Aaj hum log janege ki Feedburner par apne blog ya website ke liye account kaise banaye? How to Create Feedburner Account in hindi? Saath hi janege ki feedburner ko apne blog me kaise add kare.
Kisi bhi website ya blog ke liye feedburner bahut hi jaruri hota hai. Mai aap ko yahi suggest karuga ki jab bhi aap apne wordpress ya BlogSpot blog me Feedburner ka setup jarur kare. Kyu ki ye free me bahut hi popular email delivery network service hai.
Feedburner ki hi tarah service aur bhi bahut sari company provide karti hai par wo jayda tar paid hoti hai. Magar feedburner google ki ek free service hai.
Koe bhi website ya blog owner ko acche se pata hai ki kisi bhi website ya blog ke liye visitors kitne jaruri hote hai. Feedburner ek bahut hi accha tarika hai apne purane visitor ko apne new post ki notification send kar ke apni site pe wapas bulane ka aur blog ka traffic increase karne ka.
Agar aap ne abhi tak apne blog pe feedburner ki service start nahi kiya hai. To aap niche diye gaye kuch steps ko follow kar ke apne blog pe yah service start kar dijiye aur apne blog ka traffic badhaye. To chaliye jaan lete hai ki How to Create Feedburner Account in hindi?
Feedburner par account kaise banaye? Create Feedburner Account In Hindi
Apne blog ka traffic badhane ke liye feedburner ek bahut hi accha service hai. Mai bhi apni site pe google ki is free service ka hi use karta hu. To ab chaliye der na karte huwe hum apne blog ke liye feedburner pe account bana le.
Step 1 : Feedburner pe account banane ke liye sabse pahle aap ko Feedburner ki website pe jaa kar apne Gmail ID se login karna hoga.
1. Yaha app apne blog ka URL dale.
2. Ab aap I am Podcaster ke samne wale box me tick out kare.
3. Next ki button ke upper click kare.
Step 2 : Next ki button ke upper click karne ke baad aap ke samne ek new window open ho jayega.
1. Yaha pe tick out kare.
2. Tickout karne ke baad Next ki button pe click kare.
Step 3 : Ab aap ke samne jo window aaya hai us window me aap ko apne blog ka Feed Title aur Feed URL Address dalna hai.
1. Yaha pe aap ko apne blog website ka naam add karna hai.
2. Aap ko yaha apne blog website ke liye Feedburner URL Address add karna hai.
3. Feed Title aur Feed Address dalne ke baad aap Next ki button pe click kar de.
Step 4 : Ab aap ke samne jo new window open hai us window me aap ko bata raha hai ki aap ka Feed Address ban kar ready hai.
Next ki button ke upper click kar de.
Step 5 : Ish window me aap ko podcast ki information dalna hai. B7jy32ut aap ko yaha kuch bhi karne ki jarurat nahi hai.
Next ki button ke upper phir se click kar de.
Step 6 : Ish window me aap ko feedburner tracking stats matlab apne feed ke liye app kaisa stats information dekhna chahte hai select karna hai.
1. Clickthroughs ke samne wale box me tickout kare.
2. Ab aap I want more ke samne wale box me click kare.
3. Next ki button ke upper click kar de.
Congratulation ab aap ka feedburner account account ban kar ready ho chuka hai. Ab aap ko feedburner ka URL apne blog me add karna hai.
Feedburner Feed URL Ko Blog Me Kaise Add Kare
Feedburner Feed URL apne blog me add karna bahut hi aasan hai. Agar aap feedburner url ko apne blog me add nahi karege to aap ke visitors ko aap ke new post ki notification nahi milegi.
Feedburner url apne blog me add karne ke liye aap ko apne blogger ke Dashboard >> Setting >> Others pe click karna hoga.
1. Setting ke upper click kare.
2. Setting ke upper click karne ke baad aap Others ke upper click kare.
3. Yah ape aap apna Feedburner Feed URL add kare.
4. Ab app Save Setting ke upper click kar de.
Finally aap ke blog me feedburner url add ho chukka hai. Ab aap jab bhi apne blog pe koe bhi new post publish karege to uska notification aap ke subscriber ko mil jayega.
Feedburner Kya Hai?
Feedburner google ki ek popular email delivery service hai. Google ne ise free me website blog ke liye automated email delivery service dene ke liye banaya hai. Feedburner se aap apne new post ki notification feed subscriber tak aasani se pahuncha sakte ho.
Ye ek message ki tarah kaam karta hai, jab bhi aap apne blog me koe new post publish karte hai to wo post shidha aap ke subscriber ke email pe pahuch jata hai.
Feedburner ID Banana Kyo Jaruri Hai ?
Apne blog website ke liye Feedburner pe account banana bahut hi jaruri hai kyu ki ish ki madad se hi aap apne blog pe email Subscription service enable kar shakte hai. Mostely sabhi blogger apne website blog pe feedburner ka use karte hai.
Feedburner ko use karne ke liye aapko feedburner pe account bana kar apne website blog pe ek subscribe widget lagana hota hai taki visitors aap ki site ko subscribe kar shake.
Agar koe visitors aap ki site ko subscribe kar lege aur jab aap koe new post apne blog pe publish karege to us post ki notification agle 24 ghanto ke ander us subscriber ke email id pe pahuh jayega.
Asha karta hu dosto aap ko ye post ‘Create Feedburner Account in hindi’ jarur pasand aaya hoga. Agar pasand aaya hai to share karna mat bhuliyega. Agar aap ka is post se related koe sawaal hai to aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Share Your Comments & Feedback: