Hello dosto aaj hum log janege ki hum Apne Blog Ke Liye Google Analytics Me Account Kaise Banaye. Ab aap ye soch rahe hoge ki hum apne blog ke liye. Google Analytics me account kyon banaye, aakhir iski jajurat kaya hai. Jo log blogging me abhi new hai. Un ko ye pata nahi hota hai ki apne blog ka traffic kaise check kare. Waise bhi her ek blogger ye janna chahta hai ki us ki blog ya website ki traffic kitni hai. Ya phir uska blog improvement ho raha hai ki nahi. Aur bhi bahut sari bate bate hai jo her ek blogger janna chahta hai. Google Analystic se ye sari bate hum bahut hi aasani se pata kar shakte hai. Mai aap ko pahle hi pata chuka hu ki Google Ke Search Engine Me Apne Blog Ko Kaise Submit Kare.
Google Analytics Kaya Hai?
Ye Google ki ek service hai. jo ki hume free me milti hai. Ish ki help se hum apne blog ki traffic performance report bahut hi aasani se check kar shakte hai. Matlab humare site pe kitne visitors aaye aur kitne views huwe. Visitors humare site ki kun sa page view kar raha hai.Hume google search engine se kitna traffic mila. Asi bahut si important information hai jo hum yaha se prapt kar shakte hai.
Google Analytics Se Hum Kaya Kaya Information Prapt Kar Shakte Hai?
Google Analytics pe hum bahut sari important information prapt kar shakte hai. Per mai app ko yaha kuch important features ke bare me batane ja raha hu.
1. Humare site pe abhi kitne Live visitors hai. Matlab abhi humare site ko kitne log use kar rahe hai.
2. Jo visitors humare site pe hai wo humare site ki kaun sa post ya page padh rahe hai.
3. Visitors humari site ko kis chiz se chala rahe hai. Matlab computer, tablet ya phir mobile se.
4. Kaun si browser pe wo hamari site padh rahe hai.
5. Kaun sa page kitni bar padha gaya.
6. Visitor kis desh ka hai aur kaun si city se humare site ko view kar raha hai.
7. Humari site pe visitors kaha se aaye hai. Matlab un ko humari site ki jankari kaha se mili.
8. Vsitors humari site pe average kitni der tak time bitaya.
9. Purane aur new visitors ka % pata kar shakte hai.
10. Humare visitors ko kaun si bhasha aati hai.
11. Humare site ki bounce rate kaya hai ish ka bhi pata chal jata hai.
12. Humare site ki total kitne views huwe.
In sab ke aalawa bhi bahut sari important information hai. Jab aap apne blog ko Google Analytics ke saath add karoge to aap ko. Sari bato ka pata chal jayega. To chaliye ab hum jaan lete hai ki Apne Blog Ke Liye Google Analytics Me Account Kaise Banaye.
Blog Ke Liye Google Analytics Me Account Kaise Banaye?
Aasha karta hu ki abhi tak to aap ko ye pata chal hi gaya hoga. Ki ye ek google ki hi free service hai. To hume apne Gmail id ki jarurat hogi.
Step 1 : Sabse pahle aap ka jis gmail account me blog hai. Us id se apne Gmail ya Blogger account me Login ho jaye.
Step 2 : Login hone ke baad aap apne usi browser me ek new tab open kare. Ish new tab me aap ko Google Analytics ke site pe jana hoga. Site pe jane ke baad aap ko Sign In >> Analytics pe click karna hoga.
1. Sign In Ke upper click kare.
2. Ab aap Analytics ke upper click kare.
Step 3 : Analytics ke upper click karte hi. Ek new wnndow open hogi. Ish window me aap ko Sign Up ke upper click karna hai.
Step 4 : Sign Up ke upper click karte hi. Phir se ek new window open ho jayegi. Ish me aap ko apne website ki detail fill up karni hai.
1. Yaha aap jis blog ke liye account bana rahe hai. Us ka naam daliye.
2. Yaha aap apne blog ya website ka naam daliye.
3. Yaha aap apne blog ya website ka URL address daliye.
4. Aap ka blog ya website kis tropic pe hai select kariye.
5. Apna country select kariye.
Waise to yaha pe pahle se ki tick out hota hai. Agar nahi hai to tick out kar de.
1. Ab aap Get Tracking ID ki button ke upper click kar de.
Step 5 : Ek new window open hogi.
1. Yah ape aap apna country select kare. Aur google analytics ki terms of services ko padh le.
2. Ab aap I Accept ki button ke upper click kar de.
Step 6 : Ab aap ke samne phir se ek new window open hogi. Ish window me aap ka blog ka Tracking ID code milega. Yahi code ko apne blog me add karna hai.
Finally aap ka Google Analytics me account ban chukka hai. Ab aap Tracking ID ko copy kar le. Taki aap apne blog me is code ko add kar shake.
Google Analytics Tracking Code Ko Apne Blog Me Kaise Add Kare?
Sab se pahle aap apne blog me login ho kar Dashboard pe jaye.
1. Ab aap apne blog ki Setting ke upper click kare.
2. Others ke upper click kare.
3. Yaha pe aap apne blog ka Tracking ID code paste kare.
4. Code paste karne ke baad aap Save Setting ke upper click kar de.
Finally ab aap ka blog bhi Google Analytics ke saath add ho chukka hai. Ab aap chahe to apni blog ki puri detail information dekh shakte ho.
Detail Information dekhne ke liye aap ko www.google.com/anaytics ki site pe jana hoga. Waha aap Real- Time >> Overview ke upper click kar ke. Ye dekh shakte hai ki abhi aap ke site pe live kitne visitors hai.
Asha karta hu dosto aap ko ye post acchi lagi hogi to ise share karna na bhule. Share kar ke aap bhi hamari madad kar shakte hai. Finally Agar aap ka Google Analytics se related koe sawaal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Share Your Comments & Feedback: