Aaj hum log baat karne wale hai Yahoo! Bing Ad Network ke bare me. Aur janege ki Media Dot Net Kya Hai Aur Adsense Kihi Tarah Media Dot Net Se Paise Kaise Kamaye. Ji ha dosto Media Dot Net ke ads aap apne blog ya website par laga kar. Google Adsense kihi tarah acche khase paise bahut aasani se earn kar shakte hai. Kyu ki puri duniya me Google Adsense ke baad. Media Dot Net hi dusra sab se bara contextual advertising platform hai. Jo bloggers aur webmaster ke liye bahut popular hai.
App Google Adsense ki hi tarah Media Dot Net ke upper bhi viswas kar shakte hai. Aaj ke date me bahut sare blogger media dot net ke ads. Apne blog par laga kar acche paise earn kar rahe hai. Kyu ki in ki bhi CPC ya RPM adsense se kam nahi hoti hai. Media dot net ki sab se acchi baat yah ki. Approvial pane ke baad aap ko quick support milta hai. App kuch bhi puchege to aap ko within 24 hours ke ander replay kar diya jata hai.
Jab ki Google Adsense se approvial pane me app ko kafi time lagta hai. Aur kuch bhi galat hone se aap ka account bhi band kar diya jata hai. Yesi situation me aap media dot net ka use kar ke. Online paise kama shakte hai. Yakin maniye yah Google Adsense ka really me alternative ad network hai.
Media.Net Kya Hai?
Media.net Yahoo! Bing ka ek contextual ad network hai. Jis ka matlab huwa ki yah aap ke content writing base ke upper hi. App ko advertisement deta hai. App jis tropic ke upper content likhege. Media.net us page par usi tropic se related ads show karega.
Media dot net Google Adsense ka really me alternative ad network hai. Media.net ka use aap Google Adsense ki hi tarah apne blog ya website par kar shakte hai. Ish ads network se bhi aap wo sabhi ads show kar shakte hai. Jo ki aap Google Adsense ke dwara karte the.
Media.net English languages ko support karta hai. Ish liye agar aap ka blog Hindi me hai. To aap Media.net ka use apne blog me nahi kar payege. Media.net se bhi aap ko approval pane ke liye. App ke blog par high-quality content ka hona jaruri hai.
Features of Media.net Ad Network
# contextual advertisements
Jaisa ki mai ne aap ko upper bataya. Yah aap ke content writing base ke upper hi. Aap ke page par app ke visitors ke liye ads show karta hai.
# High Revenue
Media.net ke ads ki quality bahut acchi hoti hai. Jis ke karan aap acche khase paise earn kar shakte hai.
# Mobile Ads
Media.net me mobile ads ka feature bahut hi accha feature hai. Media.net apne technology ka use kar ke. Bahut hi aasani se mobile ke browser ko detect kar leta hai. Aur us device me mobile ads show karne lagta hai. Jis ke karan aap aur jayada paisa earn kar shakte hai.
Media.net पर Account कैसे बनाये?
Media.net par account banana bahut hi aasan hai. But Media.net par apply karne se pahle. App ke site ka traffic monthly kam se kam 1500 se 2000 jarur hona chahiye. To phir chaliye ab hum log step by step jaan lete hai ki. Media.net par account kaise banaye.
Step 1 : Sab se pahle aap Media.net ki site par jaye. Aur waha Signup ki button ke upper click kare.
Step 2 : Click karne ke baad aap apne website ka URL aur Email ID Enter kare. Aur Continue With Signup ki button par click kare.
Step 3 : Email ID aur website ka URL dalne ke baad. App ko apna pura naam dalna hai. Aur Submit For Approval ki button par click karna hai. Clcik karte hi aap ka account review ke liye chala jayega.
Apply kar dene ke baad 24 se 48 hours ke ander. App ko replay mil jayega ki aap ko approval mila hai ya nahi. Approval milne ke baad aap apne site par ads laga kar paise kama shakte hai.
Note : Media dot net ke ads adsense ads ki tarah. Turant sahi se kaam nahi kar pate hai. Aur in ka report bhi 1 ya 2 din delay se aata hai. But impression turant aa jata hai. Ish liye bahut se log tension me aa jate hai. Ki impression to aa raha hai par earning kyu nahi ho rahi hai.
Ish liye aap tension nahi le aur 2 ya 3 din wait kare. Earning apne aap display hone lagegi. Kyu ki media dot net ka kahna hai ki. Hum aap ki site ko acchi tarah se analyze karne ke baad hi. Aap ki site par ads ko display karte hai. Taki aap acchi khasi income kar shake.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. “Media Dot Net Se Paise Kaise Kamaye”. But agar phir bhi Media.net approvial me koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi.
Dosto agar aap ko mera yah post pasand aaya hai. To aap ish se social media par share karna na bhule. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko subscribe jarur kar le. Aaj ke liye bus inta hi. Chalte chalte mai bus yahi kahuga. Aap apna aur apne pariwar ka khyal rake. Thank you.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
shivam shakya says
media.net ko fast aproval ke liye kya kare
Mangal Gupta says
App ke blog par 15 – 20 acche post aur monthly 2000 visitors hone chahiye. Aur un ke terms aur condition ko follow kare. Bahut hi aasani se aap ka account approve ho jayega.