Hellow dosto aaj hum log janege ki Blogspot Me Free Blog Banane Ke Baad Kya Jaruri Kaam Kare. Agar aap blogging me new hai. To aap ko jarur pata hona chahiye. Free blog banane ke baad kaya kaya karna jaruri hota hai. Apne blog ko improvement karne ke liye. Bahut sare new blogger ko ye problem hoti hai. Wo blog to bana lete hai. Par unko ye pata nahi hota hai. ki apne new blog ko acche se manage kaise kare. Jis ke karan se wo blogging me succes nahi ho pate hai. Waise to blogging me succes pane ke liye aap ko hard work ke saath saath seriously work bhi karna hoga. Maine aap ko pahle hi pata chuka hu Blog Free Me Kaise Banaye.
Free blog banane ke baad mai aap ko kuch yasa tips batane ja raha hu. jise karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki blog ki popularity tabhi badhegi. jab aap apne blog ko proper way se start karege. To chaliye ab der na karte huwe. Hum jaan lete hai ki new blog create kare ke baad hum kaya kare.
Free Blog Banane Ke Baad Kya Jaruri Kaam Kare?
1. Customise Your Blog Template
Kisi bhi blog ya website ka design. Ek bahut hi important part hota hai. Kyu ki agar aap ka blog acche se design hai. To visitors ko aap ki blog attract karegi aur wo dubara aap ki site pe aayege. Ish liye blog banana ke baad sabse pahla kaam yahi kare.
Blog ko acche se design karne ke liye. Ek acche theme ya template ka hona bahut hi jaruri hai. Yaha pe mai aap ko ek suggestion dena chahuga ki agar aap ke pass budget hai. To app premium theme hi use kijiye. Agar nahi hai to aap free theme bhi download kar ke use kar shakte ho.
App jab bhi koe theme select kare. To ye jarur dekh le ki wo theme SEO Aur Mobile Friendly hai ki nahi. Kyu ki kisi bhi website ke liye ye bahut hi jaruri hai. Apne blog ke liye template select karne se pahle niche diye gaye kuch bato ko jarur dhyan me rakhe.
- SEO Friendly
- Mobile friendly
- Fast loading Speed
- Simple Template
Agar aap apne blogger blog ki template download karne ke kiye kuch acchi website ke bare me janna chahte hai. To aap mera ye post Apne Blog Ke Liye Template Kaha Se Download Kare – Jane Top 10 Site List jarur padhe. Yaha aap ko seo ready, mobile ready, fast loading aur simple template jarur mil jayege.
2. Unique Blog Post Publish Kare
Blog banana ke baad aap ko apne blog ke naam se related. unique aur acche blog post publish karna bahut hi jaruri hota hai. Mai yaha aap ko ek baad kahna chahuga ki aap jab koe koe post likhe. To us post ke bare me acche se jankari jarur lele. Aap jab bhi koe post likhe to use kisi dusre ki site se copy na kare. App kudh se hi apna post likhe.
3. Add Menu Bar In Your Blog
Blog banana ke baad, apne blog post ke hisab se Menu bar select karna bahut hi jaruri hota hai. Taki aap ke visitors ko category wise post ko search kar ke padh ne me aasani ho. Aap ke blog me menu bar hone se visitors ko aasani se pata chal jata hai. Ki aap kis kis tropic pe apne blog me post publish kaya hai.
4. Add Search Box In Your Blog
Kisi bhi blog ke template me Search Box ka hona bahut hi jaruri hai. Taki visitors apne kaam ki chiz aap ke site pe search kar shake. Waise to blog ke her ek template me search box add rahta hai. Agar aap ke blog me search box nahi hai to aap alag se search box widget add kar shakte hai.
5. Add Usefull Widgets on Blog
Mai aap ko apne blog me bahut jayada widget add karne hi salah nahi duga. Kyu ki jayada widget hone se blog ki speed show ho jati hai. Magar kuch important widget hote hai.Jinhe apne blog me add karna bahut hi jaruri hota hai. Jaise recent post, popular post, recent comment, facebook like page etc.
- Blog Me Category Widget Kaise Add Kare
- Blog Me Popular Post Widget Kaise Add Kare
- Apne Blog Me Recent Comment Widget Kaise Add Kare
6. Extra Feature Ko Remove Kare
Blogger blog me kuch extra feature pahle se hi diya huwa rahta hai. Jiase powered by blogger, created by, template by, navigation bar etc. App unhe remove kar de. Kyu ki wastav me inka koe kaam nahi hota hai.
7. Apne Blog Ko Google, Bing / Yahoo Me Submit Kare
Agar aap ko apne blog ka traffic increase karna hai. To aap ko apne blog ko Google, Bing / Yahoo ke search engine me submit karna hoga. Jab aap ke blog ke customisation ka kaam pura ho jaye. To aap apne blog ko Google, Bing / Yahoo ke search engine me submit kar de. Mai aap ko pahle hi bata chuka hu ki Google Ke Search Engine Me Apne Blog Ko Kaise Submit Kare. Aur Bing Yahoo Webmaster Toll Me Blog Ko Kaise Submit Kare.
8. Google Search Console Me Apne Blog Ka SiteMap Bana Kar Add Kare
Google ke search engine me apne blog ko submit karne ke baad. Aap ko apne blog ka site map bana kar Google ke search console me add karna hoga. Taki aap ki sari post, page aur images google ke search engine me index ho jaye. Aur aap jab bhi koe naya post publish kare wo bhi index hota rahe.
9. Apne Blog Ke Liye Page Banakar Publish Kare
Kisi bhi blog me kuch important pages ka hona bahut hi jaruri hai. Jaise About Us, Contact Us, Disclaimer aur Privacy Policy. App bhi in sabhi pages ko bana kar apne blog me publish jarur kare. Ish se aap ke visitors aap ki site pe safe feel karege.
10. Google Analytics Me Account Bana Kar Apne Blog Se Jode
App bhi apne blog ke liye google analytics me account bana kar apne blog ke saath add kar dijiye. Taki aap ko ye pata chal shake ki aap ki blog ka performance increase ho raha hai ki nahi. Google Analytics se aap apne blog ke bare me bhut kuch jaan shakte hai. App yaha click kar ke jaan shakte hai ki Apne Blog Ke Liye Google Analytics Me Account Bana Kar Blog Ke Saath Kaise Jore.
11. Apne Blog Ke Liye Facebook Page Banaye
App apne blog ke naam se ek Facebook Page banaye. Kyu ki jab aap ka blog new hota hai. To us par jayda traffic nahi aata hai. Ish liye facebook page bana kar aap traffic pa shakte hai. Facebbok page banane ke baad aap apne dosto ko facebook page like karne ke liye invite kare. Taki aap jab bhi koe new post publish koro to unhe pata chalta rahe.
12. Apne Blog Ke Liye Feedburner Feed Banaye
Apne blog pe jada traffic pane ke liye aap ko Feedburner me account banana jaruri hai. Kyu ki jab aap apne blog pe Email subscription widget add karoge. Aur jab visitors aap ke blog ko subscribe kar dege. To aap jab bhi koe new post publish karoge to us ka notification aap ke visitors ke pass chala jayega. Aur aap ke old visitors phir se aap ke site pe aa jayege. Mai bata chuka hu ki Blog Ke Liye Feedburner Par Account Kaise Banaye.
13. Promote Your Blog
Kisi bhi blogger ke liye us ki blog ka traffic bahut hi important hota hai. Ish liye aap ko apne blog ko promote jarur karna chahiye. Aaj ke date me social media bahut hi powerful hai. Aap bhi apne blog ko social media pe share kar ke apne blog ka traffic badha shakte ho. Apne Blog Post Ko Kaha Promote Kare janne ke liye yaha click kare.
14. Adsense Ads
Jab aap ke blog pe traffic aa jaye aur 500 visitors per day ho jaye. Tab aap apne adsense account bana kar apne blog pe ads laga le aur paise kamaye.
15. Focus On Your Blog
Finally upper diye sare steps se jab aap free ho jaye to apna sara dhyan apni blogging pe lagaye. Kyu ki ek accha blogger banane ke liye aap ko accha kaam karna hoga.
Asha karta hu dosto aap ko ye post pasand aayi hogi. Pasand aayi hai to ise share karne na bhule. Agar aap ka ish post se related koe sawwal hai to aap hume puch shakte hai. Hume aap ki help kar ke bahut khushi hogi.
Pradeep Kumar says
nice post thank you
Mangal Gupta says
Thanks bro… Keep visit…