Hellow friends aaj hun log janege ki FeedBurner Me Email Subscription Kaise Enable Kare. Hum feedburner pe account bana kar. Feedburner feed url ko apne blog me add bhi kar dete hai. Magar add karne ke baad jab hum apne blog ko subscribe karte hai to ek error message aata hai. “The publisher has deactivated subscriptions by email”.
Ish ka matlab ye hai ki aap ne apne feedburner account me email subscription ko activate karna bhul gaye hai. Ise activate karna bahut hi jaruri hota hai. Kyu ki agar ye activate nahi hoga to aap ke visitors aap ki website ko subscribe nahi kar payege. Aur aap ki website ke traffic pe ish ka aasar padega. Mai aap ko aphle hi bata chukka hu ki Blog Ya Website Ke Liye Feedburner Par Account Kaise Banaye.
Apne blog me email subscription ko activate karne se bahut sare fayde hai. Aur sabse jayda fayda ye hota hai ki humare blog ya website ki traffic increase ho jati hai. To chaliye ab der na karte huwa hum jaan lete hai ki FeedBurner me Email Subscription kaise enable kare.
FeedBurner Me Email Subscription Kaise Enable Kare
FeedBurner me Email Subscription ko activate karna bahut hi aasan hai. App bus mere bataye kuch simple steps ko follow kijiye.
Step 1 : App sabse pahle apne feedburner account me login ho jaye. Ish ke baad apne blog ke liye jo feed banae hai us ke upper click kar de.
Step 2: Apne feed ko select kate hi aap ke samne ek aasa dashboard aa jayega.
1. Yaha aap Publicize ke upper click kare.
2. Ab Email Subscription ke upper click kare.
3. Finally aap Activate ki button ke upper click kar de. Taki aap ko me Email Subscription Activate ho jaye.
Ab aap ke blog me me Email Subscription activate ho chukka hai. Apni santusti ke liye ek bar subscribe kar ke dekh le. Agar me Email Subscription ko activate karne ke baad bhi. App ke blog ko subscribe kare me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Asha karta hu dosto aap ko ye post acchi lagi hogi. Acchi lagi to aap jarur share kare aur apne friends ko bhi share karne ke liye kahe. Ish se meri bhi thori help ho jayegi.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
Share Your Comments & Feedback: