Hellow friends aaj hum log janege ki Blog Me Stylist Email Subscribe Widget Kaise Add Kare. Her ek blogger chahta hai ki us ki site pe jyada se jyada traffic aaye. Chahe wo purane blogger ho ya phir naye. Sabhi blogger ke liye visitors kitne important hai ye kisi ko bhi batane ki jarurat nahi hai. Visitors increase karne ke liye Hum Apni Post Ko Kaha Kaha Promote Karte Hai. Hamara target hota hai ki hum apne post ko jayda se jayda log tak pahucha shakte.
Feedburner ke dwara blog me Email Subscribe Widget add kar ke. Apne visitors ko hum apni site ko subscribe karne ke liye bol shakte hai. Jab koe bhi visitors aap ke site ko subscribe kar lega. Aur aap jab bhi koe new post apni site pe publish karege. To us post ka notification use mil jayega.
Ab aap ko samajh me aa gaya hoga ki jab aap ke purane visitors aap ki site pe aayege. To aap ke website ka trafic bhi increase ho jayega. Time pass na karte huwe chaliye ab hum jaan lete hai ki. apne blog me Stylist email subscribe widget kaise add kare.
Feedburner ya Email Subscription Service Kya Hai?
Feedburner : Feedburner Google ki ek popular email delivery service hai. Ise Google ne free me website blog ke liye automated email delivery service provied karne ke liye start kiya tha. Feedburner ki madad se aap apne new post ki notification apne subscriber tak aasani se pahucha shakte hai. Jis se aap ki site ki traffic aur bhi better ho shake. Feedburner bhut hi popular aur no. one email delivery service hai.
Email Subscription Service : Email Subscription Service ke naam se hi pata chalta hai ki. Kisi bhi chiz ko subscribe karne ke baad us chiz ka email ke dwara notification milna. Ish liye Jab bhi koe visitors ap ke blog ko subscribe karta hai. To us visitors ko aap ke new post ka notification us ke email id pe pahuch jata hai. Email delivery service me feedburner free, popular aur no.1 service provider hai.
Blog Me Stylist Email Subscribe Widget Kaise Add Kare?
Blogger me Email Subscribe Widget add karne ka Do tarika hai. 1st Google ne blogger me pahle se hi Follow by Email ki service di hue hai. App ko bus use configure karna hota hai. 2nd aap apne man pasand ki widget kuch CSS aur HTML code add kar ke apne blog pe laga shakte ho. Aaj hum log dono tariko ke bare me step by step janege.
1. Follow by Email
Ye service pahle se hi google ne blogger me di hue hai. Bus hum logo ko kuch step follow kar ke use configure karna hoga. To chaliye step by step jaan lete hai ki apne blog me follow by email ki service kaise add kare.
Step 1 : Sabse pahle aap ko apne blogger me login ho kar dashboard pe jana hai.
Step 2 : Ab aapko Layout >> Add a Gadget ke upper click karna hai. Dashboard pe jane ke baad aap ko Layout pe click karna hai. Layout pe click karne ke baad aap ko jaha bhi sidebar me subscription widget lagana hai. Waha Add a Gadget pe click kare.
Step 3 : Add a Gadget pe click karne ke baad jo new window open hogi. Us window me app ko Follw by Email ke upper click karna hai.
Step 4 : Ab aap ke samne ek new page open ho jayega. Ish me aap ko kuch setting karna hai.
1. Yaa aap koe Title choose kar le.
2. Yaha aap apne feedburner link ka URL dale.
3. Save ki button pe click kar de.
Save ki button ke upper click karne ke baad. Save arrangement pe click karna na bhule. Finally ab aap ke blog me Email Subscription widget add ho chukka hai. App chahe to apne blog pe ja kar check kar shakte hai.
Agar aap ko blogger ka ye news letter sign up form pasand nahi aaya. To mai to niche batane ja raha hu ki aap apne blog me stylist news letter sign up form kaise lagaye.
2. Add Stylist Blogger News Letter Sign Up Form
Apne blog me stylist news letter sign up form lagane ke liye. aap ko apne blog me kuch css aur html ka coding karna hota hai. Chaliye hum log step by step jaan lete hai.
Step 1 : Sabse pahle aap apne blogger ke Dashboard >> Template >> Edit HTML ke upper click kare.
Step 2 : Edit HTML ke upper click karte hi aap ke samne aap ka template ka code open ho jayega. Yaha aap ko ]]></b:skin> ke upper kuch code paste karne hai. Magar ye code aap jab apne keyboard se Ctrl+F press kar ke search karege to wo aapko fold najar aayega. Sab se pahle aap ko us fold code ke upper click kar ke use unfold karna hoga. Taki aap niche diye gaye code ko paste kar shake.
1. <b:skin>…</b:skin> Code ko unfold karne ke liye. Sabse pahle aap ko black arrow ke upper click karna hoga. Black arrow ke upper click karte hi <b:skin>…</b:skin> Code unfold ho jayega.
2. Ab app niche diye huwe css code ko ]]></b:skin> ke upper paste kar de.
#Helpsinhindi { padding: 15px 27px 20px; line-height: 25px; text-align: center; background: #148aea; width: 300px margin: -25px; border: 2px solid #999999; } input.jdk { color: #333; padding: 9px; font-size: 14px; font-family: PT Sans Caption', 'PT Sans', sans-serif; border: 1px solid #EEE; margin: 10px auto 0; border-radius: 3px; width: 89%; } #Helpsinhindi p { color: #ffffff; font-size: 16px; } #Helpsinhindi h5 { font-size: 20px; color: #000000; padding: 0; text-align: center; } #Helpsinhindi input[type="submit"] { background-color: #ea141f; border: #EEE solid 1px; color: #fff; cursor: pointer; padding: 10px 15px; font-size: 16px; width: 100%; margin: 15px auto 0; } #Helpsinhindi input[type="submit"]:hover { background: #ea141f; color: #fff; border: #EEE solid 1px; }
Niche diye gaye image me aap dekh shakte hai. Ki maine kis tarah ]]></b:skin> ke upper code paste kiya hai.
1. Code paste karne ke bad aap Save theme ke upper click kar de.
Step 3 : Ab aap apne blogger ke Dashboard >> Layout >> Add a Gadget ke upper click kare. App ko jaha bhi email subscription widget lagana hai. Wahi pe aap Add a Gadget ke upper click kare.
Step 4 : Add a Gadget ke upper click karte hi aapke samne ek new window open hogi. Ish window me aap ko HTML/JavaScript ke upper click karna hai.
Step 5 : HTML/JavaScript ke upper click karte hi phir se ek new window open ho jayegi. Ish window me aap ko niche diye gaye html ke kuch code paste karne hai.
1. Title wale field me aap apne widget ka naam dal de ya phir blank chor de.
2. Content wale field me aap niche diye code ko copy kar ke paste kar de.
3. Save ki button ke upper click kar de.
4. Finally ab aap Save arrangement ki button ke upper click kar de.
<div id="Helpsinhindi"> <h5>Helps In Hindi Free SignUp</h5> <p>Helps In Hindi par Free Sign up kare aur Apne email inbox me Daily Latest Blogging Guide Daily Prapt kare</p> <form action="http://feedburner.google.com/fb/a/mailverify" method="post" onsubmit="window.open ('http://feedburner.google.com/fb/a/mailverify?uri=Helpsinhindi', 'popupwindow', 'scrollbars=yes, width=550,height=520');return true" target="popupwindow"> <input class="jdk" type="text" name="name" placeholder="Enter your name" /> <input class="jdk" type="text" name="email" placeholder="Enter your email ID" /> <input type="hidden" value="Helpsinhindi" name="uri" /> <input type="hidden" name="loc" value="en_US" /> <input class="submit" type="submit" value="SUBSCRIBE NOW" /> </form> </div>
Note :
1. Helps In Hindi Free Sign up ya apne email pe bloging guide daily paye ko apne hisab se customize kar ke likh le.
2. Important baat ‘http://feedburner.google.com/fb/a/mailverify?uri=Helpsinhindi‘ me Helpsinhindi ki jagah apna feedburner ID dale. Ish ke baad aap widget ko save jarur kar de.
Congratulation ! ab aapke blog me stylist Newsletter Sign Up widget add ho chuka hai. App chahe to apne blog o open kar ke check kar le.
Asha karta hu dosto aap ko ye post Apne Blog MeStylist Email Subscribe Widget Kaise Add Kare jarur pasand aayi hogi. Post pasand aayi ho to is post ko aap share jarur kare. Agar is post se related koe problem aati hai. Ya phir ish post se related koe suggestion dena chahte hai to aap hume comment kar ke jarur bataye.
laxman praeasd says
sir,
meri site ko ek bar chek karke dekh lo issme keya problam hai .yeh adseance ke liye redy hai ya nhi .
my blog http://www.knowledgehindi.com.
Mangal Gupta says
Agar aap ke blog par 200 – 250 visitors aa rahe hai. To aap adsense me apply kar shakte hai. Baki sab to thik laga.
AFTAB HUSSAIN says
Images par no. Kaise likhte hai.
Mangal Gupta says
Mai photoshop ka use karta hu.
Tripurari Kumar says
I Like Your Post.
Thanks for sharing…
Mangal Gupta says
Thanks bro… Keep visit…