Google Pay (Tez) App Kya Hai : Google baba ne india me apna Onilne Payment App Launch kar diya hai. Jis ka naam diya hai Tez – A new payment app by Google. Tez UPI Based payment app hai. Yah google ka india me pahla digital payment app hai. Jise Google ne 18 Sept 2017 ko launch kiya hai. Goggle ki yah app PayTM, PhonePe aur BHIM jaisi app ko takkar dene wali hai. Ish app se aap bill payment, movie ticket buy karna aur dusri online transactions ka use kar shakta hai. Google ki mane to Tez naam ish liye rakha gaya hai. Kyu ki yah app bahut hi tezi se kaam karta hai.
Tez App ke dwara aap acche khase paise kama shakte hai. Tez app se paisa kaise kamaye. Aaj ke ish post me mai aap ko details me batane wala hu. Tez aap se app chota mota amount nahi. Balki 9000 rupye tak kama shakte hai. Aur to aur 1 lakh rupye tak ka price bhi her week jeet shakte hai. Ish ke aalawa bhi Scratch Card ke dwara 1000 rupye bhi kama shakta hai.
Google Tez app ko india me india walo ke liye hi banaya gaya hai. Abhi yah aap 7 language ko Support karta hai. Jaise Hindi, Bengali, Gujarati, Marathi etc. Aage ke update me dusri bhi language ko add kiya jayega. Aane wale dino me kuch mobile companies jaise Lava, Micromax, Xolo, Panasonic, Nokia etc. Me aap ko pahle se hi Tez App Install milega.
Google Pay (Tez) App Kya Hai – जाने Tez App की खासियत
Google Tez ek UPI Based Onilne Payment App hai. Jise android aur iOS dono platform ke liye banaya gaya hai. Ish me apne bank account ko Tez app ke saath Link karna aniwaray hai. Ish app ke dwara aap jitney chahe utne payment kahi bhi kar shakte hai. Google ne ish app ko ish tarah design kiya hai ki. Transaction ke saath saath aap chat ka bhi anand udtha shakte hai.
Note : UPI ek payment protocol hai. Jise Government institutions NPCI dwara chalaya jata hai.
Google Tez App में क्या है खास
Tez App me bhi PhonePe aur BHIM app jaise hi feature hai. But ish me ek bahut hi accha extra feature diya gaya hai. Jis ka naam hai “Tap For Cash Mode”. Yah High Frequency Sound ke dwara dusre mobile ko Identify karta hai. Aur ish feature ke dwara aap apna bina Identity bataye. Kisi ko bhi paise send aur receive kar shakte hai. Chaliye one by one kuch aur features ke bare me bhi jaan lete hai.
Security : Ish app me paytm ki tarah koe Wallet wala concept nahi hai. Ish liye aap ka paisa app ke bank account me safe hai. App jis se bhi paisa send ya receive karege. Wah aap ke bank account se direct Deposit ya withdrawal hota rahega. Google ne ish app me 24/7 Multi Layer Security diya hai.
Cash Mode : Google Tez ka yah bahut hi khas feature hai. Ish feature ke dwara aap apne najdiki kisi ko bhi payment send ya receive kar payege. Aur ish ke liye aap ko apna personal details. Jaise bank account number ya phone number dene ki koe jarurat nahi hai.
Payment System : Ish app me aap ko Account Number aur IFSC code ke saath saath. Aur bhi bahut sare payment ke liye option diya huwa hai. Jaise UPI ID, QR Phone Number ke dwara bhi asani se payment kar shakte hai.
Transaction Charges Free : Google ke mutabik ish app ke dwara 50000 rupye tak. App ko koe bhi Transaction Charges nahi lagega.
Money Earning Scheme : Ish app ke dwara aap paise bhi kama shakte hai. Jis ke bare me hum aage janege.
Google Tez App Download Kar Ke Paisa Kaise Kamaye?
Yaha mai aap ko ek baat batana chahta hu ki. Agar aap mere dwara niche diye gaye Link se App ko Download karte hai. To aap ko 51 rupye ka cash milega. Aap jab bhi apna pahla Transaction karege. To aap ko Rs. 51 cash aap ke bank account me aa jayega. Aur agar aap Play Store se Tez app ko download karte hai. To aap ko kuch bhi nahi milega.
Step 1 : Tez app ko Download karne ke liye. Ish link ke upper click kare Tez App Download Link
Step 2 : Link ke upper click karte hi. Yah aap ko Play Store me le kar chali jayegi. Waha se aap ish Tez app ko install kar le.
Step 3 : Install ho jane ke baad jab aap ish aap ko open karege. To aap ko apna mobile number verify karne ke liye bola jayega. Apna mobile number dale aur OTP dwara verify kare.
Step 4 : Ab aap ko ish App me Google Pin ya Pattern Lock set karna hai.
Step 5 : Ish ke baad app ko Bank Account ke saath Link karna hai. Jo Mobile number aap ne apne bank me Registered kiya hai. Us number ka use kare. Ish process ko complete hone me thora time lagta hai.
Step 6 : Ab aap ko UPI ID dalna hai. Aur finally ab aap ka Tez app use karne ke liye ready hai.
Ab baat aati hai ki ish app se paisa kaise kamaye. Ish app ke dwara paisa kamane ke 3 tarike hai. Jo mai aap ko one by one kar ke batane ja raha hu.
#1 Invite Ke Dwara
Jab aap Google Tez App ko Activate kar lete hai. To aap ko apne liye ek Referral LINK milegi. Ish link ko bus aap ko apne dosto ke saath share karne ki jarurat hai. App social sites jaise Facebook, Whats app, Google+, Instagram par bhi share kar shakte hai. Aur jab koe bhi aap ke ish link ka use kar ke Tez App ko download karta hai. Aur pahla Transaction karta hai. To aap ko Rs. 51 ka cash aap ke bank account me jama ho jayega. Paisa aap ke bank account me jama hone me sayad thora time lag shakta hai.
Reffer karne ki koe limit nahi hai. But refer dwara aap ko maximum 9000 rupaye tak milege. Yah offer 31 March tak hai. Aur ish process ke dwara aap 9000 rupye tak kama shakte hai.
#2. Sunday Lucky Winner
Yah ek Lucky Withdraw Offer hai. Ish offer ka labh pane ke liye. App ko her week 50 ya us se jayada ka Transaction karna hota hai. Jis ke dwara aap her Sunday Lucky Winner ban shakte hai. Aur 1 Lakh ka price bhi jeet shakte hai. But yaad rahe 50 ya 50 se jayda ka Transaction hona jaruri hai. To aap bhi jarur try kare. Kya pata aap ka bhi kismet badal jaye.
#3. Scratch 1000
Jab aap 50 ya us se jayada ka Transaction karege. To aap ko Google Tez App ki taraf se Scratch Card diya jayega. Jis me aap ko kuch paise inam ke roop me diye jayege. So dosto aaj se aap bhi lag jaye. Kyu ki paisa kamane ka yesa mauka baar baar nahi milta.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Google Tez App Kya Hai Aur 9000 Rupaye Kaise Kamaye”. But phir bhi aap ko yah aap use karne me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Ummid karta hu dosto aap ko mera yah post pasand aaya hoga. Post pasand aaya hai to ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus intna hi. Chalte chalet yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: