Agar koe bhi visitor aap ke facebook like box ko like karta hai. Aur aap apne post ko facebook pe share karte hai. To us visitor ko aap ke har ek post ki jankari aasani se facebook pe mil jayegi. Agar aap janna chahte hai ki Facebook Page Kaise Banate Hai to yaha click kare.
Facebook Like Box Apne Blog Me Kaise Add Kare?
Step 1: Sabse pahle aap ko https://developers.facebook.com/docs/plugins/page-plugin pe jana hoga.
Step 2: Yaha aane ke baad aap ko apne facebook like box ke liye kuch setting karni hogi.
1. Facebook Page URL : Yaha par aap ko apne facebook page ka URL dalna hai.
2. Use Small Header : Agar aap ko apne facebook like box ka header chota karna hai. To aap yaha click kare.
3. Hide Cover Photo : Agar aap ko apne facebook like box me. Apne facebook page ka cover photo nahi chahiye. To yaha click kare.
4. Show Page Posts : Agar aap ko apne facebook like box me. Apne facebook page ka post chahiye to yaha click kare.
5. Get Code : Jab aap apne hisab se facebook like box ka setting kar le. Tab aap Get Code ke upper click kare. Get Code ke upper click karte hi. Aap ko do code milege jise aap ko apne blogger blog me copy karni hai.
Step 3: Ab aap apne blogger.com me login ho kar. Apne dashboard par jaye. Dashboard par jane ke baad aap Template ke upper click kare. Template ke upper click karne ke baad aap Edit HTML ke upper click kare.
Note : Template ko edit karne se pahle aap apne Template ka backup jarur download kar le.
Ab aap Template code editor me kahi par bhi click kar ke. Apne keyboard se Ctrl+F dabaye. Ab aap ke samne ek search box open ho jayega. Aap usme <body> likh kar Enter press kare. Enter press karte hi <body> tag search ho kar aap ke samne aa jayega.
Ab aap ko yaha code 1 ko <body> tag ke niche paste karna hai. Code paste karne ke baad aap Save Template ke upper click jarur kare.
Step 4: Ab aap Layout me click kare. Layout me aap ko jaha par bhi Facebook Like Box show karna hai. Waha par ja kar aap Add a Gadget ke upper click kare.
Step 5: Add a Gadget ke upper click karte hi. Ek new page open hoga. Aap ko is page me HTML/JavaScript wale gadget ke upper click karna hai.
Step 6: HTML/JavaScript wale gadget ke upper click karte hi. Aap ke samne ek naya page open hoga. Is page me aap ko Code 2 paste karna hai.
Code paste karne ke baad aap Save ke button ke upper click kare.
Save ke button ke upper click karte hi. Aap ke blog me facebook like box widget add ho jayega.
Agar aap ko apne blog me facebook like box widget ko add karne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch sakte hai.
Asha karta hu dosto aap ko mera ye post pasand aaya hoga. Agar aap humare dost banana chahte hai. To aap humare Facebook Page ko like karna na bhule.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Sandesh Gupta says
jaisa aap bataye hai usi prakar kar raha hu but body ke niche pahala code add karne k baad version 2.5 wala colum me error aa ja raha hai sir kaise hoga
Mahaveer Jain says
Very Nice Bhai. thanks
Nitesh Nayak says
Aacha blog hai aapka adsense ke liye try karo agar kuch problem aaye to aap mujhe trickycenter.com me contact kar sakte ho me aapko effective tarika bataunga adsense approve karne ke liye..
Nitesh Nayak says
Aacha blog hai aapka adsense ke liye try karo agar kuch problem aaye to aap mujhe trickycenter.com me contact kar sakte ho me aapko effective tarika bataunga adsense approve karne ke liye..
mahesh says
sir mere tamplate me HTML me show nhi ho rha
mahesh says
sir g mere template me HTML me gya tha waha par body show nhi ho rha ????
Mangal Gupta says
App ctrl+F press kar ke body search kijiye jarur mil jayega.
mahesh says
sir Bahut koshish ki mila nhi plz help me
Mangal Gupta says
आप कौन सा theme use करते हो?
mahesh says
sir g
WaterMark Wali Theme Use Krte Hain..