Hello dosto aaj hum log janege ki muft me matlab Website (Blog) Free Me Kaise Banaye? But uske pahle mai aap sab ko ek baat bata du ki Blogger Kya Hai. Blogger Google ki hi ek free service hai. Jaise Gmail, Youtube, Google Drive, Google+.
Esliye free me Website (Blog) banane ke liye Sabse pahle hume Google ke Gmail account ki jarurt parti hai. Agar aap ke pass gmail account hai. To achi baat hai aur agar nahi hai to aap Gmail me account kaise banaye janane ke liye yaha click kare.
Website (Blog) Hum Kis Liye Banate Hai?
Website (Blog) ki hume ish liye jarurt hoti hai. Taki hum apne kisi bhi knowledge ko duniya ke samne online share kar shake. Ya phir duniya ko apni knowledge dhikha shake.
Website (Blog) Free Me Kaise Banaye?
Step 1: Sabse pahle aap www.blogger.com per jaye.
Jaise ki mai aap ko pahle hi bata chukka hu ki Website (Blog) banane ke liye. Google ke 1 Gmail account ki jarurt hoti hai. Aap ke pass agar koe Gmail account hai to phir aap usi Gmail account se login ho sakte hai. Aur agar aap ke pass Gmail account nahi hai. To phir sabse pahle aap Gmail me ek account banaye.
Step 2: Blogger.com me login hone ke baad ab aap ko bolg banane ke liye. New Blog ke upper click karna hai. Jaisa ki niche diye gaye picture me dikhaya gaya hai.
Step 3: Jab aap New Blog ke upper click karege. Tab aap ke samne 1 new page open hoga. Is new page per ab aap ko apne Blog ka Title, apne Blog ka Address matlab aap ke Blog ka URL. Aur aap ke Blog ka Template kaisa hoga select karna hai. Apne Blog ka pura detail fillup karne ke baad aap ko Create Blog! ke upper click karna hai.
1. Title- Title me apne Blog ka Naam dalna hai, Jaise mere blog ka naam hai – “Helps in Hindi”.
2. Address- Address me aap ko apne Blog ka URL dalna hai, jaise “helpsinhindi”.
3. Template- Template me aap ko Blogger ka koe bhi 1 Tamplate select kar lena hai. Jo aap ko accha lag raha ho.
4. Create Blog!- Last me aap ko click Create Blog! Ke upeer click kar de.
Create Blog! Ke upper click karte hi. Aap ka Blog ban kar ready ho jayega.
Asha karta hu dosto aap ko mera ye post Website (Blog) Free Me Kaise Banaye? jarur pasand aaya hoga. Post pasand aaya ho to ishe share jarur kare aur apne dosto se bhi kahe. App ka blogger ya internet se related koe saawal hai. To aap hume comment kar ke puch shakte hai.
लेख पसन्द आयी हो तो – Please share this post on Social Media :
pardeep saini says
nice post. very help ful
Raghuveer says
Nice article bahut usefully post likhi he apne or bahut easy tareeke se likhi he ummid he next article jaldi likhege