Hello dosto agar aap janana chahte hai ki Blogger Favicon Kya Hota Hai Aur Blog Me Kaise Add Kare. To ye post padhte rahiye. Favicon ek icon hota hai. Jo ki browser me app ke blog ya website ki pahachaan ke liye use hota hai. Is post me aaj hum log step by step janege ki favicon kaya hai aur favicon ko apne blog me kaise add kare.
Favicon use karne se ek to fayada ye hota hai ki. Aap ke blog ya website ki free me branding ho jati hai. Aur agar koe aap ke blog ya website ke kisi bhi page ko bookmark karta hai. To bookmark me aap ka icon bana huwa aata hai. Jise identify karne me aasani ho jati hai ki ye kaun si blog ya website hai.
Favicon Kya Hota Hai Aur Hume Favicon Kyu Use karna Chahiye?
Favicon ek chotta sa icon hota hai. Jo ki browser me app ke blog ya website ki pahachaan ke liye prayog kiya jata hai. Aap humesa dekhete hoge ki. Jab bhi kisi browser me koe website ya blog open karte hai. To browser ke address bar ke upper jo tab hota hai. Us ke left side me ek chota sa icon show hota hai, use hum Favicon khate hai.
Agar aap apne blog ya website ki ek alag pahchan banana chahte hai. To ish ke liye bhi favicon use karna bahut ki jaruri hai. Search engine me ranking better karne ke liye bhi favicon use karna jaruri hai. Ish liye mai app ko suggest karuga ki aap apne blog ya website me favicon jarur add kare.
Apne Blog Ke Liye Favicon Icon Kaise Banaye?
Agar aap chahe to kudh se bhi favicon icon bana shakte hai. Photoshop ya kisi dusare software ki madad se. Bus aap ko yah dhyan rakhana hai ki. Favicon Icon ka image size 16*16 pixel ka ho. Aur file ka size 100kb ke andar hona chahiye. Agar app software ki madad se favicon icon nahi banana chahte hai. To app website ki madad se bhi favicon icon bana shakte hai. Website se Favicon icon banana ke liye aap favicon.cc site pe ja kar. Aap apne blog ya website ke liye ek good looking Favicon Icon bana shakte hai.
Blog Me Favicon Kaise Add Kare?
Step 1: Sabse pahle aap ko apne blogger.com me login ho kar. Apne blog ke dashboard pe jana hoga. Ish ke baad Layout >> Favicon>> Edit pe click kare.
Step 2: Edit ke button pe click karte hi ek new popup window khul jayega.
1. Choose File ke upper click kar ke aap apna favicon icon ko select kar le. But yaad rahe us image ka size 100KB se jada nahi ho.
2. Apna favicon icon select karne ke baad. Aap Save ki button ke upper click kar de.
3. Save ki button ke upper click karne ke baad. Aap Save Arrangement ke button ke upper click kare.
To is tarah bahut hi aasani se aap apne blog ka favicon icon change kar shate ho. Agar aap ko is post se related ya phir blogger ya internet se related koe bhi sawal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Agar aap ko mera ye post acha laga. To aap apne friengs ke saath ish post ko share kar shakte hai. Aur aap chahe to hume bhi social media per follow kar shakte hai.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Mukesh Rajput says
Mangal ji acchi post likhi hai aapne