Hello dosto aaj hum log janege ki Godaddy Managed Hosting Par WordPress Kaise Install Kare. Godaddy managed WordPress Hosting par sirf kuch minutes me hi. App apna blog bahut hi aasani se start kar shakte hai. Kyu ki Godaddy aap ko one click wordpress installation provide karti hai. Ish company ke plans bhi other companies ki tulna me saste hote hai. Agar aap kam paise karch kar ke. Ek accha wordpress blog banana chahte hai. To aap ke liye Godaddy ke plans sab se best hai. Ish liye mai aap ko Godaddy managed WordPress hosting Account par. WordPress install karne ki puri process step by step batauga.
Godaddy se aap do tarah ki hosting buy kar shakte hai. Pahla Web Hosting aur dusra Managed WordPress hosting. Web hosting me aap ko cpanel milta hai. Jab ki Managed WordPress hosting me aap apne wordpress blog ke manage kar shakte hai. Managed WordPress hosting one-click WordPress installation offer karta hai. But ish me aap ko cpanel nahi milega. Ish ki sari setting gogaddy wale kudh karte hai. Ish liye ish hosting me site down hone ka khatra bhi nahi hota hai. Hum log ish post me Godaddy Managed Hosting par WordPress Blog Install karna janege.
Godaddy Managed WordPress Hosting Par WordPress Kaise Install Kare?
Godaddy Managed WordPress hosting par wordpress blog ko install karna bahut hi aasan hai. Bus aap ko kewal kuch basic setting configure karne ki jarurat hoti hai. Jaise aap ka username, password etc. Ish ke aalawa baki sab kuch auto-install ho jayega. Yah wordpress ke liye automatically aap ka database bhi ready kar deta hai. Aur aap ka blog sirf 2-4 min ke ander ready ho jata hai.
Step 1 : Sab se pahle aap Godaddy Hosting account me login kare.
Step 2 : Login karne ke baad aap ko Godaddy dwara. Provied ki gae service list aap ke samne aa jayegi. Yaha apna wordpress blog install karne ke liye. App ko Managed WordPress ke upper click karna hai.
Step 3 : Ish page me aap ko New Managed WordPress ke niche. Diye huwe SET UP ki button ke upper click karna hai.
Step 4 : Yaha Godaddy aap ko do 2 options provide karta hai. Pahla Create a new WordPress site matlab new wordpress site banana ke liye. Aur dusra Migrate your Existing WordPress site matlab pahle se bani hue site ko Migrate karne ke liye.
But yaha hum log janege ki new WordPress website kaise banate hai. Matlab new site ke liye wordpress kaise install karte hai. But aane wale post me hum aap ko jarur batayege ki. Kisi dusre ke Hosting se Godaddy ke Hosting par WordPress blog ko kaise Migrate karte hai.
So new site banana ke liye. Aap Create a new WordPress site ke upper click kare.
Step 5 : Ab aap ke samne jo new screen open huwa hai. Yaha aap ko kuch basic details fill up karni hai.
1. Domain name : Apna domain name choose kare. Jis par aap ko wordpress blog install karna hai.
2. Username : Apna username dale jis ke dwara. Aap apne WordPress ke dashboard me login karege.
3. Email : Ish box me aap apna wo email id dale.Jo aap professionally use karte hai. Taki WordPress installation se related sari information parapt kar shake. Mere kahne ka matlab yah ki yaha aap job hi email id dalege. Usi ID par aap ko wprdpress login info ki jankari prapt hogi. Aur baad me agar aap chahe. To wordpress dashboard meek baar login hone ke baad. Apna email id bhi change kar shakte hai.
4. Password : Apne wordpress blog ko hacker se safe rakhne ke liye. Ek hard aur strong password dale. Taki koe use guess na kar paye.
5. Finish : Sari details fill up kar dene ke baad. App Finish ki button ke upper click kar de.
Finish ke upper click karte hi. Aap ke wordpress blog ka installation start ho jayega. Godaddy managed WordPress installer aap ke liye. Automatically WordPress blog, setup aur install kar dega. Installation complete hone me lagbhag 1 se 2 min ka time lagta hai.
Installation complete hote hi aap ko ek new screen show hoga. Jis me likha hota hai Your account is Ready Get started. Aur sab se jaruri baat Installation complete hote hi. App ko ek email bhi aayega. Jis me aap ko apne WordPress dashboard ka login aur username ka details milega.
Step 6 : Ab aap apne WordPress blog ka setup karne ke liye. Apne WordPress dashboard me login kar shakte hai. Login karne ke liye Get started ke upper click kare. Yaha aap ko website configure karne ke liye 4 option milege. App Blog wale option ke select kare.
Finally ab aap ka blog puri tarah se ready ho chukka hai. Ab aap ko kuch jaruri plugin install karne ki jarurat hai. Jaise WordPress SEO by Yoast, Akismet, Jetpack etc. Jo aap ki wordpress site ki ranking aur optimization ke liye accha rahega.
Asha karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Godaddy Managed Hosting Par WordPress Blog Kaise Install Kare”. But agar phir bhi aap ko installation me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki help kar ke bahut khusi hogi.
Dosto agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To app ish post ko social media par share karna na bhule. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko subscribe karna na bhule. Thank you.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Kishor Kumar Gupta says
aapne kaafi vistaar se bataya hai…. new blogger jo wordpress par apna new blog install karna chahte hai unko iss post se kaafi sikhne ko milega…. aur wo apna blog iss post ko follow kar ke install kar payenge……
Mangal Gupta says
Thanks bro… Keep visit…