Hello dosto aaj hum log janege ki Apne PC Par Kisi Bhi Folder Ko Kaise Chupate Hai. But sawaal ye uthata hai ki hum apne PC par Folder ko kyu chhupaye. Apna PC par Folder ko chhupane ka karan hai. Privacy kyu ki aksar hum sab logo ke gharo me jo computer hota hai. Use humare family ke maximum log use karte hai. Aur ho sakta hai ki aap ki koe yesi personal ya private information hai. Jo aap use gupt rakhana chahte hai. To aap un folders ho hide ya chupa sakte hai. To chaliye aaj hum jaan lete hai ki ‘Apne PC par kisi bhi Folder ko kaise chupate hai’.
PC Par Kisi Bhi Folder Ko Kaise Chupate Hai?
Step 1: Aap jis folder ko chupana chahte hai. Aap us folder ke upper right click kar ke uske properties me jaye.
Step 2: Properties ke upper click karne ke baad. Us folder ka properties window open ho jayega.
1. Ab aap General tab ke upper click kare.
2. Ab aap attributes ke under Hidden ke pass wale box me tickout kar de.
3. Ab aap OK ke upper click kare.
Hidden ke upper click karne ke baad ok karte hi. Aap ka ye folder hidden matlab gayab ho jayega. Ab aap ye soch rahe hoge ki mera itna important folder kaha gayab ho gaya. Magar aap ko ghabrane ki koe jarurat nahi hai. Kyu ki aap ka ye important folder kahi gayab nahi huwa hai balki chup gaya hai. Aap apne important folder ko phir se dobara aasani se wapas pa shakte hai.
To phir chaliye ab hum jaan lete hai ki chupe huwe folder ko aasani se kaise wapas laye.
Step 3: Sabse pahle aap apne computer ke Control Panel me jaye. Control Panel ke under Appearance and Personalization ke upper click kare. Phir aap Folder Option ke upper click kare. Folder Option ke upper click karte hi Folder Option ka window open ho jayega. Ab aap Folder Option ke under View tab ke upper click kare. View tab ke ander hume hidden files and folder ki setting change karni hai. Matlab hidden files hume dekhni hai ya nahi.
1. Don’t show hidden files, folders, or drives – Is option ko select karne par hum koe bhi hidden kiya huwa files, folders, or drives ko kabhi nahi dekh payege.
2. Show hidden files, folders, and drives – Is option ko select karne par hum koe bhi hidden kiya huwa files, folders, and drives ko dekh shakte hai. Aap ko apne us important folder ya file ko dekhne ke liye is option ko select karna hai.
3. Ab aap Ok ki button ke upper click kar de.
Agar aap nahi chahte hai ki aap ka important file hidden ho. To aap phir se us important file ke upper right click kar ke properties me ja kar hidden ke upper se tick out hata de.
Asha karta hu dosto ki aap ko ye post pasand aayi hogi. Agar aap ka internet ya blogger se sambhandit koe sawaal hai to aap hume comment kar ke puch sakte hai. Hume aap ki help kar ke bahut khushi hogi.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Share Your Comments & Feedback: