Hellow dosto aaj hum log janege ki Blogger Me Label Ka Use Kaise Kare Post Categories Ke Liye. Kisi bhi blog ke liye category use karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki category ki madad se hi visitors ko. Apne man pasand ki post khojne me bahut aasani hoti hai. Blog me label use karna bahut hi aasan hai. Label ki madad se hi hum log blog me category use kar shakte hai. Blog me label ka kaam blog ki post ko arrange karna hota hai.
App ko blog ke her ek post me label use karna hoga. Kyu ki label ki madad se hi aap kisi bhi post ko category wise divide kar shakte hai.Maan lijiye aap ke blog me 50 post hai. To kisi bhi visitor ko kaise pata chalega ki kis kis topic pe kitne post hai. Is liye aap ko label use karna bahut hi jaruri hai. Taki aap apne her ek post ko caterory wise divied kar shake. To phir chaliye ab hum log jaan lete hai ki. ‘Blogger Me Label Ka Use Kaise Kare Post Categories Ke Liye’.
Blog Ke Har Ek Post Me Label Kaise Use Kare?
App jab bhi koe new post likhte hai. To right hand side me post setting ke niche Label ka ek option show hota hai. App ko us Label ke upper click karna hai.
1. Is box me app jis topic pe post likh rahe hai. Us post se related Label likhe aur ek label likhne ke baad. Durse label ke bich me koma dena na bhule. Jaise blog, blogger, youtube, facebook etc.
2. Jab aap ek baar koe bhi label likh dete hai. To wo yaha show hone lagta hai. Aap ko bus yaha se us label ko select kar lena hai.
3. Ab aap Done ki button ke upper click kar de.
Blog Me Label Widget Kaise Add kare?
Blog me label widget use karna bahut hi aasan hai. App ko bus kuch simple steps follw karne hoge. Sab se pahle aap apne Dashboard par jaye.
1. Dashboard pe jane ke baad app Layout pe click kare.
2. Ab aap ko apne blog ke right side bar me Add a Widget ke upper click karna hai.
3. Add a Widget ke upper click karte hi. Aap ke samne ek new popup window open hogi. App ko is window me Labels ke upper click karna hai.
4. Labels ke upper click karte hi. Phir se aap ke samne ek dusra window open hoga.
1. Title me aap Label ya Tag likhe.
2. App ke blog me Label kaisa dikhega. Matlab List ya Cloud ke roop me. Aap yaha se select kar shakte hai.
3. Last me aap Save ki button ke upper click kar de. Save karne ke baad Save Arrangement ki button pe click karna na bhule.
Blog Me Label ko Category Ki Tarah Kaise Use Karte Hai?
Apne blog me Label ko category ki tarah use karna bhi bahut hi aasan hai. Bus aap ko apne blog ke menu me category add kar ke. Label ka link daal dena hoga. Jab bhi koe visitors aap ke blog pe aata hai. To wo aap ke blog ya website ke menu bar ko jarur dekhata hai. Ish liye sabse pahle aap ko ye decide kar lena hai ki. Aap ko menu bar me kis topic pe category add karna hai.
Apne Blog Ke Menu Me Label Use Kaise Kare?
1. Blog ke Dashboard>> Template>> Edit HTML ke upper click kare.
2. Edit HTML ke upper click karte hi. Aap ke blog ka HTML code open ho jayega. Yaha par aap Ctrl+F daba kar apne blog ke menu bar me mojud kisi bhi topic ko search kare.
3. Search karne ke baad. Aap jis bhi topic pe apna menu banana chahte hai us topic ka naam likhe.
4. App ne jo topic likha hai. Us topic ke naam se pahle href = # likha hoga. App ko # ki jagah aap ne jo topic choose kiya hai. Us topic se related Label ka URL likhna hai.
5. Isi tarah se aap apne blog ke menu bar ko alag alag topic pe set kar shakte hai. Apne man pasand ka topic set karne ke baad template ko save jarur kar de.
Apne Blog Ke Label Ka URL Kaise Jane?
1. App ko apne blog ke jis Label ka URL janna hai. App us Label ke upper click kare.
2. Click karne ke baad jo naya window open hoga. Us ke browser ke link bar me ek URL show karega. App us Label ke URL link ko copy kar lijiye. URL link dehkhne se kuch is tarah ka lagega.
http://appke-blog-ka-name.blogspot.com/search/label/label-name
Asha karta hu ki aap ko ye post “Blogger Me Label Ka Use Kaise Kare Post Categories Ke Liye” samajh me aaya hoga. Agar aap ko ye post samajhne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Post pasand aayi hai to social media pe share jarur kare.
App chahe to blogger ya internet se related bhi koe problem hai. To aap hume comment kar shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Raj Verma says
Mujhe sikhana hai ki categories wise post kaise likhate hai jaise
Science projects (64)
Science experiments (85)
Chemistry projects (52)
suraj kumar says
Grate and valuable content you always post thanks for sharing and keep posting