Hello dosto aaj hum log janege ki Google Search Console Me Apne Blog Ka SiteMap Kaise Submit Kare. Agar aap apne blog ko Google ke search engine me lana chahte hai. To aap ko apne blog ka sitemap Google Search Console me submit karna bahut hi jaruri hai. Kyu ki jab tak aap apne blog ka sitemap Google Search Console me submit nahi karege. Tab tak aap ka blog Google ke search engine me nahi aayega.
Ab aap soch rahe hoge ki Sitemap kya hota hai. To dosto kisi bhi blog ka sitemap ek tarah ka XML file hota hai. Jisme aap ke blog ka URLs hote hai. Aur ye file crawlers ko aap ke blog ke sabhi URLs ko dhudhane me help karti hai. To chaliye ab hum log jaan lete hai. ‘Google Search Console Me Apne Blog Ka SiteMap Kaise Submit Kare’.
Agar aap ne abhi tak apne blog ko Google Search Console me add nahi kiya hai. To aap sabse pahle apne blog ko Google Search Console me add kare. Kyu ki jab tak aap ka blog Google Search Console me add nahi hoga. Tab tak aap apne blog ka sitemap Google Search Console me submit nahi kar sakte hai. Google Search Console Me Apne Blog Ko Kaise Submit Kare janne ke liye yaha click kare.
Submit Your Sitemap In Google Search Console?
Step 1: Sab se pahle aap Google Search Console me Sign ho jaye.
Step 2: Sign hone ke baad aap apne blog ke title ke upper click kare.
Step 3: Ab aap Sitemaps ke upper click kare.
Step 4: Sitemaps ke upper click karte hi. Aap ke samne ek naya page open ho jayega. Is page me aap ko Add/Test Sitemap ke button ke upper click karna hai.
Step 5: Add/Test Sitemap ke button ke upper click karte hi aap ko apne blog ka sitemap submit karne ka option aa jayega.
Aap ko yaha apne blog ya website ke link ke samne wale box me sitemap ka link add karna hai. Ab aap niche diye huwe link ko copy kare. Aur apne blog ya website ke link ke samne wale box me paste kar de. Paste karne ke baad submit sitemap ke button ke upper click kare.
atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=500
Submit sitemap ke button ke upper click karte hi. Aap ke blog ka sitemap submit ho jayega.
Asha karta hu dosto ye post aap ko pasand aaya hoga. Aur aap ko ab pata chal gaya hoga ki “Google Search Console Me Apne Blog Ka SiteMap Kaise Submit Kare“. Agar aap ka is post se related ya phir blogger aur internet se related koe bhi sawaal hai. To aap hum se hamare website pe comment kar ke puch sakte hai.
Amit Kumar says
Bahut cha hai jankari. my blog.
allhindimehelp.com
Rajesh Jha says
sir ya webmaster tool kya hote hai
Rajesh Jha says
kya
VINAY Kumar says
very good yar thank you for help ..me