Hello dosto aaj hum log janege ki Off-Page SEO Kya Hai? Aur Off Page SEO Optimization Se Blog Ki Traffic Kaise Badhaye? SEO ka kaam hota hai. Blog ya website ko search engine ke liye optimize karna. Kyu ki SEO ek yesa hi Technique hai. Jis ke dwara hum log yah sab kar shakte hai. Aur jab tak aap apne blog par acche se seo Optimization nahi karege. Tab tak aap ka blog top par nahi aa shakta hai. Ish liye hum log ish post me janege ki. Off-Page SEO ke wo kaun kaun se traike hai. Jis se hum apne site ki ranking ko kaise increase kar shakte hai. To chaliye suru karte hai. Aur jante hai ki ‘Off page seo kaise kare’.
Kisi bhi blog ya website ka traffic badhane ka sab se accha tarika. SEO (Search Engine Optimization ) hota hai. SEO ke dwara hum log kisi bhi blog ya website ko. Search Engine ki ranking me first page par la shakte hai. Jis ke karan hume jayda se jayda traffic bhi receive hota hai. SEO ke bhi do parts hote hai.
- On-Page SEO
- Off-Page SEO
On-Page SEO ke bare me maine aap ko apne pichle post me bataya tha. But agar aap ne abhi tak wo post nahi padha hai. To On-Page ke bare me jayada janne ke liye. Humara niche diya gaya article ko jarur padh le.
Kyu ki aaj ke ish post me hum log kewal aur kewal Off-Page SEO ke bare me hi baat karege. To ab hum log Off-Page SEO kya hota hai se suru karte hai.
What Is Off-Page SEO – Off-Page SEO क्या है?
Post ko publish karne ke baad. Jab hum apne site ki ranking ko improve karne ke liye. Jo kuch bhi seo work ya link building karte hai. Use Off-Page SEO kahte hai. For example Social Networking, Article Submission, Directory Submission, Media Submission etc.
Apni website ko reputed banana ke liye. Online content ko optimize karne ke saath saath Aur bhi bahut sare tarike hote hai. Jo off-page seo ke ander aate hai. Bahut sare blogger ish tarah ke search engine optimization ko ignore kar dete hai. Sayad ish ka karan awareness ki kami ho shakti hai. But Off-Page SEO se aap ko kuch hi dino me accha result milna start ho jayega.
ब्लॉग की Traffic बढ़ने के लिए Off-Page SEO Optimization कैसे करे ?
Off-Page seo me use hone wali techniqe ko hum log puri details me janege. Taki aap ke blog ko jayada se jayada benfit mil shake. To chaliye suru karte hai. Aur jaan lete hai ki off-page seo kaise kare.
1. Create Backlinks :
Backlinks kya hai? Backlinks kisi webpage par aane wale incoming links hai. Matlab jab koe website kisi bhi dusre webpage ke saath link hota hai. To use backlinks kahte hai. Jis bhi page par bahut sare backlinks hote hai. Wah webpage sabhi search engine me higher rank par hota hai. Ish liye aap bhi backlings create karne ki kosis kare.
Quality sites se backlinks ka hona bahut jaruri hai. Aur ye backlinks contextual hona chahiye. For example agar aap ki site blogging ke upper hai. To aap ka backlings bhi blogging se related site par honi chahiye.
2. Social Bookmarking Sites :
Yah ek one of the best ways hai. App ke blog ya website ko promote karne ke liye. Ish ke dwara aap apne content ko easily promote kar shakte hai. Aur accha traffic bhi generate kar shakte hai. Agar aap ko apna blog jaldi popular banana hai. To aap ish service ka jarur use kare.
Jab aap apne blog ke kisi bhi page ko kisi acche social bookmarking website par bookmark karte hai. To aap ko waha se us particular page par high traffic ke saath saath backlings bhi milte hai. Waise to aap ko internet par bahut sare Social Bookmarking sites mil jayege. But koe bhi site par apne content ko promote karne se pahle. App un ka PA/DA jarur check kar le. Kyu ki high authority sites par jab hum apne post ko promote karte hai. To hume us ka result bhi bahut accha milta hai.
To chaliye mai aap ko kuch high PA/DA wali Social Bookmarking sites ke kuch naam bata deta hu. Jis se use kar ke aap apne blog par accha traffic pa shakte hai.
Some Popular Social Bookmarking Websites Lists –
- Delicious
- Stumbleupon
- Digg
- Diigo
- Technorati
3. Social Media Sites :
Aaj ke date me social media ek bahut hi powerful jagah ban gaya hai. Jaha par aap apne blog ya website ka Off-Page SEO kar shakte hai. Waise bhi Off-Page SEO me jo jayada use hota hai. Wah Social Media Sites hi hai. Maximum her ek bloggers social media sites par apne content ko promote karte hai. Aur us se back-links banana ke liye bhi use karte hai. App bhi in networks par active rah kar. Apne blogging network ko bara bana shakte hai.
Apne blog ko acche se promote karne ke liye. Sab se pahle jitne bhi popular Social Networking Sites hai. Un par apna account bana lijiye. Account banane ke baad aap daily waha par active ho kar. Apne blog ka promotion kijiye. Yesa karne se aap bahut hi jaldi accha traffic apne blog par pa shakte hai.
Mai niche aap ko kuch popular social media sites ka list suggest kar raha hu. Jaha par aap aapne blog ko promote kar ke accha traffic pa shakte hai.
Some Best Social Media Site Lists –
- Google Plus
4. Search Engine Submission :
Search Engine Submission Off-Page SEO ka ek bahut hi jaruri part hai. Ish me aap ko popular search engine me apne website ko submit karna hota hai. Jaise Google, Yahoo, MSN, Ask etc. Ish se hum logo ko yah fayda hota hai ki. Humari jinti bhi post hai wo search engine ke data base me add ho jati hai. Aur jab bhi koe visitors yesa koe keyword search karta hai. Jo humare website par available hai. To humari sites google, bing, yahoo ke page par aa jati hai.
Ek chiz aap ko jarur pata honi chahiye. Kewal apni site ko submit kar dene se. App ke post first page par nahi aa jayege. Us ke liye aap ki site par acche Quality Content ka bhi hona bahut jaruri hota hai.
Google search engine me apne blog ya website ko kaise submit kare. Aur phir us ka sitemap kaie submit kare. In sab ki jankari maine aap ko pahle hi bata chuka hu.
Usi tarah Blog Ko Yahoo Bing Webmaster Tools Me Kaise Submit Kare. Aur Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Kaise Submit Kare. In sab ki bhi jankari mai apni site par pahle hi share kar chukka hu.
5. Forum Submission :
Agar aap apne blog ka off-page seo shahi tarah se karna chahte hai. To forum posting karna aap ke liye ek bahut accha option hai. Ish ke dwara aap apne blog ke liye high quality backlinks pa shakte hai. Aur apne blog ka traffic bhi increase kar shakte hai.
App humesa yese search forums ka part baniye. Jo aap ki blog ya website ki niche ke related ho. Un ki community ke saath ek accha connection banaeye. But yaad rahe kuch Forums dofollow hote hai. To kuch nofollow. App ko humesa Dofollow forums me active rah kar. Apne blog niche se related threat ke answers dene hai. Answers dete time app blog ya related content ki link jarur add kare. Taki aap ko bhi acchi quality ki backlink mil shake.
Some Forum Submission Site Lists –
- flickr.com
- bbpress.org
- addthis.com
- careerbuilder.com
- chronicle.com
6. Blog Directory Submission :
Quality backlinks build karne ke liye. App apne site ko blog directory me jarur submit kare. Agar blog directory ki baat ki jaye. To internet par aap ko bahut sare acche sites mil jayege. But her directory her blogs ke liye fit nahi hota hai. Agar aap ka blog English language me hai. To aap ko apna blog submit karne ke liye bahut sare high authority web directory mil jayege.
Some Popular Directory Submission Site Lists –
- boingboing.net
- networkedblogs.com
- technorati.com
- elecdir.com
- a1webdirectory.org
But agar aap ka blog ya website kisi Native language. Matlab kisi regional language par hai. Jiase Hindi aur Hinglish language. To aap ko acchi web directory search karne ke liye jayada mehnat karni hogi. Kyu ki ish tarah ki language ko support karne wali bahut kam directories hi internet par available hai.
Mai apne blog ke liye jo high page authority aur domain authority wali blog directories ka use karta hu. Wo mai aap ko niche bata de raha hu. Taki aap ko bhi apne blog ka off-page seo karne me aasani ho.
Indiblogger ek acchi Indian blog directory to hai hi. But us ke saath saath yah article submission site bhi hai. Jaha aap apne blog ke content roz share kar ke. Apne blog ka traffic bhi increase kar shakte hai.
7. Article Submission :
App apne post ko humesa high PR Article Submission directories me submit karna na bhule. Ish me aap apni websites ke link bhi add kar shakte hai. But aap ke site ka content unique aur high-quality ka hona chahiye. Yesa karne se aap ke blog ka promotion bhi hoga. Aur aap ke blog ka traffic bhi increase hoga.
Some Article Submission site Lists –
- thefreelibrary.com
- hubpages.com
- ezinearticles.com
- magportal.com
- brighthub.com
8. Media Submissions
Agar aap apne blog ko bahut jaldi popular banana chahte hai. To aap ko apne blog ke content se related images aur videos ko. Alag alag image sharing aur video sharing sites par share karna hoga. Kyu ki jitne bhi images aur videos submission sites hai. Un ka PR bahut jayada hota hai. Jis ke karan aap ke website ko ish ka direct benefit milta hai.
Agar aap apne blog par acche aur uniqe images ka use karte hai. To us image ko high quality image sharing site par jarur share kare. Aur agar aap yesa nahi karte hai. To samajh lijiye ki aap off page seo me bahut bari opportunity ko miss kar rahe hai. Off-Page SEO ke liye mai aap ko kuch acchi quality. Image sharing website ke bare me niche batane ja raha hu.
Some Best Image Sharing Site Lists –
- Flicker
- Pixabay
- Picasa
- Photo Bucket
- Picli
- Tumblr
- Deviantart
- Mediafire
- Fotolog
Thik usi tarah se video sharing websites ka use karna bhi bahut accha hota hai. Mai manta hu ki viedo banana thora hard kaam hai. But yah method aap ke blog ko popular banana me bahut helpful sabit hota hai. To chaliye ab hum log kuch popular video sharing sites ke bare me jaan lete hai.
Some Popular Video Sharing Site Lists –
- Youtube
- Vimeo
- Vine
- Break
- Dailymotion
- Metacafe
9. Question and Answer Sites :
Question and Answer Sites bhi ek bahut hi accha tarika hai. Apne website par accha traffic pane ka. Ish liye aap bhi popular question-answer websites ko join kare. Aur apne subject se related sawaalo ka jabaab de. Lagbhag 70-80% blogger in sites ka use nahi karte hai. Jo ki un logo ki yah sab se bari bhul hai.
To chaliye ab hum log kuch high authority Question Answer websites ke bare me jaan lete hai. Jin par aap apne blog related niche ke hisab se jabaab de kar. High traffic generate kar shakte hai aur apne blog ki ranking ko bhi improve kar shakte hai.
Some Popular Question and Answer Site Lists –
- Yahoo Answers
- Quora
- Blurtit
- Ehow
10. Document Sharing
Yah ek bahut hi accha method hai. Apne blog ya website ka traffic badhane ka. Ish ke dwara aap ko aasani se backlinks mil jayege. Document Sharing karne ke liye app ko apne blog se related alag alag tarah ka. Unique content wala documents create karna hoga. Aur un documents ka formats pdf, ppt etc. me hona chahiye. Documents create karne ke baad app use document sharing sites par submit kar dijiye. Aur waha se backlinks prapt kijiye.
Some Best Document Sharing Site Lists –
- Box.net
- Scribd.com
- Issuu.com
- Slideshare
- Free.yudu.com
11. Comment Posting
Yah ek bahut hi aasan aur popular taraka hai. Jo maximum sabhi blogger jante aur karte hai. Kyu ki comment karne ke do fayede hote hai. Pahla ki aap ko backlinks mil jate hai. Aur dusra aap ko comment ki madad se traffic bhi mil jata hai.
But comment ko acche tarah se follow karna bahut jaruri hota hai. Mai bahur sare newbie blogger ko dekhta hu wo short comments karte hai. For example good info, awesome post, wow its great article etc. Yesa karne par un he kuch bhi hasil nahi hota hai. Kyu ki ish tarah ke comment meaningless hote hai. Jis ka koe matlab nahi niklta hai. Ish liye ish tarah ke short comments blog ya website owner publish na kar ke unhe delete kar dete hai. Agar aap ko comment karna hai. To aap kam se kam 50-100 word me valuable aur content se related comment kare.
Comment se backling pane ke liye bhi. App ko yesa blog ya website choose karna chahiye. Jis ka accha PA/DA aur Moz rank ho. Taki aap ke blog ka traffic improve hone me madad mile. Aur comment spamming se humesa door rahe.
12. Guest Posting
Guest Posting ka matlab huwa kisi dusre blog ke liye post likh kar us par publish karna. Agar aap ka blog ya website new hai. Aur aap ke blog ka traffic bahut kam hai. To aap apne blog ki traffic ko improve karne ke liye. Other related niche blogs par Guest Posting kar ke. Apni blog ke traffic ko improve kar shakte hai. Aur bahut hi aasan tarah se do-follow backlink aur traffic prapt kar shakte hai.
Agar aap Guest Posting start karna chahte hai. To kuch bato ka jarur dhyan rakhiye. Jaise PA/DA aur Spam score. Kewal dofollow backlink allow karne wali sites par hi guest post karna accha hota hai.
Asha karta hu ab aap ko pata chal gaya hoga. Off Page Seo Optimization Se Blog Traffic Kaise Badhaye. Aur agar app upper diye gaye “Off-Page SEO” methods ko. Apne blog ya website par acche se implement karte hai. To mai inta jarur kah shakta hu ki aap ko ish se bahut accha result milega. App ko mera yah article pasand aaya hai. To logo ke saath ish se share jarur kare.
Off-Page SEO se related agar aap ke pass koe sawaal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai. Hume aap ki madad kar ke bahut khushi hogi. Thank You
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
munshir says
Sir mai blog pe 120 post likh chuka hu per traffic incress nahi ho raha hai daily traffic 70 hi aata hai kya kare help aur mai social media pe daily share bhi karta hu
Mangal Gupta says
Bro abhi aap aur post likhe, lekin jitna ho sake unique post likhe.
munshir says
thank you
Aap Guest post Acept karte hai
Mangal Gupta says
Abhi nahi bro…
Lekin jab start karuga to aap ko jarur batauga.