Hello dosto aaj hum log janege ki Apne Laptop Aur Mobile Me Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kare. Aaj kal aap jaha bhi dekhege waha aap ko wi-fi network mil jayega. Agar aap apne kisi dost ke laptop ya mobile ka wi-fi password pata karna chahte hai. Ya aap kudh apne laptop ya mobile ka password bhul gaye hai. To aaj hum log yahi janege ki ‘Wi-Fi Ka Password kaise pata kare’.
Koe bhi laptop ya mobile kisi bhi network se agar conneted hai. To us ka password pata karna bhut hi aasan hai. Mai yaha aap ko ek baat clear kar du ki. Agar koe bhi laptop ya mobile pahle se hi kisi wi-fi connection ke saath connected hai. To hi hum us wi-fi network ka password jaan payege. To chaliye ab hum jaan lete hai ki Apne Laptop Aur Mobile Me Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kare.
Computer Ya Laptop Me Wi-Fi Ka Password Kaise Pata Kare?
Yaha hum log Laptop me kisi bhi connected wi-fi ka password kaise nikale to janege hi. But us ke saath saath command prompt ke duwara bhi apne laptop me wi-fi ka password kaise nikale janege.
Laptop Se Wi-Fi Ka Password Kaise Nikale?
Step 1 : Laptop me Wi-Fi ka password nikalne ke liye. Sab se pahle aap apne Start Menu me type kare “Network and Sharing Center” . Us ke baad press Enter ya select from your Mouse.
Ya phir aap apne Taskbar me Wi-Fi network ke symbol ke upper right click kare. Aur phir “Open Network and Sharing Center” ke upper click kare.
1. Yaha aap apne Wi-Fi network symbol ke upper Right Click Kare.
2. Ab app “Open Network and Sharing Center” ko select kare.
Step 2 : Ab aap ke samne ek new window open ho jayegi. Yaha pe aap ko Click on “Wireless Network Connection” ke upper click karna hai.
Step 3 : Wireless Network Connection ke upper click karte hi. App ke samne ek new pop-up window open ho jayega. Yaha pe aap ko “Wireless Properties” ke upper click karna hai.
Step 4 : Ab aap ke samne jo new pop-up window open huwa hai. Us me aap ko Security tab ke upper click karna hai.
1. Security tab ke upper click kare.
2. Ab aap Show characters ke samne Tick out kar de.
Finally ab aap ko yaha apne Wi-Fi ka Password dikh raha hoga. Agar aap ne apne wi-fi device ka password change kar diya hai. To app yaha se apne Wi-Fi ka password bhi change kar shakte hai.
Command Prompt Ki Madad Se Wi-Fi Ka Password Kaise Nikale?
Command Prompt ki madad se bhi. Kisi bhi wi-fi ka password bahut hi aasani se pata kar shakte hai. Ish ke liye bus aap ko Command Prompt open kar ke. Kuch Command type karna hoga.
Step 1 : Sab se pahle aap apne keyboard se Ctrl+R press kare. Ab aap ke samne jo pop-up window open huwa hai us me cmd likhe aur ok kar de.
Step 2: Jab aap ka command prompt window open ho jaye. Tab aap ye command type kare. NETSH WLAN SHOW PROFILE NAME=HIH KEY=CLEAR aur Enter kare.
Note : Yaha pe maine PROFILE NAME=HIH diya hai. App HIH ke jagah apne WiFi Network ka naam dale.
Upper diye huwe Command ko likh kar enter marte hi. App ko apne Wi-Fi ka password mil jayega.
Asha karta hu dosto ki aap ko mera ye post accha laga hoga. Agar ish post se related koe shujhaw hai to aap hume comment kar shakte hai. Agar post pasand aayi hai to ishe jarur share kare aur dosto se bhi kahe.
Post Pasand Aayi Hai To – Please Share This Post On Social Media:
Satish says
Thanks this is useful for me thanks again
chitranjan kumar says
uc browser ka downloading kuch download hone ke baad failed likh deta hai.
Kya phir vahi se downloading shuru ho sakta hai ?
Plzzzz help me.