Kirti ranjan sahoo says
Sir Really good content mujhe bahut achha laga padke aisa aur bhi post dalte rahe
Navjot randhawa says
Link pee click krne ke liye btaya hai but link Kahan hai
kumar says
nice information sir thanks for this post
YouTuber says
Wow, what a post bro! thank you