Hello friends aaj hum log janege AdSense Program Policies Hindi Me. Jab hum log Adsense par account banate hai. To us samay last me ek option aata hai. Adsense Terms and Conditions jise hum accept karte hai. Accept karne ka matlab huwa ki hum un ke sare niymo ko maan rahe hai. But hum us time jaldi se tick out kar ke aage badh jate hai. Aur padh nahi pate hai ki hum ne un ke kaun se niyam ko mana hai. But tension lene ki ko jarurat nahi hai. Agar aap ne waha adsense ke niymo ko nahi padh paya hai. To chaliye ab hum log ab padh lete hai ‘AdSense Program Policies Hindi Me’.
Adsense ke sabhi publishers jo adsense ka use karte hai. Unhe adsense ki police ka palan karna hota hai. Aur jo bhi inke niymo ka palan nahi karta hai. Un ka adsense account bhi disable matlab block ho shakta hai. Us ke baad ho shakta hai ki aap kabhi bhi adsense ka use nahi kar paye.
AdSense Program Policies In Hindi
Adsense ki policies time to time change hoti rahti hai. Agar koe changes aata hai to aap un ke official blog ko visite kar shakte hai. To chaliye ab hum log AdSense Program Policies Hindi Me jaan lete hai.
Invalid clicks and impressions
Adsense ke publisher kisi bhi karan apne ads pe kabhi bhi click naa kare. Aur na hi kisi software ya script ki help se ads pe click kare. Aysa karne pe aap ka adsense account band kar diya jayega.
Apne ads pe kabhi bhi fake click na kare aur na hi kisi se karne ko kahe. Jo bhi ads aate hai un he user apne pasand ke hisab se kudh hi click karege. Agar koe user ads pe bar bar click karta hai to use bhi invalid click mana jayega. Aur yesa karne pe aap ka account block bhi ho shakta hai.
Encouraging clicks
Publishers kabhi bhi kisi ko apne ads pe click karne ke liye nahi bol shakte hai. Yah tarika bhi galat hai. Agar koe bhi yesa karta hai to google ko aasani se uska pata chal jayega. Wo dekhte hai ki user kya search kar ke site pe aaya tha. Aur usne kis ads pe click kiya hai. Yesi hi bahut sari un ka calculation hota hai. Jis se un he aasani se fake click ka pata chal jata hai.
Content guidelines
Publishers kabhi bhi adsense ke ads code ko yesi jagah nahi laga shakte. Jo adsense ke content guidelines ko follow na karti ho. For example agar kisi site pe adult content, Gambling information, hacking information ya Crack software jaisi ko bhi illegal information hai. To us case me aap adsense ke ads nahi laga shakte hai.
View full content policies.
Pages with Google ads may not include or link to:
- Pornography, adult or mature content na ho.
- Violent content matlab ladai jagde wali koi bhi contant nahi hone chaiye.
- Bekar sabdo wali koi bhi Speech nahi hone chaiye. Matlab kisi ke bare ku kuch galat kaha gaya ho.
- Hacking/Cracking wali koe content nahi honi chaiye.
- Koi bhi yese software ka link ya jankari share na kare jo paid hai but aap use free me de rahe ho.
- Kisi bhi Malware or adware ka use na kare.
- Illicit drugs and drug paraphernalia content nahi hone chaiye.
- Beer or hard alcohol sell nahi kar sakte hai.
- Tabacco ya us se related products sell nahi kar sakte hai.
- Prescription drugs sell nahi kar sakte hai.
- Hatiyar ya us se related koi jankari nahi hona chaiye.
- Kisi bhi tarah ka illegal content nahi hona chaiye.
Upper di hue jitni bhi chize hai wo na to aap ki site pe honi chahiye. Aur na hi kisi bhi tarah ka yesa link aap ke site pe ho.
Copyrighted material
App adsense ke ads yese kisi bhi site pe nahi laga shakte hai jis par copyright content ho. Matlab kisi dusre site ka content aap ke site pe ho. App ads kewal un site pe laga shakte hai. Jin site pe kisi bhi tarah ka copyright content na ho. Aur na hi yese kisi bhi page ka link us me honi chahiye jis me copyright content ho.
Agar aap adsense user hai. Aur aap ke pass koe yesa notification aata hai. Jis me aap ko kisi copyright contant ko le kar bola ja raha ho. But wo content aap ka hi hai to aap ye Form Fill up kar ke adsense se request kar shakte hai. Aur adhik jankari ke liye aap un ka official blog ko bhi visite kar shakte hai.
Agar aap ko kisi bhi page par Adsense ke Ads dikhe. Jo Adsense ke policy ka palan nahi karti ho, to aap un ki report is Form ko Fill kar ke kar sakte hai.
Counterfeit goods
Publishers Google adsense ke ads yese kisi webpages pe nahi laga shakte. Jo kisi bhi product ka sell karti ho ya phir use promote karti ho.
Traffic sources
Google adsense ke ads yese kisi pages pe nahi laga shakte. Jo kahi aur se traffic receve karti ho. For example, publishers yese kisi bhi site pe ads nahi laga shakta jaha pe paid traffic aati ho, Ya Email send kar ke logo se bola jaye ki wo mail open kar ke ads dehke.
Ad behavior
Publishers Ads ko modifications kar sakte hai. But us me aap koi yesa kaam nahi kar shakte hai. Jis se jo ads hai wo bhi change ho jaye. Aap ads ka Size, color, formate yahi sab change kar sakte hai.
Ad placement
Adsense ke Ads kaha aur kaise lagana hai. Ye bhi jaruri hai kyu ki aap kisi yesi jagha ads nahi laga sakte. Jo ki Adsense Ad Placement Policies ke virudh ho.
Site behavior
Jis bhi site par aap Ads dikha rahe hai. Us ka navigation bahut acha hona chaiye. Aur Site yesa nahi hona chaiye ki wo apne app kisi dusre site pe redirect ho jaye ya automatic download hone lage. Aur jayda popup nahi hone chaiye.
Google advertising cookies
Publishers ko apne Privacy Policy me ye batana jaruri hai. Ki visitors ko browser pe acche Ads dikhane ke liye. App ki site cookies use karti hai.
Children’s Online Privacy Protection Act (COPPA)
App jo bhi ads apni site pe laga rahe hai. Wo Children’s matlab bacho ke liye safe hona chahiye.
Gambling content
App adsense ke ads kisi bhi Gambling site ya page pe nahi laga shakte hai. Jo Gambling se related jankari share ya publish karti hai.
Final Word :
Asha karta hu dosto ab aap ko Google AdSense Program Policies ke bare me pata chal gaya hoga. Ki Adsense use karne ke liye aap ko kya karna hai aur kya nahi. But mai aap ko yahi kahuga ki aap Adsense ke niymo ka jarur palan kare. Taki future me aap ko kisi bhi tarah ka problem face na karna padhe.
Dosto aap ko ye jankari kaisi lagi. Asha karta hu ki aap ko ye jankari pasand aayi hogi. Agar aap ko mera ye post pasand aaya hai. To aap ish se jarur share kare aur dosto se bhi kahe.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Saurabh Kashyap says
Very helpful information thanks for sharing.