Samsung Google Verify Bypass Kaise Kare : Agar aap ke bhi samsung mobile me FRP (Factory Reset Protection) lock lag gaya hai. Aur aap se aap ka email id aur password maag raha hai. Jo ki aap ko yaad nahi hai. To aap sahi jagah par sahi post padh rahe hai. Kyu ki FRP lock ko unlock karne ke liye. App ko usi email id aur password ki jarurat hoti hai. Jo aap ne pahle apne mobile me dala tha. Aur agar aap ke pass wo email id aur password nahi hai. To yese case me aap apne Samsung mobile FRP Unlock nahi kar shakte hai. But ab aap ko tension lene ki koe jarurat nahi hai. Kyu ki hum log ish post me FRP lock ko unlock kaise kare aur google lock kaise tode janege.
Actually Samsung company ne apne android phone ki security ko strong banana ke liye. FRP lock ki facility apne users ko diya hai. Taki device owner ka data safe rahe. Aur ish features se sabhi log khush bhi hai. But FRP lock se kuch user ko problem bhi aa rahi hai. Kyu ki wo apna purana wala id aur password bhul gaye hai.
Kyu ki kabhi kabhi yesa hota hai. Jin logo ko gmail me account banana nahi aata hai. To wo kisi dusre se apne phone me Google Play Store ke liye ID banwa lete hai. Aur phir baad me bhul jate hai ki. Jis insaan ne unka id aur password banaya tha. Wo kya banaya tha. Aur phir jab kabhi FRP lock ki problem aati hai. To wo apne phone ko use nahi kar pate hai. To phir se apne phone ko use karne ke liye chaliye jaan lete hai. Bypass Samsung FRP Lock In Hindi.
FRP Lock Kya Hai?
Factory Reset Protection hai FRP lock full form. FRP lock Android mobile ka ek bahut hi accha feature hai. Jo aap ko Android OS 5.1 or higher version me dekhne ko milega. Yah feature aap ke device ko dusre insaan se safe rakhta hai.
For example agar aap ka phone chori ya lost ho gaya hai. To jo insaan aap ke phone ko paya hai. Wo us phone ko use karne ke liye. Phone ko formate jarur karega. Aur jab phone reboot hoga. Tab phone aap ka Email id aur password magega. Jo aap ne pahle phone me dala tha. Aur aap ka id aur password pata nahi hone ke karan. Wo insaan aap ka phone use nahi kar payega.
FRP Lock Ka Problem Kab Aata Hai?
Jab aap apne Samsung mobile ko formate, hard reset karte hai. Ya phir jab aap apne mobile me software dalte hai. Aur yah sab karne ke baad jab phone open hota hai. To phone ka setup karte samay. App se aap ka email id aur password maga jata hai. Google Account Verification karne ke liye. Jo ki aap ne pahle Gmail ka Id aur password dala tha. Yah wahi Gmail ka id hota hai. Jo aap ne Google Play Store ke liye banaya tha. Use hi hum FRP lock kahte hai. Yah Samsung mobile me jayada dekhne ko milta hai.
Kuch Samsung Phones Jo FRP Lock Support Karte Hai.
- Samsung C7, C9 Pro
- Galaxy S6/S7, S7 Edge
- Samsung J2 / J3 / J5 Prime
- Galaxy Note4, Note5, Note7
- Samsung Galaxy J7 prime, J7 2017
- Galaxy On5, On7, On8, On9, 2017
- Samsung Galaxy A5, A7, A8, A9 2017
Samsung FRP Lock Ko Unlock Karne Ke Liye Kya Kya Chahiye
- Ek Pendrive
- Ek OTG Cable
- Samsung FRP Bypass APK File
Also Read : Android Mobile Me Software Kaise Dale – Complete Guide In Hindi
How To Bypass Samsung FRP Lock In Hindi
Samsung FRP Lock ko bypass karne ke liye. Upper diya huwa sare chiz aap ke pass hona hoga. Aur mai Samsung FRP Bypass APK file ka link niche dede raha hu.
Step 1 : Sab se pahle aap Samsung FRP Bypass APK File ko download kar ke. Use pendrive me copy kar lijiye.
Step 2 : Ab aap ke jis phone me FRP lock hai. Us phone ko ON kare aur OTG cable ko mobile se connect kare. Ab OTG cable me pendrive dale. Jaise hi pendrive dalege aap ke phone me File Manager khul jayega. Aur ab aap ko Samsung FRP Bypass APK File ko apne phone me install karna hai. Aga install nahi ho raha hai. To Unknown Source par click kare aur phir install kare.
Step 3 : Open karte hi aap ke phone ka setting show hone lagega. Ab setting me hi app backup and reset > factory data reset > Reset Device ke upper click kare.
Click karte hi aap ka phone reset hona suru ho jayega. Aur reset hone ke baad aap ka phone dubara restart ho jayega. Aur phir aap se FRP lock ke liye nahi puchega.
Asha karta hu dosto ab aap ko pata chal gaya hoga ki. Samsung Google Verify Bypass Kaise Kare. But phir bhi aap ko koe problem aati hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
Ummid karta hu aap ko mera yah post pasand aaya hoga. Agar post pasand aaya hai. To ish se social media par jarur share kare. Aur ish tarah ke interesting updates ke liye. Humare Newsletter ko jarur subscribe kar le. Aaj ke liye dosto bus inta hi. Chalte chalet bus yahi kahuga aap apna aur apne pariwar ka khyal rakhe. Thank You.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
SHASHIRANJAN says
Nahi hota bhai Samsung j8 me try kiya nahi khula
krushna says
mi a3 ka lock nahi khula
krushna says
mi a3 ko hard reset karke dekha lock nahi khula
Arshad khan says
Pendrive mobile me dalne ke baad file manager open Nahi hota hai
Mangal Gupta says
Kahi yesa to nahi aapka mobile OTG supported nahi hai. Isliye sabse pahle aap yah chek kar le ki aapka mobile OTG support karta hai ya nahi.
Jagdish says
Otg ke sath drive lagane par screen par koi action nahi hota h.bas drive me light jalti h.file manager ka kahin namu nisan bhi nahi aata. Aapki ye post fack h.beacouse I shall practically this work
sanjay says
sir mobile me sd card se file le skte hai kya ?
Mangal Gupta says
Ha le sakte hai, agar aapka mobile otg supported hai to…
Gokul Gupta says
Sir mera ek saal hai AAP be frp lok ko Tod be keliye link kaise download kare please bataiye