Hello friends aaj hum log janege ki Apne Gmail Account Me 2 Step Verification Kaise Enable Kare. Internet aaj ke date me hamare life ko bahut hi aasan bana diya hai. Per agar hum inernet pe savdani nahi rkhege. To hum problem me bhi aa shakte hai. Kyu ki hum sab jante hai ki internet pe kuch bhi safe nahi hai. Agar koe hamare account ko hack kar leta hai. To hume nuksan ke siwa kuch bhi hasil nahi hoga. Ish liye aaj hum log google ke 2 steps Verification ke bare me janege. Taki aap ka gmail account ka security aur jayada badh jaye.
Gmail account ka importance to aap ko pata hi hai. Kyu ki aaj kal her ek chiz me email id ki jarurat padhti hai. Chahe aap ko koe blog banana ho ya phir social media jaise facebook, twiter pe koe account banana ho. Ya phir aap ko apne bank me dena ho ya adhar card me. Ab jara soch kar dekiye ki agar koe aap ka gmail id hack kar le. To aap ko kitna problem face karna padhega. Ish liye aaj hum log janege ki ‘Apne Gmail Account Me 2 Step Verification Kaise Enable Kare’.
Apne Gmail Account Me 2 Step Verification Kaise Enable Kare
Jab aap apne gmail account me 2 Step Verification ko enable kar dege. Aur phir jab jab aap apne gmail account me login karege. To aap ke mobile pe ek OTP code aayega. Aur her bar is OTP code ko dalne ke baad hi. App apne gmail account me login kar payege. Ab aap samajh hi gaye hoge ki ye kinta important hai. Apne gmail account ka security double karne ke liye. To chaliye ab hum log step by step jaan lete hai. Apne gmail account ki security ko kaise double kare.
Step 1 : Sabse pahle app ko Google ke 2 Step Verification Page pe jana hoga. Aur apne gmail account se login karna hoga.
Step 2 : Ab aap GET STARTED ki button pe click kare. Taki aap ka 2 Step Verification enable ho shake.
Step 3 : Yaha aap dubara apna password enter kare.
Step 4 : Ab aap ke samne ek new page open ho jayega.
1. Yaha aap ko apna Mobile Number dalna hai. Jis pe aap google ka 2 Step Verification enable karna chahte hai.
2. App apne gmail account ka 2 Step Verification kaise karna chahte hai. Matlab Text message ya Phone call se. Wo select kare.
3. Ab aap TRY IT ke button pe click kar de.
Step 5 : Phir se aap ke samne ek new page open ho jayega.
1. App ke mobile pe jo OTP Code aaya hai. Use yaha dalna hai.
2. OTP code dalne ke baad Next ki button pe click kar de.
Step 6 : Ab aap ke samne jo new page open hoga. Us me app Turn ON ki button pe click kar de.
Finally ab aap ka 2 Step Verification active ho chukka hai. App chahe to ki dusre browser me apne gmail account me login kar ke check bhi kar shakte hai. Agar aap ko lagta hai ki ish ki jarurat nahi hai. To aap ise Off bhi kar shakte hai.
Ab aap soch rahe hoge ki thik hai. Chalo mere gmail account ki security to double ho gayi. Magar jab mere pass mera mobile nahi rahega ya phir phir mera sim lost jayega. Tab hum apna gmail account ko kaise open karege. Ish liye bhi aap ko ghabrane ki jarurat nahi hai. Google ne ish ke liye bhi option diya hai. Jis ka naam hai Set up alternative second step.
Upper image me diye gaye sare steps se aap apna 2 steps verification kar shakte hai. Jaise maan lijiye first option hai Backup Code. Backup code ke setup pe jab aap click karege. To aap ko yaha 10 code milege. Aur jab aap ke pass app ka mobile nahi hoge ke karan OTP nahi mil shakta. Tab aap ish code ko use kar shakte hai. Ish code ko aap acche se kahi save kar ke rakh de. Taki jarurat padhne pe is ka use kar shake. Ish si tarah aap ko bhi option ko setup kar shakte hai. Jo aap ko pasand aaye.
Finally aap jab bhi apne gmail account me login karege. To aap ke mobile pe ek OTP code aayega. Jise dalne ke baad hi aap apne gmail account me login kar payege.
Asha karta hu dosto ki aap ko mera ye post pasand aaya hoga. Agar pasand aaya hai to ish se share jarur kare aur apne dosto se bhi kahe. Taki dusre logo ke pass bhi ye post pahuche aur unhe bhi ishka fayada mil shake. Agar app ka koe saawaal hai to aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Post Pasand Aayi Hai To – Plaese Share This Post On Social Media:
Monika shinde says
Mera purana email I’d open nahi hi raha verification code dalne per bhi open nahi hi raha hai pls help me