Jio Vs Micromax 4G Volte Phones : Reliance Jio ke 4G phone ko takkar dene ke liye. Micromax ne bhi apna 4G phone market me launch kar diya hai. Jis ka pura naam Micromax Bharat 1 diya hai. Jio ki phone ke tarah hi yah bhi 4G VoLTE ko support karta hai. Itna hi nahi balki kuch features ke mamle me. To yah Jio par bhi bhari nazar aa raha hai. App Micromax ke 4G phone ko kisi bhi offline store se buy kar shakta hai. Aur sab se acchi baat yah hai ki ish phone ko buy karne ke liye. App ko pre-booking karne ki koe jarurat nahi hai.
Dekha jaye to ab users ke pass 4G VoLTE phone ke liye do option hai. Phla Jio aur dusra Micromax. Yese me aap apne liye kaun sa phone buy kare. To ab hum yaha aap ko dono phone ke bare me puri details batane ja rahe hai. Jis ki madad se aap ko apne liye sahi phone select karne me madad milegi. Yaha mai aap ko phone ke features ke saath saath. Phone ki price aur plans ke bare me bhi batane wala hu.
Jio Vs Micromax 4G VoLTE Phone – कौन-सा फोन खरीदने में फायदा होगा
Jio phone ki pahli booking 24 aur 25 aug ko hue thi. Aur in do dino me company ne lagbhag 60 lakh handset book kiye the. Phone ko book karne ke baad company ne kaha tha ki. Phone ki delivery sep ke first week me kar di jayega. Aur abhi tak kariban do mahine ho gaye. Kya aap ko apna booking wala handset mila.
Asha karta hu aap ka jabab na hi hoga. Kyu ki abhi tak mujhe bhi apna handset nahi mila hai. Jab ki micromax 4G phone ko lene ke liye. Aap ko inta intazar nahi karna hoga. Mai manta hu jio ki tuna me micromax ka price kafi jayada hai. Chaliye ab hum log Jio aur Micromax ke phone ko compression kar ke dekh lete hai ki. In dono me se kis phone ko kharidne me jayada ka fayda hai.
Jio Vs Micromax 4G Phone – Price
Jio 4G Phone : Jio phone ko buy karne ke liye. Aap ko 1500 rupye pay karne hoge. Jis me 500 rupya pre-booking aur 1000 rupye delivery ke time dene hoge. Aur yah amount refundable hoga. Jo ki 3 saal baat phone ko return karne ke baad. Aap ko aap ka paisa wapas mil jayege. Halaki company ne ish ke liye kuch terms aur conditions banae hai. Agar un he follow nahi kiya gaya to paise wapas nahi milege.
Micromax 4G Phone : Wahi Micromax Bharat 1 ki kimat 2200 rupye hai. Phone ko buy karne ke liye. Aap ko puri amount ek saath pay karna hoga. Ish me money refund jaisa koe policy nahi hai. Yah phone humesa ke liye aap ka hi rahega.
Jio Vs Micromax 4G Phone – Plans
Jio 4G Phone : Jio ke phone par aap ko minimum 149 rupye ka recharge karna hoga. Jo ki GST add ho jane ke baad ki kimat 153 rupye ho jayegi. Ish plan ki validity 28 dino ki rahegi. Pahle company ne ish plan me daily 500MB 4G Data ke saath unlimited internet dene ki baat kahi thi. But abhi ish plan me aap ko kewal 4.2GB data hi milega. Jis ki daily limit 0.15GB hogi. Aur ish plan me 300 SMS aur sabhi network par voice calling free rahegi. Wahi phone ka advance paisa wapas pane ke liye. App ko 1 saal me 1500 rupye aur 3 saal me 4500 rupye ka recharge karana hoga.
Micromax 4G Phone : Micromax ne BSNL ke saath tie-up kiya hai. Jis ki wajah se aap ko kewal 97 rupye ke plan me hi unlimited 4G VoLTE data milega. Plan ke tahat BSNL to BSNL calling bhi free rahegi. Plan ki valited 28 dino ke liye diya gaya hai. Aur ish plan ka fayda aap ko pure 1 saal tak milega.
Jio Vs Micromax 4G Phone – Model
Jio aur Micromax dono hi phone ka front look lagbhag ek jaisa hi hai. But dono hi phone me front camera ka position alag alag diya gaya hai. Wahi dono phone ke back side alag hai. Jio phone ke back me camera ke saath loudspeaker diya gaya hai. To micromax me kewal camera hi diya gaya hai.
Jio Vs Micromax 4G Phone – Features
Agar features ki baat ki jaye. To dono hi phone me 2.4 inch ki QVGA display screen, 4GB internal memory, 2 mega pixel rear camera, 0.3 mega pixel front camera, 2000 mAh ki battery, live tv, music jaise features diye gaye hai. Ish ke saath saath GPS, Wi-Fi, Bluetooth, micro usb jaise features bhi dono phones me diye daye hai.
Jio phone me voice command searching. Aur phone ko TV ke saath connect karne ke liye advance features diye gaye hai. Wahi micromax me dual sim support diya gaya hai.
Asha karta hu dosto ab aap apne liye kaun sa 4G Volte phone kahride. Ish article ko padhne ke baad kafi madad mili hogi. Agar aap ko bhi Jio vs Micromax 4G VoLTE phones ke bare me kuch kahna hai. To aap comment kar ke jarur bataye. Hume aap ke comment ka intzar rahega.
Ummid karta hu aap ko mera yah post pasand aaya hoga. Post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Taki dusre ko bhi ish ke bare me pata chal shake. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus intna hi. Chalte chalte bus yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Share Your Comments & Feedback: