Hello dosto aaj hum log janege ki Facebook Par Apne Aap Chalne Wale Viedo Ko Kaise Off Kare. Kaya aap ke bhi Facebook pe viedo automatically play hone lagta hai. Aur aap nahi chahte hai ki aap ke facebook pe viedo automatically play ho. To aap ye post jarur padhe kyon ki aaj hum log janege ki. Jab hum apna Facebook account open karte hai. To hum dekhte hai ki Facebook pe viedo automatically play hone lagta hai.
Agar aap mobile data use karte hai. To Facebook ka ye suvidha aap ke liye thora mahaga par sakta hai. Kyon ki jab aap ke facebook pe viedo automatically play hoga. To aap ka mobile data bhi adhik kharch hoga. Aur ho sakta hai ki kuch yese bhi viedo play hone lage. Jise hum dekhna pasand nahi karte hai. To chaliye hum log jaan lete hai ki. Facebook pe automatically play hone wale viedo ko PC aur Mobile pe hum kaise Off kare.
Facebook Par Apne Aap Chalne Wale Viedo Ko Kaise Off Kare?
Step 1: Sabse pahle aap ko apne Facebook account me login hona hai.
Step 2:
1. Apne Facebook account me log in hone ke baad. Aap upper ke image me dekh rahe arrow button ke upper click kare.
2. Ab aap Settings ke upper click kare.
Step 3:
1. Settings ka page open hone ke baad aap videos ke upper click kare. Video Settings me aap do option dekh paa rahe hai. Pahela Video Default Quality matlab aap ke Facebook account me. Jo video play hoga wo kyon sa formate me play hoga. Aap yaha se select kar sakte hai. Aur dusra hai Auto-play Videos matlab aap ke Facebook account me video automatically play hoga ya nahi. Aap yaha yes or no select kar shakte hai.
2. Off button ke upper click kare taki. Aap ke Facebook account me viedo automatically play hona band ho jaye.
Mobile Me Facebook Par Apne Aap Chalne Wale Viedo Ko Kaise Off Kare ?
Step 1: Aap apne mobile me Facbook open kar ke login ho jaye.
Step 2: Yaha aap facebook ke menu me ja kar setting select kare.
Step 3: Ab aap Videos Play Automatically ko select kare. Yaha aap teen option dekh pa rahe hai.
1. On – Facebook me automatically video play hoga chahe. Aap mobile data use kar rahe ho ya phir aap wi-fi se connect ho.
2. Wi-Fi only – Jab aap wi-fi se connected hai. Tab hi aap ke Facebook account me videos automatically play hoga. Magar mobile data use kar rahe hai. To aap ke Facebook me videos automatically play nahi hoga.
3. Off – Facebook me automatically video play nahi hoga. Is liye aap ko yaha off pe click karna hai. Off karne ke baad aap chahe mobile data use kare ya phir wi-fi. Dono case me video automatically play nahi hoga.
Asha karta hu ki ye post aap logo ko pasand aaya hoga. Agar aap ka is post re related ya phir internet ya blogger se related koe bhi sawaal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
shashi says
Bahut Achha